Sweden Jahan 31 Din Suraj Nahin Nikalta Abisko

  Lal Gulab      

Sweden Dunya Ka Woh Mulk Jahan 31 Din Asman Par Suraj Dikhai Nahin Deta

Abisko, Sweden

Ab jo ilaqa aap ko dikhai de raha hai ye Sweden ka aik door daraz pahari ilaqa hai is ka naam Abisko hai. Yahan sirf 85 log rehtay hain jo har saal apni zindagi ka aik maheena bina suraj ke hi guzartay hain. 4 aur 5 december ko yahan saal ki akhri 2 shamain utrain gi. Us ke baad 6 december ko yahan na koi dhalti sham ho gi aur na hi kahin suraj dikhai de ga. Bas asman par chaya andhera ho ga aur zameen se lipti hoi barf hi barf ho gi aur isi tarah yahan ke log naye saal mein dakhil ho jayain ge. 6 january ko suraj jub 31 dinon ki cuttiyan mananay ke baad yahan ke asman par namudar ho ga tou 1 maheenay ki lambi raat aglay 11 maheenon ke liye yahan se alwida ho kar sweden ke is ilaqe ko ujalon ke hawalay kar jaye gi.

Abisko sair o sayahat ke hawalay se sweden ke logon ki pasandidah jaghon mein se aik hai kyun keh yahan na sirf polar night hoti hai balkeh Norway ke shehar Tromso ki tarah yahan bhi asman par namudar hone wali qutbi roshniyon ke nazaray kiye ja sakte hain. Is ke ilawa yahan par ye jheel bhi hai. Is jheel ke ilawa yahan par aik national park bhi hain. Isi wajah se ye ilaqa saiyahon mein behad maqbool bhi hai. Saiyahon ki asani ke liye yahan train bhi chalai gayi hai aur sath hi sath yahan kayi hotels bhi banaye gaye hain. Unhi mein se aik hotel ye bhi is naam naam Abisko Mountain Hotel hai ye 3 star hotel hai. Agar koi yahan 1 raat theharna chahe tou yahan 1 raat theharnay ka karaya 40,000 Pakistani rupay hai. Sweden k tarah ke aise mazeed bhi mumalik ke bare mein janain nechay diye gaye link next country mein.
 
logoblog

Thanks for reading Sweden Jahan 31 Din Suraj Nahin Nikalta Abisko

No comments:

Post a Comment