Norway Ka Shehar Jahan Suraj 49 Din Nahin Nikalta Urdu Hindi

  Lal Gulab      

Tromsø, Norway - Ab jo shehar aap ko dikhai de raha hai ye dunya ke khubsurat tareen shehron mein se aik hai ye Norway ka shehar Tromso hai. Ye bhi dunya ke un shehron mein shamil hai jahan suraj kayi hafton tak dikhai nahin deta. Is waqt agar aap yahan ayain tou aap ko yahan suraj kahin bhi dikhai nahin de ga kyun keh yahan ke asman se suraj 49 dinon ke liye dhal chuka hai. Is period ko Polar Night ya qutbi raat kaha jata hai. Ab yahan suraj 15 january ko niklay ga aur woh bhi sirf 58 minute aur 4 seconds ke liye. Tromso mein suraj niklay ya na niklay yahan par yehnay wale 70,000 logon ko is se koi farq nahin parta kyun keh woh yahan ke asman par utarnay wali 49 din lambi raat ka samna karne ke adi ho chukay hain aur yahan apni zindagi se khush hain.

Tromsø, Norway
Kayi dinon tak suraj dikhai na dene ke baad bhi ye shehar andheron mein nahin doobta kyun keh suraj doobtay hi ye shehar sunehri roshniyon ke sailaab mein doob jata hai. Agar ye kaha jaye keh suraj yahan ke asman se ghaib ho kar is shehar ko aik alag hi husn de jata hai tou ghalat nahin ho ga.
49 din lambi raat, Sardiyon ka mausam, shadeed thand, barf se dhaki sarkain, un sarkon ke kinare jag mag kartay ghar aur un gharon ki khirkiyon se samne behtay pani ke jadui manazir kisi bhi insan ko Tromso shehar aur is ki khubsurati ka deewani banana sakte hain.

Tromso sach mein aik sehar angez shehar hai yahan sardiyon mein subah nahin hoti aur garmiyon mein raat nahin hoti yehi nahin is shehar ki khubsurati mein izafay karnay asman par jub rang barangi roshniyan namudar hoti hain tou lagta hi nahin keh Tromso saiyara zameen ka shehar hai. In roshniyon ko qutbi roshniyan kaha jata hai. Ye roshniyan dunya mein kam hi ilaqon mein namudar hoti hain. Is liye inhain kisi dusri dunya se ayi hoi roshniyan bhi kaha jata hai. Inhi roshniyon ko aur is shehar ki khubsurati ko dekhne norway samait dunya bhar se log yahan pohanchte hain. Kuch log tou naye saal ki amad par dubai, san fransisco, aur sydney jese shehron ki shandar atish bazi ko chhor kar naya saal mananay yahan pohanch jatay hain aur zindagi ka aik alag hi tajarba hasil karte hain.
logoblog

Thanks for reading Norway Ka Shehar Jahan Suraj 49 Din Nahin Nikalta Urdu Hindi

No comments:

Post a Comment