- Aasiaat, Greenland
Ye hain dunya ke door daraz ilaqe mein rehnay wale logon ke ghar. Ye makanaat Greenland ke qasnay Aasiaat mein waqe hain. Aasiaat Greenland ka chotha sub se bara qasba hai. Yahan ki abadi 3070 afrad par mushtamil hai. Yahan rehnay wale tamam afrad par 3 december ko aisi lambi raat utray gi jo keh 37 din tak khatam nahin ho gi. G haan aap ne sahi suna Greenland ke qasbay aasiaat mein 37 din tak suraj nahin niklay ga. Yun ye baat greenland ke is qasbay ko dunya ke un ilaqon mein shamil karti hai jahan suraj ab aglay saal niklay ga. Yahan 3 december ko dhalnay wala suraj 9 january ko 51 minute aur 6 second ke liye nikal kar yahan ke bashindon ko apni mojoodgi ka ehsas dilaye ga.
Aasiaat mein suraj jub 37 dinon tak ghaib rehta hai tou yahan ke manazir aise hotay hain. Tab yahan ke log masnoi roshniyon ke sahare apni zindagi guzartay hain. Jin dinon yahan suraj nahin nikalta un dinon yahan ka darja hararat -14 degree centigrade tak gir jata hai. Itni shadeed sardi mein yahan mojood charon schoolon mein kuch dinon ke liye chuttiyon ka ilaan kar diya jata hai.
Jub yahan suraj nikalta hai tou yahan ke barfeelay samandar par iceberg ke kayi chote bare tukray tairtay hue dikhai detay hain... Aur yaSchoolon ki ronaqain phir se bahaal ho jati hain. Is waqt jo tasweer aap dekh rahe ye aasiaat ke hi aik school ki tasweer hai.
Aglay 3 Mulk Jahan Suraj Dikhai Nahin Deta Un Ke Bare Mein Yahan Parhain
No comments:
Post a Comment