Russia Aur Finland Ki Places Jahan Suraj Nahin Nikalta Nosok Raatama Urdu Hindi

  Lal Gulab      
 Russia Aur Finland Ke Woh Ilaqe Jahan Suraj Nahin Nikalta
  • Nosok, Russia

Wese tou Russia mein bohat se ilaqe aise hain jahan suraj kayi kayi dinon tak apni chehra dikhata hi nahin aur un shehron mein rehnay wale  us puray arsay mein suraj ke bina hi apni zindagi guzarnay ki koshish kartay hain lekin un mein se dunya ka door daraz aur Russia ka aik bara hi sard ilaqa Nosok bhi hai. Yahan parnay wali shadeed sardi is ilaqe mein zindagi ko mazeed mushkil bana deti hai. Is ilaqe mein is waqt bhi andhera chaya hua hai kyun keh yahan pichlay kayi dinon se suraj nahin nikla. Is saal suraj yahan akhri baar 7 november ko nikla tha lekin woh bhi sirf 48 minute aur 42 second ke liye. Ab yahan ke bashinde is saal aik baar bhi suraj ko dekh nahin payain ge kyun keh yahan suraj ab 3 february ko niklay ga lekin woh bhi sirf 56 minute aur 23 second ke liye.

Yahan parnay wali shadeed sardi ki wajah se kheeti bari na mumkin hai is liye yahan basnay walon ka karobar qutbi hiran, ghoron ki farokht aur ice fishing hai.

Rus ke kisi bare shehar se yahan gari par pohanchna na mumkin hai kyun keh yahan tak pohanchne ke liye koi sarak nahin hai yahan anay ke 2 hi tareeqay hain aik tareeqa helicopter ke zariye aur dusra tariqa darya e Yenisei ke rastay kashti ke zariye aur woh bhi tab jub darya barf se jama hua na ho.

Raattama, Finland

Finland mein darya e Ounasjoki ke maghribi kinare par aik pur aman aur khubsurat gaon abad hai. Ye hai woh gaon is ka naam Raattama hai. Yahan dunya ki 7.8 arab ki abadi mein se sirf 115 log rehtay hain. Jo apni zindagi ke kayi haftay andheeron mein guzaar chukay hain. Yani Raattama bhi dunya ke un ilaqon mein shamil hai jahan kayi hafton tak suraj nahin nikalta. Yahan is saal akhri baar suraj 7 december ko niklay ga aur phir 27 din ke liye kainaat ke nazaron se ghaib ho jaye ga. Yun yahan ke bashinde naye saal ka aghaz andhere mein karain ge. Aglay saal yahan suraj 4 january ko dopehar 12 baj kar 6 minute par niklay ga aur sirf 23 minute aur 11 second ke baad aik baar phir se dhal jaye ga. Lekin us ke baad asman par suraj dikhai dene ka dorania bharhta jaye ga. Raatama mein aisa har saal hota hai agar aap Finland aa kar is shehar ki taweel raton ka nazara karna chahte hain tou aap Finland ke capital Helsinki se 12 ghantay ka safar kar ke yahan pohanch sakte hain.

Dunya Ka Baqi Ilaqay Bhi Dekhain Jahan Suraj Nahin Nikalta

logoblog

Thanks for reading Russia Aur Finland Ki Places Jahan Suraj Nahin Nikalta Nosok Raatama Urdu Hindi

No comments:

Post a Comment