Blackheads Khatam Karne Ka Tarika In Urdu Remove Blackheads Hindi Tips Home Remedy

  Lal Gulab      
Blackheads Khatam Karne Ka Tarika In Urdu Remove Blackheads Hindi Tips Home Remedy: Face par honay walay black aur whiteheads chehray ko badnuma banatay hain yeh is soorat mein bantay hain jab chehray ke khulay masamon mein oil ya gandagi waghera jam jaye. Chehray se niklny wala oil (jo kay khaas tor par garmiyon ke mausam mein jald se kharij hota hai) blackheads ban'nay ki sab se barri wajah smjhajata hai nah sirf yeh balkay dead skin cell yani jild ke murda khaliyaat bhi is ki afzaish ka sabab ban satke hain. Black aur safaid heads mein wazeh tor par farq mehsoos kya ja sakta hai agar chehray ke massam bohat khulay hue hain to hwa mein mojood dust ya gandagi musalsal un masamon mein jama hoti rehti hai jis se baad azan woh siyah nuqtay ki shakal ikhtiyar kar leti hai yeh siyah nuqta black heads hota hai.
Matti Ka Mask
Multani matti mein qudrati madniyaat ka khazana paaya jata hai matti ke mask ko pani ya saib ke sirka ke sath mix karkay lagaya jata hai agar aap ki skin khushk ya hassas hai to mask ki patli teh lagayen is mask ko laganay ke baad aap ko yeh ehsas hoga ke aap ke chehray ki jald tihgt aur khachi hui hai. usay mukammal tor par khushk honay ke baad hi saaf karna matlooba nataij day sakta hai saaf karne ke baad chehre par koi acha moisturizer lgain kuch khawateen ko is mask se kharish ya allergy ki shikayat ho sakti hai aisa mehsoos honay ki soorat mein usay pani se foran saaf kar lein.

Anday Ki Safedi Ka Mask: Anday ki safeedi ka mask sab se asaan mask kehlata hai yeh mask waqti tor par nah sirf khulay masamon ko tihgt karta hai balkay un ki androoni safai bhi karta hai is ke istemaal se black heads ka dheeray dheeray khtama hota hai aur naye black heads ban'nay ka amal sust hokar khatam hojata hai yeh baat yaad rakhen ke anday ki safedi ko jab mask ke tor par lagayen to is ki intahi patli ya bareek teh chehray par lagayen.

Shehad Aur Doodh Ka Mask: Doodh aur shehad dono hi qudrati ajza par mushtamil behtaren ashiya hain un ka istemaal chehray ki jild ke liye har terhan se mufeed hai shehad mein anti bacterial ke ajza paye jaye hain jab kay doodh mein shaamil lectic acid skin ko naram aur taaza rakhnay mein madad deta hai black heads ke khtama ke liye bhi un dono cheezon ka istemaal faida mand rehta hai is ke liye aik table sapoon shehad mein aik tea sapoon doodh mila kar paste banalen is paste ko 5 se 10 seconds tak  microwavemein rakh kar halka garam karlen phir doobarah se achi terhan mix karein jab itna garam reh jaye ke aap usay chehray par bardasht kar saken tab usay istemaal karen aur 20 minute ke liye chorr den ta waqt ke khushk ho jaye is ke baad thanday pani se dho kar moisturizer laga lain mask utarney ke sath sath blackheads bhi nikal atay hain.
Darchini Aur Shehad Ka Mask: Dar chini powder aur shehad ka mixcher black heads ke khatmay ke liye herat angaiz kaam karta hai shehad jo ke anti bacterial salahiyat acne aur aap ko bacteria se daur rakhta hai jo chehray par daano ya acne ka sabab bantay hain jabkay darchini powder chehray ki jild ko shaguftagi aur taazgee bakhshta hai is mask ki tayari ke liye aik chamach dar chini powder mein aik table sapoon shehad mila lein aur chehray par jahan jahan blackheads hain wahan is ki patli teh lagayen is par saaf cotton ke kapray ki patti rakhen aur 3 se 5 minute ke baad is patti ki madad se mask khech kar utar len blackheads nikal jayen ge moisturizer ka istemaal karna kabhi mat bhoolein.

Lemon Ka Istemaal: Blackheads ke khatmay ke liye lemon herat angaiz kaam karta hai chehra ko achi terhan dhonay ke baad mutasirah jaghon par cotton baal ki madad se sirf lemoo ka ras lagayen aur das se pandrah minute taq ke liye chorr den is amal ko hafta mein 3 se 4 baar karen khaas tor se raat ko sonay se qabal usay laga liya jaye aur subah thanday pani se munh dho kar moisturizer laga kar is ka musalsal istemaal blackheads ka khatma kar de ga.

Baking Soda:Aik table sapoon baking soda thoray se pani mein achi terhan mix karlen ke aik patla sa amezah ban jaye. is paste ka chehray par massage karen yeh massage golai shape mein hona chahiye yeh massage kam az kam das minute taq jari rakhen aur phir saada pani se dho kar moisturizer lagain.

Bhaap Lenay Ka Amal: Black heads ke khtama ke liye is tareeqa istemaal ko sab se moasar samjha jata hai das se pandrah minute taq garam pani ki bhaap len aur phir thanday pani se chehra dho len is amal se massam khil jayen ge aur un mein phira mil aur gandagi bahar nikal jayen ge jis se chehra saaf ho kar nikhar jay ga.
logoblog

Thanks for reading Blackheads Khatam Karne Ka Tarika In Urdu Remove Blackheads Hindi Tips Home Remedy

No comments:

Post a Comment