Asli Shehad Ki Pehchan Urdu Real Honey Test In Hindi Asli Nishani Pure Shehad Ki

  Lal Gulab      
How To Know Honey Is Real Or Not In Hindi

Asli Aur Naqli Shehad Ki Pehchan
Hamaray malik mein asli shehad aik pur asraar si chez ban chuki hai na jaane kyun logon ko yaqeen nahi aata ke asli shehad bhi mil sakta hai. Darasal shehri ilaqon ke rehne walon ke dimagh mein yeh baat baithi hui hai ke asli shehad ka husool bohat mushkil hai aur agar mil bhi jaye to woh bohat mehanga aur kam hota hai is liye jab kahin ye bari miqdaar mein dekhte hain to unhen ye yaqeen karna bohat mushkil  ho  jata  hai ke ye sara shahad waqai asli hai aisay logon ki khidmat mein arz hai ke un ke khayalat ke bar aks duniya bhar mein is ki salana pedawar bohat zayada hai aikandazay ke mutabiq aaj kal duniya mein har saal pachaas crore kilo salana shehad peda hota hai yaad rahay ke ye andaza 25 saal purana hai jab ke aaj jadeed tehqeeq ke mutabiq is ki salana pedawar is miqdaar se kafi zayada hai. Pakistan mein har saal kayi hazaar ton shehad peda hota hai jis ki bari miqdaar Europe aur beron mulk export ki jati hai.

Shahad Ke Mutaliq Ghalat Fehmiyan

Shahad Ka Jam Jana
Pure honey ke mutaliq awam ke zehnon mein kayi ghalat fehmiyan hain jo darasal is ke baray mein sahi ilm na hone ki wajah se hai. Pehli bari ghalat fehmi logon ko is ke mutaliq ye hai ke asli honey kabhi jamta nahin hai. Jab ke dar haqeeqat shahed ka jam jana aik fitri amal hai darasal angoori shakar (glucose) sardi ke asar se jald munjamad ho jati hai is liye jis mein angoori shukar ki miqdaar zayada ho gi woh jaldi munjamad ho jata hai jab ke jis mein phalon ki shukar (lactose) zayada ho gi woh kafi arsa taq maya haalat mein rehta hai. Is ke ilawa is mein mojood pollen hawa ke bulbulay aur mom ke zaraat bhi is ke jamnay ka bais hotay hain nez jis honey mein phalon ki shakar ka tanasab zayada hoti hai woh jamnay ke baad ghee ya jamay hue nariyal ke tail ki terhan ho jata hai aur is terhan jis mein angoori shakar ka zayada hoti hai to woh jam kar danay daar ho jata hai. Isi terhan jis mein gannay ki shakar hoti hai to woh jam kar qalmi shukar ikhtiyar kar laita hai aur bilkul sada shakar jaisa mehsoos hota hai. Sab se zayada log is ke qalmi shakal mein jamnay par ghalat fehmi ka shikaar ho jatay hain kyun ke woh nawaqif hone ki bana par usay cheeni ki milawat wala samajte hain. Jama huwa danay daar shahad granulated honey kehlata hai ye pighlay hue ki bah nisbat zayada sahet bakhash aur tawanai se bharpoor hota hai.

Aik aur masla jamay hue shehed ki rangat ki wajah se hota hai darasal hota yeh hai ke jamnay ke baad is ki rangat tabdeel ho jati hai maslan jamnay se pehlay ye brown colour ka tha to jamnay ke baad kareem colour ka ho jata hai agar jamnay se pehlay golden colour ka tha to jamnay ke baad safaid rang ka nazar aata hai. Yehi wajah hai ke log ghalat fehmi mein mubtala ho kar usay cheeni ka samajhney lagtay hain agar jamay hue ko garam kiya jaye to woh pighal kar dobarah apni purani rangat mein aa jata hai.

Hamaray mulk mein umooman sarson ke phoolon ka shehad bohat barri miqdaar mein haasil hota hai aur bil umoom un hi flowers ka honey market mein farokht ke liye paish kiya jata hai. Aur dar haqeeqat sarson ka shahad taqreeban do mah mein jam jata hai is ke muqablay mein berry aur maltay ke phoolon se haasil shuda shehad nisbatan kaafi arsa taq nahi jamta. Yahan yeh yaad rahay ke beron malik se daramad shuda taqreeban tamam shehad masnoi process se guzaray jatay hain, isi wajah se imported honey jamta nahin hai.

How To Recognize Real Honey In Urdu
Mushkil yeh hai ke naqli aur asli dono jim jatay hain aur awam ke liye yeh pehchan karna mushkil ho jata hai ke jo shehad jama howa hai woh real honey hai ya naqli honey? to qareen yaad rakhen ke asli shehad ki pehchan yeh hai ke woh hamesha teh ki janib se jamna shuru hota hai. Agar shehad oopar ki janib se jamna shuru ho to woh naqli ya milawat shuda hota hai.

Shehad Ki Pehchan Ke Maroof Farsoda Tareeqa Kaar
Logon ne asli ki pehchan ke kayi tareeqay mashoor kiye hue hain lekin is mein se aksar sahi nahi hain maslan aik tareeqa real honey ki pehchan ke liye yeh Maroof hai ke aik namak ki dali is mein milatay hain agar ye namkeen ho jaye to kehte hain ke ye milawat wala hai kyun ke un ke khayaal ke mutabiq pure honey mein namak hal nahi hota ye tareeqa yaksar to ghalat nahi hai lekin yaad rakhna chahiye ke is mein 25% pani bhi hota hai jis mein namak hal ho sakta hai is liye ye koi confirm baat nahi hai ke zayeqa namkeen honay par ye khalis nahin ho sakta.

Asli Shehad Maloom Karne Ka Tarika Mustanad
Asli shehad ki nishani ke liye hum easy tips aur aik real method darj kar rahay hain umeed hai aap ke liye is ki pehchan karnay mein kafi asani ho jaye gi.

Dekh Kar Check Karna
Natural honey fake honey ki bah nisbat zayada patla aur dhundlaa hota hai aur pollen ke zaraat shehad ki satah par nazar atay hain.

Soongh Kar Check Karna
Har shehad ki apni alag khusbhoo hoti hai jo phoolon ki bheenie bheenie mehak se mehak raha hota hai jab ke sheeray aur glucose se tayar shuda soonghnay par saaf pata chal jata hai ke ye sheerah hai.

Shehad Ko Chakh Kar Check Karna
Har alaqay ka shahad apna aik makhsoos zayeqa rakhta hai kabhi bhi aik ilaqay ka dosray ilaqay ke shehad jaisa nahin ho ga chahay kisi aik makhsoos phool ke baagaat se haasil shuda hi kyun na ho maslan ajwain, maltay aur sarson ka honey yaad rakhen. Is ka zaiqa mausami darakhton, phalon, phoolon alaqon ke hisab se tabdeel hota rehta hai agar ye kisi company ka hai tou hamesha aik jaisi rangat, khusbhoo aur zaiqa wala ho to samajh len ke yeh qudrati nahin hai balkay formula ke tehat shuda hai yaad rakhen ke shehad ki makhi ko jis mausam ke phoolon ka ras yani ghiza miley gi waisay hi us ka zaiqa ho ga.

Shehad Ka Patla Ho Jana
Qudrati shehad mein aik khaas tarha ka system hota hai jisay osmotic pressure kaha jata hai is pressure ke tehat ye hawa mein maujood nami ko jazab kar laita hai. Aik khulay munh ki bottle mein taqreeban 25 gram chamach shehad rakh kar chand dinon ke liye chore den, agar ye asli hua to patla ho jaye ga aur naqli ho to satah par khushk ho jaye ga aur aik bareek jhilli satah par aa jaye gi.

Pure Honey Ko Identify Karne Ka Jadeed Tareeqa
Hum ne qudrati aur naqli honey ko check karne ka sahal tareen aur jadeed scientific tareeqa ijad kiya hai jo aap ki khidmat mein paish kar rahay hain is test ke liye mandarja zail samaan ki zaroorat hoti hai.
  • Methyl Spirit
  • Test Tube Cap Ke Sath
  • Shehad Ka Namoona
Test tube mein 5 gram methyl spirit aur 5 gram honey le kar zoor se hilaana shuru kar dain agar ye real honey ho ga to foran hal ho jaye ga aur doodhiya colour ke jhaag sa ban jaye ga aur agar nakli howa aur bilkhashoos liquid glucose ki milawat wala howa to bohat mushkil se hal ho ga.
Ab test tube ko laga kar chore dain 3 se 7 din ke baad check karain agar asli hua to is ki satah par shakari roghniyat (mucilage ) aa jaye gi jo ke dekhnay mein bilkul badal ki terhan mehsoos ho gi agar jali hua to satah bilkul saaf ho gi aur jo shehad mix kiya gaya tha woh dobara teh mein betha hua dikhayi de ga jab asli mukammal tor par hal ho chuka hoga.

Aik Aur Tarika
Isay aik aur tareeqa se bhi check kIya jata hai ke asli hai ke naqli koi aam si makhi pakar kar us ko honey ki bottle ya jaar jis mein honey ho us ki teh tak ja kar makhi chorr dain asli hai to makhi khud hi is ki satah tak aa jaye gi aur phir urr jaye gi lekin asli nahi to makhi bahar na nikal sakay gi aur mumkin hai haath paiir maartay maartay thak kar mar jaye umeed hai aaj ka topic aap ko acha laga.
logoblog

Thanks for reading Asli Shehad Ki Pehchan Urdu Real Honey Test In Hindi Asli Nishani Pure Shehad Ki

No comments:

Post a Comment