Dalchini Benefits Urdu Dalchini Ke Faide Dalchini Se ilaj Aur Side Effects Hindi

  Lal Gulab      

Dalchini Benefits In Urdu Dalchine Ke Faide Hindi Side Effects Dalchini Se ilaj In Urdu Darchini Ke Fawaid For Weight Loss

Dalchini jise hindi mein dalchini aur english mein Cennamol kahte hain, mahiyat ke aitbar se ek darakht ki chaal hai jis ki rangat surkhi mail zard ya halki siyahi mail hoti hai. Zaika kadre sheren talkhi liye hota hai. Is ki kasht zayada tar srilanka, hindustan aur china main ki jati hai aur jazair sharak hind main khud ro hota hai. Dalchini iksam ke aitbar se 3 kism ki hoti hai jo hajam aur rangat main mukhtalif hai. Hamare han istamal hone wali china aur srilanka ki dalchini sab se umda aur khushboo dar hoti hai. Atba ne dar cheeni ki taseer ya mizaj garam khushk darja dom bataya hai.

Jadid tibi scienci tahqeeq ne bhi is ki kasir riyah salahiyat ko bohat ehmiyat di hai is ki waja ye hai ke is main shamil firari tail intehai latif ajza ka markab hota hai jo jald jazu badan ban jata hai. Ye ajza made aur anton par asar andaz hokar riyah ke ikhraj ka sabab bante hen jis se made aur anton ko Faida hota hai. Is lehaz se ishal aur paichish main is ka faida tasleem kia gaya hai. Hamare han jo dalchini istamal hoti hai is main te nain ka jazu bohat kam hota hai is liye ye kasir riyah to hai magar kabiz nahin hai.

Mikdar Khorak

Dalchini ki mikdar khorak aik se do gram pisi hui hai. Is ke khane se made aur anton par asar andaz hokar apne firari tail ke bais jald jazobadan banti hai. Bad Hazmi: Khane ka sahi tor par hazam na hona, pait phoolna, riyahon ka bhar jana ya bhook sahi tor par na lagna aisi soorton main rogan dalchini ke 3 se 5 katre shakar main mila kar neem garam pani main dena mufid hai.

Dant Ka Dard

Roghan dalchin main roi ka tarkia hua phaya lagana mufid hota hai is se dant ka dard khatam hojata hai.

Doodh Hazam Na Hona

Baaz logon ko doodh hazam nahin hota aur log isko badi hone ki shikayat karte hain. Aise hazrat agar ek litre doodh main dalchini 3 gram ka safof mila kar ise josh De kar piyen to is se na sirf doodh hazam hoga balke quwat hazam bhi bharegi.

Dama Aur Khansi

Jin logon ko khansi aur dama ki shikayat ho wo dalchini ek gram pees kar shahad 2 chamche ke sath subha o sham khain.

Kasir Riyah

Riyahon ke ikhraj ke liye dalchini ka jawab nahin. Aisi surat main dalchini mun main rakh kar chabai jae aur salan main istamal ki jae. 

illergy Ka Nazla Zukam

Maholiyati aludgi khasusan fizai aludgi ki waja se nazla zukam chenkain ane ka arza am hogaya hai. Baz logon ke subha hote hi nak se pani behna shuru hojata hai in ke liye ye nuska bohat mufid hai. "barg banafsha 6 gram, takham meethi 6 gram aur dalchini 3 gram pees kar adhe glass pani main josh de kar chan kar subha nihar mun 15, 20din tak pena chahye.

Safoof Hazam o Makwi Mada

Dalchini, soonth, dana ilaichi khord ham wazan pees kar kabal ghiza aik se 3 gram taza pani ke sath istamal karne se nizam hazam ki islah hogi aur mada bhi mazboot hoga.

Hamla Khawateen Ke Liye

Wiladat ke bilkul karibi dor main dalchini aur sahaga ham wazan pees kar subha o sham 3,3 gram taza pani ke sath dene se zachgi asani se hoti hai. Bawaseer: Bawaseer main dalchini ka laip lagana mufid hai.

Hichki

Dalchini mastalgi ke sath mila kar josh de kar pene se hichki ko faida hota hai. Sardi Ka Dard sar: Paishani par dalchini ka laip karna mufid hai.

Sartan

Bartania ke aik hospital main doctor j j karni ne sartan ke marizon ko zayada mikdar main dalchini ka istamal karaya to is ke khatar khuwa nataij samne ae taham abi mazed aur hatmi tahkik ke liye kam jari hai.

Dalchini Ka Arq

Dalchini ka ark sariah alasar hota hai quwat hazma ke liye mufid hai riyahon ko kharij karta hai. Barwidat thandak aur yarkan main mufid hota hai bhook barhata hai

Dalchini ka Istamal

Dalchini ka mukarara mikdar main istamal bohat mufid hota hai albata is ka Bakasrat aur dair tak istamal munasib nahin hota balke ye matli, ke aur kabz ka sabab ban jati hai.
logoblog

Thanks for reading Dalchini Benefits Urdu Dalchini Ke Faide Dalchini Se ilaj Aur Side Effects Hindi

No comments:

Post a Comment