Gambia History In Urdu Information Ghambia Ki Tareekh Ghambia In Hindi

  Lal Gulab      
Gambia 90% Musalman Abadi Ka Mulk Information About Ghambia In Hindi

Country Gambia History In Urdu: Gambia maghribi africa ka aik mumtaz mulk hai is ka total Raqba 4127 muraba meel yani 11, 295 km² hai. Yeh aik lambai ke rukh ki riyasat hai geographiyai tor par darya e gambia is mumlikat ki pehchan hai, yeh darya africa ke mashhoor daryaon mein se aik hai jo 700 meel taweel bahao ke baad behra e oqyanoos mein ja girta hai. Africa se behra oqyanos tak behri rasai isi darya se hi mumkin hai. Banjul shehar Gambia ka dar-al-hakoomat (rajdhani) hai. Saal ke chand mahinay yahan barish hoti hai baqi sara saal yahan ka mausam khushk hi rehta hai. Haryali se bharpoor khitton ki is sarzamen ke janglaat mein kayi qisam ke jungli janwar bhi paye jatay hain. Gambia 3 taraf se senegal ke mulk mein ghira hua hai jabkay chothi simt mein is ko samandar ka jawar hasil hai.

1455 mein Portugal ke malah sayahon ne is sarzameen ko daryaft kiya unhon ne tijarat shuru ki aur un ke baad angraiz, french, dutch aur sweden ke tajar bhi yahan pohanchne lagey. 18th century mein bartania ne yahan qabza kiya aur apni fauj aur fauji machinery laga kar muqami afraad ko shikaar kar ke unhen ghulamo ke tor par Europi mumalik bhejnay lagey. Insaniyat ke bartanwi thikedaron ne ghulamoo ki tijarat ke liye Ghambia mein baqaida aik behri adda bhi banaya is ke baad aik taweel arsay taq Bartania aur France ke darmain is mulk aur darya e gambia ke mamlay par tanaza raha aur Paris aur London mein is ilaqay ki qismat ke faislay hotay rahay. Bartania ne doosri jung azeem ke liye is sarzamen se be shumaar fauji liye khas tor par burma ke mahaaz ke liye taj Bartania ne jung ke eendhan ke tor par yahan ke kalon ka intikhab kiya.

Dusri jang azem ke zamane se hi africi siyasat mein gambia ka markazi kirdar raha, 1943 mein " kesablanka conference marakash" mein jate hue Americi sadar o zoliat ne aik rat ka qayam gambia mein kia aur ye kisi Americi sadar ka africi bar azam ke aik mulk ka pehla dora tha. Dusri jang azeem ke tabah kun nataij ne almi istamal ke tosi pasandana azaim ke samne band bandh dia tha dusri taraf shaoor ke bais 1960tak yahan bohat si siyasi parties ban chuki then aur karbe karbe se azadi ki sadayain buland hona shuru ho gai then.

1962 ke intekhabat ke mustakbil ki rahen wazia kar di aur bartania aik tarah se in intekhabat ke bad apna asar o rasookh kho betha aur badesi hukumrano ki ulti ginti shuru hogai. Taj bartania chahta tha ke sanegal aur gambia ikhate rahen lekin makami qayadat is par tayar na thi chunacha 18 february 1965 ko aik tawel jadojahad ke bad gambia ko azad kara lia gaya. 1982 mein dono mulkon ne mil kar "seni gambia" ke nam se confederation banali jis mein difah aur maishat mein yaksan policy jab ke degar amoor mein azadi de di gai ye bail monde na charh saki aur 1989 mein gambia ne is confederation se mukamal alaidgi ka ailan kardia tab se gambia aik mukamal tor azad khud mukhtar riyasat hai. "jala" name ke log is sarzamen ke qademi bashinde hen jo ke ab zayada tar magrabi gambia mein mukem hain. "mandengo" nasal ke log yaha ke aksriyati Kabail hen jo kul abadi ka chales fesad hen jabke "bajul" gambia country ke darul hakumat mein wolf name ke khandan zayada pae jate hen.

Daryae gambia ke intehai upri ke ilakon mein folani kabail abad hen aur ye kabail ab aik taqat ki shakal ikhtiar kar chuke hen in mashoor naslon ke ilawa bohat se degar kabail ke log bhi yahan bakasrat abad hen. Primary taleem muft hai lekin lazmi nahin sanwi taleemi idare bi bakasrat hen lekin awla talem ke liye talba ko berun mulk ka safar karna parta hai kam o baish yahi surat hal sehat ki bi hai. Gambia ki sab se bari pahchan is sarzamen par kasht hone wali moong phali hai moong phali jo puri dunya mein khai jati hai yahan ki bohat bari fasal hai aur hakumat ki amdan ka bohat bara zaria bi hai. Moong phali ki kasht ke liye bohat ache aur umda baij ki kasht se lekar iski tayari mein madomawan machines tak yahan bakasrat dastyab hein aurten aur mard mil kar khaiton mein kam Karte hen, zamino ko sedha kia jata hai in par maujood jhar jhankaron nazar atish kia jata hai aur phir jadid tarikon ke ain mutabik moong phali ki qeemat mukarar karti hai aur waqt se pehle moong phali ki qeemat mukarar karti hai aur waqt se pehle kisan ko iski nakad adaigi kardeti hai. Fasal tayar hone ke bad factories mein lai jati hai jaha par ise kai marahil se guzar kar baij ko bar amad kardia jata hai aur fazla janwaron ki khorak ke tor par rakh lia jata hai.

Yahan ki zamenain zayada tar khandano ki malkiyat hoti hen aur pura ka pura khandan mil kar apni zameno ki aur in par kasht ki hui faslon neghadast karta hai. Yahan ke kashtkar bohat mehanti aur diyanadar hen hakumat yaha par chawal ki kasht par bi tawaja deti hai aur jaha jaha sabza bohat zayada hai waha paltu janwaron ke farm bi banae gae hen darya ke sath sath rahne walu ko wahan ki hakumat macheli ke shikar ke liye karze bi farahim karti Hai, ta ke wo log dakhani kashtiyan kharid kar to ye kam karsaken. Malahon ki pakri hui machliyon ko hakumat kharid kar aur inhen wajbi se marahil se guzra kar bar amad kardeti hai. 
Gambia ki tijarat zayada tar france, bartania aur sanegal se hai. Yahan hakumat ka sarbarah "sadar mumlikat" hota hai jise 5 salon ke liye chuna jata hai. 50araken par mushtamil aiwan numaidgan hai jis mein 36 arkan muntakhib hote hen aur baki namzadgiyon se puhnchte hen. People progressive party yahan ki aksiriyati siyasi jamat hai. Hakumat ki tashkel ke liye sadar mumlikat aiwan numaidgan mein se apna naib sadar aur wazra chinta hai jin se mil kar wo riyasat ka intezami dhancha chalata hai. Awla adalat "supreme court" jiske sarbarah ka takrir bi sadar mumlikat hi karta hai. Gambia ke aiwan high iktadar par foji shab khoon kasrat se mara jata raha jiske bais 90% Musalman aksiriyat ke bawajood gambia ko scholor riyasat ka Darja hasil hai iski waja jumla islami mumalik mein istamar ki chori hui taqatwar bakiyat mein sab se bara idara foj hi hai. Islam ki amad ke waqt ye ilaka barbaron ke zair asar tha.

Islam In Ghambia
Apne agaz mein hi Islam yahan 7 sadi hijri mein puhnch gaya aur bohat se qabail ne islam kabul karlia tab ke bad sadiyon tak yahan Islam hi barsariktadar raha aur bohat se Musalman khandano ne hakumat ki gambia ki tahzeb o sakafat par islam ke bepanah asrat hen khas tor par 19 sadi ki tajidi kawishon se jaha bohat se kabail daira islam mein dakhil hue waha pehle se maujood musalmano ki islah akaid bi ki gai. Gambia ki 90%abadi musalman hai jabke 10%degar mazahib ke log bi abad hen yahan ke kawanin mein islami shariyat ke kuch hise bi shamil hein. Musalmano ke bahemi mamlat "supreme Islami council" hal karti hai jabke musalmano ke liye adaltain bi qaim ki gai hen. Aur amli tor par musalmano ki aksiriyat faka malki ki perokar Hai taham kuch arab aur africi mile jule qabail mein fika shafia bi raij hai. Gambia ne 2019 mein hone wali islami sar barahi conference ki maizbani ka bhi kasad kar rakha hai.
logoblog

Thanks for reading Gambia History In Urdu Information Ghambia Ki Tareekh Ghambia In Hindi

No comments:

Post a Comment