Portugal History In Urdu Portugal Information Hindi Portugal Ki Tareekh Meaning Language

  Lal Gulab      
Portugal History In Urdu Portugal History In Hindi Meaning Portugal Urdu Language

Portugal Information In Urdu Geography
Portugal mulk janoob magrabi Europe ka mulk hai jo behra o qayanoos ke kinare par abad hai is ke mashrik aur shumal mein sirf spain ka mulk hai portugal kisi aur mulk ke paros se mehrum hai aik taraf spain aur dusri taraf samandar ki thathain marti hui maujain hain. Jazira numae "ayberia" ka kam o baish 16% alaqe par portugal ka qabza hai. Is mulk ka kul rakba lag bhag sade 35000 maraba mail hai. Apne mukhtasir rakbe ke baraks dunya ke bain ul akwami mamlat mein aam tor par aur Europe ke mamlat mein khas tor par is mulk ka kirdar hamesha se bohat bara raha hai. Nato aur Europi union ka rukun hone ke bawajood muwashi aitabar se ye europe ka aik gareb mulk balke sab se zayada gareb mulk hai. Portugal mein maujood zamana qadeem ki garen aur is zamane ki bakiyat qadeemi zamane ki tahzibiyon ka pata dete hein. Romiyon ke zamane ke abad kie hue shahar aur in mein romiyon ke zamane ke abad kiye hue shehar aur in mein romiyon ki imarat aj bhi inka pata deti hein. Romiyon ke bad, C B, gath aur musalmano ne bhi yahan aik tawel arsa tak hakumat ki. 8 sadi mein musalmano hukumran zayada tar spain ke shahron se yahan par apne ahkamat sadir karte the. Is mulk ki khas baat ye hai ke yahan ki tarikh mein yahoodiyon ne bhi apna aik kirdar ada kiya hai. 868 mein portugal bakaida se esai riyasat banadi gai jabke 1139 mein yahan par aik azad aur khudmukhtiar shahi riyasat ka agaz hua. Portugal ki rajdhani Lasbon shehar hai jo khubsurat capital portugal country ka hai.

Portugal People: Portugal ke log apni jismani haiyat mein pure europe mein apni judagana shanakht rakhte hain bohat si degar khasusiyat ke ilawa inki neli ankhen kale aur ghane ghunghriyale bal aur pheke rang ki jild par tagaliyon ko pure europe ke logo se juda karte hein. Yahan 95 fesad log roman catholic cruch ke manne wale hein aur bamushkil aik fesad hi protistant cruch ke perokar hein. 15 sadi ke wast se yahan par yahoodiyon ki aik kabil qadar tadad bhi hamesha maujood rahi hai. Mulk ki aksar abadi gaon ki basi hai jahan kheti bari aur janwaron ki parwarish shakok se ki jati hai. Choti choti bastiyan aur in ke sath bare bare kheeti maidan jin mein lehlehati faslain aur charte hue janwar portugali zindagi ki saqafati pehchan hein. Sahili alaqon mein machli se bhi beshumar logo ka rozgar aik zamane se nasal dar nasal wabasta raha hai aur ab bhi hai.

Portugal Ki Tareekh
Tarikhi tor par portugal us waqt aik khushal mulk tha jab is ke dande asia, africa aur janoobi America se bhi milte the. Is waqt yaha par goya doodh aur shahad ki nahren behti then kyunke in mazkora ilakon ki dolat simat simat kar portugal mein jama hoti rahti thi. 1974 ke inkalab ke bad portugal ki maishiyat ko aik aur dhachka yu laga ke wo portugali jo berun mulk mukem the aur zarmabadala ka bohat bara zaria the. Inkalab ke bad portugal ne in se muwashi taluk khatam kardia. Taham 1 january 1986 se Europi community ka rukun banne ke bais raki hui balke zawal pazer iktasadi surat hal masbat paish rafat ki waja se raingne lagi hai yahan ke neji talemi idare sarkari talemi idaron ke sath mil kar mulk ki bhari aksiriyat ki talem o tarbiyat ki zimedari nibhate hain yahan par bohat se falahi idare hain jo mazdoron ke liye inke mushkil aukat mein inke liye aur inke khandano ke liye mawnat ka behtren nizam rakhte hein. Sarkar ki taraf se mazdoron ke bema ka lazmi nizam raij hai. Neji aur sarkari dono tarah ke shifa khane pae jate hain jabke muft ilaj ke idare bhi marizon ki kafi khidmat kardete hain.

Portugal Weather In Urdu
Portugal mein garmiyon ke doran 24 degree centigrade aur sardiyon mein 3 se 4 degree centigrade tak darja hararat rahta hai. 40inch tak salana barish bhi yahan hoti hai. Portugal ki aik tehai zamen janglat par mushtamil hai. Mulk ke baaz ilakon mein itne ghane janglat hain ke kheti bari bhi bohat Mushkil se hoti hai. Janglat ke bais yahan par lakri ki sanat bohat bari samji jati hai. Paharön par wakia in janglat mein pahari bakriyan, pahari khanzer aur haran bohat kasrat se pae jate hen. Dor daraz ke ilakon mein khargosh, jangli khoonkhuwar bile aur lomriyon ki kuch nayab naslain bi milti hein. Gandum, makai aur chawal yahan bare paimane par kasht kie jate hain jabke tomato, alu aur angoor ki kasht bhi bohat wasi paimane par hoti hai. Portugal puri dunya mein tomato ki chatniyon ka sab se bara bar amad kananda hai. Machli ka shikar karobari bunyadon par kia jata hai aur khas nasal ki machliyan bar amad bhi ki jati hein lekin portugal apni khorak ki zaruriyat keliye baz mulkon se machli dar amad bhi karta hai. Bartania, Germany aur france samet europi union ke degar mumalik apni masnuat ka portugal ki masnuat ke sath daramdi o baramdi tabadla karte hein.

Portugal mein mojood is alaqe mein kafi purane makan maujood hain
Aik Hawai Jahaz Portugal Ki Fizaon Mein Urta Hua
Portugal Government: 1910 ke baad portugal ko jamhooria banadia gaya taham 1974 ka inkalab yaha ki siyasi zindagi ka aik eham sang mail hai. Is inkalab ke bad ke dastor ke mutabik riyasat ka sarbarah sadar mamlikat hota hai jise 5 salon ke liye sari qoum barah rast muntakhib karti hai. Sadar apni aini hasiyat mein mulki afwaj ka bi sipah salar azam hota hai, parliman mein se wazir azam ki takriri bi sadar ke sawab dedi ikhtiarat mein shamil hai in sab ke ilawa awla hakumati ahdedaro ki takreri o bar khuwastagi bi sadar ke faraiz mein shamil hai. Wazir azam ke sath kabina ke araken mulki nazam o nasek mein hakumat ka hath batate hen jabke kabina ke ijlas ki sadarat bi wazir azam khud karta hai. Inkalab ke ibtadai ayam mein inkalabi council banai gai thi lekin bohat jald iski jaga council of the state ne leli jis mein sadar mumlikat is idare ka sarbara hota hai jabke parliman ka sadar wazir azam, aini tribunal ka chairman, atarni general, nem khud mukhtiar ilakon ke Sarbaran sabka sadar mamlikat ke namzad shada 5 afrad aur 5 afrad jinhen parliman muntakhib karke bhejti hai is mein shamil hein portugal mein markaz se neche 3 tarah ki hakumaton ka nizam raij hai subai aur shahri hakumati idaron ki tarah hein jin mein muntakhib afrad hakumati machinery ke sath mil kar karobar riyasat chalate hen.

Islam In Portugal: Portugal ki history bohat purani hai ye tarikhi aitbar se Muslim spain ka hisa raha hai, jis ki fatah ka sahra mashoor musalman fatah musa bin Naser ke sar hai. 711 se 1249 tak portugal par musalmano ne bari shan o shokat ke sath hakumat ki musalman hukumrano ne rang o nasal o mazhab o zaban ke farak ke bager kul insano ki khidmat ki aur talem o tahzeb se portugal samait pure Europe ko ashna gaya. Is zamane ki tehzebi asrat aj bi is sarzamen par maujood hen portugali zaban mein abi tak arbi ke kai alfaz ki amaizish wazia tor par mehsus ki jasakti hai lekin afsoos ke farzandan saleb ne yaha par kabza karte hi Musalmano aur inki bakiyat ko bari bedardi se khatam karna shuru kardia. "mir tola" shahar mein aj aik masjid maujood hai lekin ise bi garja ghar banalia gaya hai. Musalmano ki hakumat khatam hone ke bad waha par rah jane wale musalman bari bedardi se katal kie gae jo bach rahe in par musalman rahne keliye aur arbi libas o zaban ke liye bhari tax aid kardie gae jo ye tax ada na karsakta ise lazmi tor par arbi zaban o libas ko khairabad ke dena parta ya phir is ilake se hijrat par majbur hojata. Kam o baish aik sadi ke bad ye riayat bi khatam kardi gai aur hijrat ya tabdeeli mazhab mein se kisi aik ko ikhtiar karna lazmi hogaya is tarah se wahan par musalmano ki nasal ko khatam kardia gaya.

Mosque In Portugal After 500 Years: 2008 ke mutabik kam o baish 15 hazar Musalman ab yahan abad hain. 1968 mein aik tarah ki qanon sazi ke baad Musalmano ko apna wajood manwane ki ijazat mili. Us waqt 17 Musalmano ne mil kar aik Musalman tanzeem ki bunyad rakhi. Is tanzem ke tahat Musalmano ke bohat se falahi o talemi markaz chal rahe hain is tanzeem ne "Al Furqan" ke name se aik risala bhi nikala aur Quran Mujeed ka makami zuban mein tarjuma bhi kiya. Is idare ne ab 100 ke qareeb kitabain bhi shaya ki hain aur internet par portugal ke Musalmano ke bare mein aik website bhi banai hai. Juma 29 march 1985 ko subha 10 baje portugal mein aik bohat bari takreeb ke doran aik masjid ki bunyad rakhi gai ye masjid portugal ki sarzameen par 500 saal ke taweel waqfe ke baad Musalmano ki pehli masjid thi.
logoblog

Thanks for reading Portugal History In Urdu Portugal Information Hindi Portugal Ki Tareekh Meaning Language

No comments:

Post a Comment