River Nile History In Urdu Darya-e-Neel Information River Neel Pictures

  Lal Gulab      
River Nile History In Urdu Darya-e-Neel Information: Neel River dunya ka sub se lamba darya hai is ki lambai taqreeban 6670 km hai ye africa ki sub se bari jheel victoria lake se nikalta hai is alaqay mein barish bohat hoti hai lihaza bohat ghanay janglat paye jate hain in janglat mein hathi, shair, gainday, jangli bhainsay, hiran, neel gaye aur daryai ghoray, magarmach waghera paye jate hain is alaqay ko nagtional park ka darja hasil hai.
Darya e Neel Picture

Jub ye darya Sudan mein dakhil ghota hai tou is ki raftar bohat sust ho jati hai kyoun ke darya aik zabardast daldal se guzarta hai ye daldal dunya ka sub se bara daldal hai yani 700 km lamba hai. Yahan aik qisam ki ghas payi jati hai jo puray daldal par chai rehti hai. Ye itni ghani aur mazboot hai ke is par aik hathi khara ho jaye tou woh nechay nahin jaye ga aur seedha khara rahe ga is darya ka pani grass ke nechay nechay behta hai pata nahin chalta ke pani kahan hai. Yahan baglay aur pani mein rehne wali mukhtalif chidiyan bohat zayada payi jati hain is darya par mojood ghas se kaghaz banaya jata hai.

River Nile ke saray madadgar darya habsha ke paharon se nikal kar is mein shamil hote hain in mein sub se bara aur aham darya neela hai aur neel kehlata hai. Ye darya habsha mein jheel tana se nikalta hai aur foran abshar ki surat mein aik nihayat gehray khud mein girta hai aur behta hua khartoom ke muqam par darya-e-neel mein mil jagta hai. Khartoom ke baad atbara ke muqam par atbara naam ka aik aur darya darya-e-nile mein shamil hota hai. Ye bhi habsha ke paharon se jheel tana ke qareeb nikalta hai.

Khartoom ke baad darya-e-neel mein kayi uar yani dhal jo aik dam nechay utarta ho atay hain. Ye taqreeban 6 muqamat par hain. Darya ki gteh mein bari mazboot aur nokeeli chitanain hain in ko darya e neel ki rukawatain kaha jata hai in muqamat se kashtiyan ya motor boats nahin guzar saktay.

Sudan mein misr ki sarhad par darya e nile insan ki banai hoi dunya ki sub se bari jheel yani jheel nasir mein dakhil hogta hai yahan iswan ke muqam par iswan band bandha gya hai is band se darya ka pani ruk gya hai aur aik jheel ban gyi hai is band se aab pashi ke liye nehrain nikali gyi hain aur pani ko surangon se guzaar kar is pani se bijli paida ki gyi hai. Iswan band ki behron se darya-e-neel ke donon gtaraf 50-50 meel tak kasht kari hoti hai aur alaqa nihayat sar sabz o shadab aur abad ho gya hai isi wajah se misr ko darya e nile ka tohfa kaha jata hai.

Darya-e-Nile Kahan Se Guzarta Hai: Qahira se guzar kar darya bohat khamoshi aur ahisgta ahista mukhtalif shakhon mein bat kar skandriya ke qareeb behra rome mein gir jata hai. Logon ko ilm hi nahin tha ke darya e neel kahan se nikalta hai jab keh hazaron saal se log is ki wadi mein rehte bastay aye thay. Tehzeebain janam leti rahien aur mit'ti rahien magar kisi ne daryaft karne ki koshish nahin ki keh ye kahan se nikalgta hai kin kin muqamat se guzarta hai.


17th century mein koshish ki gyi ke darya ke nikalne ki jagah maloom ki jaye gtou maloom hua ke ye darya jheel tana se nikalta hai magar is ke kinare kinare koi chal nah saka kyoun ke ye bare khatarnak paharon aur khadon mein guzarta hai. Darya ke tez pani ne chatanon ko khuch is tarah lkata hai ke donon taraf deewarain si ban gyi hain aur un chattani deewaron par se koi guzar nahin sakta.

18th century mein european tourists ne africa ke androoni alaqay daryagft karna shuru kiye woh 1857 mein africa ke mashriqi sahil se rawana hue dushwar guzaar raston aur paharon se guzaray, machron ki wajah se malayria mein mubtala hue un mein se aik igtna bimar hua ke agey nahin barh saka magar aik tourist chalgta raha aur jheel victoria tak pohanch gya us ke mutabiq yehi jheel darya-e-neel ke nikalne ki jagah thi jis ko dunya ne tasleem kar liya ye jheel uganda mein hai is mulk ka darulhukumat isi jheel ke kinare abad hai.
logoblog

Thanks for reading River Nile History In Urdu Darya-e-Neel Information River Neel Pictures

No comments:

Post a Comment