Shalimar Garden History In Urdu Shalimar Bagh Information Shalamar Garden Lahore Pictures

  Lal Gulab      

Shalimar Garden History In Urdu Shalimar Garden Information

Story of Shalimar Bagh Lahore: Mughal badshah shah jahan ne jub lahore mein darbar lagaya tou Ali Khan ne usay bataya keh us ke paas aik aisa shakhs hai jo nehar banane mein bari maharat rakhta hai. Shah Jahan ne khush ho kar hukam diya keh darya-e-ravi se aik nehar nikal kar lahore ke paas se guzari jaye. Shah Jahan ne ye nehar tayar karne ke liye 2 lack rupay diye. Aik saal ke baad Shah Jahan dobara Lahore aaya tou canal mukamal ho chuki thi. Badshah ne farmaesh ki keh is nehar ke kinare aik wasi o areez aur bohat khubsurat bagh tameer (construct) kiya jaye aur us bagh mein barah dari, shahi ghusal khane aur ja baja phal dar darakht lagaye jayain. Badshah ne is kaam ke liye Khaleel Khan ko muqarar kiya lihaza Khaleel Khan ne mulk ke kayi aur officers ko sath laga kar is bagh ki tameer shuru kar di. Bagh ke liye poday kandhar aur kabul se mangwaye.

Shalimar Bagh Kab Bana - When Shalimar Garden Was Built?

Ye bagh Shalimar tha jo 80 acre zameen par pheela hua hai is bagh ka sang-e-bunyad 1637 mein rakha gaya. Is par 6 lack rupay ke qareeb lagat ayi 1 saal aur 6 months ke time mein ye mukamal hua tha. Shah Jahan ne Lahore ke qareeb jo bagh lagwaya is ka naqsha (map) kashmir wale shalimar garden ke mutabiq tha lihaza is ka naam bhi shalimar bagh rakh diya gaya. Shalamar bagh 3 takhton par mushtamil hai teenon alag alag bagh hain jo aik dusre se 12 feet ki bulandi par waqia hain. Har unchay takhtay se neechay utarne ke liye seerihan bani hoi hain idhar intihai dilkash talab bhi bana hua hai jis mein bohat sare faware lage hue hain. Fawaron ka pani sang-e-mar mar ke hozon mein girta hai. Ye fawaray garmiyon ke mausam mein jagah thandi rakhne ke liye lagwaye gaye thay. Yahan par sang e mar mar ki 5 khubsurat barah dariyan banai gayi hain. Badshah barahdariyon mein baith kar barsat ka nazara kiya karta tha. Bagh ke aik hisay mein jisay Hayat Bakhsh kehte hain sang-e-mar mar ka aik bohat hi khush numa takht banwaya gaya hai jahan par baith kar badshah apna darbar lagaya karta tha.

Khuch faslay par sang e mar mar ki aik abshar bani hoi hai kaha jata hai keh Aurangzeb ki beti Zaib un Nisa jo aik shairah thi is liye aksar is jagah baith kar shair kaha karti thi. Shalimar bagh mein shah jahan ne apne liye hamam bhi banwaya tha jis ke 3 hisay thay aik hisay mein 2 fawaray aur dusre hisay mein hoz hai jis mein garam aur thanda donon tarah ka pani laya jata tha jub yahan chiragh jalaye jatay thay tou hoz mein girne wala pani barish ka sama paida karta aur chiragh ki roshni bijli ki chamak ki tarah maloom hoti badshah is nazare se bohat mehzooz hota tha. Is bagh mein aisay bohat se darakh bhi hain jin par fruits lagtay hain.
Shah Jahan Lahore aya tou ameeron aur wazeeron ne arz ki keh shalamar bagh mukamal ho chuka hai. Badshah bagh mein dakhil hua tou bagh ka husn dekh kar bagh bagh ho gaya. Us waqt shah jahan ke naibeen ne hazir ho kar mubarak badain dien aur sub ne mil kar shahi hukumat ki behtari aur bartari ke liye duain mangien. Is moqa par mulk ke bare bare alam, fazal aur bazurg mojood thay un almon ne badshah se kaha keh aaj tak dunya mein aisa khubsurat bagh nahin dekha bagh ke gird unchi unchi deewarein bani hoi hain.

Lahore ka shalimar bagh dunya ke azeem baghon mein shumar hota hai yehi wajah hai keh jub kisi dusre mulk ka sarbarah badshah ya koi naamwar shakhs Pakistan ke doray par aata hai tou lahore mein shalamar bagh ki sair zaroor karta hai is bagh mein khas mehmanon ko shehriyon ki taraf se istaqbalia diya jata hai hazaron shehri muazaz mehman se milte hain aur baat cheet kar ke mehzooz hote hain. Pakistan banne ke baad dost mulkon ke sarbarah aur naamwar rehnuma aksar yahan atay rehte hain aur bagh mein istaqbalia un ke programme ka lazmi hisa hota hai. Muazaz mehmanon ko shalimar bagh mein dawat dene ki rasam angreezi hukumat ke zamane mein bhi thi.
Shalimar Garden Picture

Shalimar bagh ki shahi hesiyat bars ha bars pehle hi khatam ho chuki thi lekin is awami sair gah ki hesiyat lazawal hai bagh ki sair karne ke liye log dor daraz se atay hain. Bagh ke shuru mein yahan meela chiraghan bhi laga karta tha jo punjab ka sub se bara meela hota tha. Ye bagh mughal badshahon ki azmat ka saboot hai. Almi adaray Unesco ne is bagh ko almi saqafati wirsay ka hisa banate hue is ki baqa aur tahafuz ke liye khasoosi mehm shuru kar rakhi hai.

Next Page 2 Shalimar
logoblog

Thanks for reading Shalimar Garden History In Urdu Shalimar Bagh Information Shalamar Garden Lahore Pictures

1 comment: