Shalimar Garden Essay In Urdu Shalimar Bagh Shalamar Garden Par Mazmoon Speech Paragraph

  Lal Gulab      

Shalimar Garden Urdu Essay Shalimar Bagh

Shalamar Bagh Mazmoon: Ye tareekhi muqam Lahore ki pehchan hai shalimar bagh ka naam atay hi lahore yaad ajata hai. Ye bagh mela chiraghan ki wajah se zayada mashoor hai ye baghbanpura ke paas gt road par hai aur mughal badshahon ki yadgar hai. Is bagh mein dakhil hone ke liye aik bohat bare darwaze se guzarna parta hai. Ab tou ye bagh bhi logon se cheen kar sarkari zayafton ke liye waqaf kar diya gaya hai. Tab ye bagh logon ke liye khula tha is bagh ke 3 - 4 takhtay hain. In takhton ke alag alag naam hain jo mughal badshahon ke zamane ke rakhe hue hain. Yahan aam, jaman ke bay shumar darakht hain khushnuma fawaron wale hoz hain. Deeda zaib saaf suthri bara dariyan hain. aur shumali kone mein aik kafi chora purana kunwan bhi hai.
Us kunwain ke andar dewar mein aik tareek ghaar hai jis ke bare mein mashoor hai keh yahan garmiyon ki dopehar ko shehzade log aram kiya karte thay. Kyoun keh unhain hamari tarah air conditioning ki sahoolat naseeb nahin thien. Is mein koi shak nahin keh jadeed science ke zamane ke baaz sahulatain aisi hain keh jo hamare haan ghareeb se ghareeb admi ko bhi muyasir hain magar jis se mughliya ehd ke badshah bhi mehroom thay. Tv aur radio ko chorain aap sui gas aur cigarette lighter ko hi dekhain in cheezon ka purane zamane ke badshah tasawar bhi nahin kar sakte thay.

Shalamir bagh (shalimar garden) aik tareekhi bagh hai aur tab se lay kar aaj tak isi naam se pukara jata hai. Baaz logon ka kehna hai keh is bagh ke khuch darakht mughal badshahon ke zamane ke hain. Yani in darakhton ne mughal badshah ka zamana dekha hai. Magar aik mali ne mujhe bataya tha keh ye baat sahi nahin hai mughal zamane ke baishtar darakht khatam ho gaye hain aur un ki jagah naye darakhton ne lay rakhi hai. Is bagh ki shohrat aur baharain mela chiraghan ke dam se qaim thien. Hamare bachpan ke zamane mein mela chiraghan bagh ke andar bhi lagta tha aur bahir bhi lagta tha. Bahir dukanain sajai jati thien theater wale tamashay dikhaya karte motor cycle wale kartab dikhate thay. Dor daraz shehron aur dehat se dihatiyon ki toliyan gati bajati melay mein shirkat ke liye atien. Ye mela bagh ke andar 3 din tak laga rehta.

Bagh ke andar qatlamon aur mithai ki dukanain lagti thein jo pura mela wahan mila kar tha. Aik baar hum doston ne bhi bagh ke andar aik raat jag kar guzari thi hum ne khana bhi khud hi pakaya tha. Hamare aik taraqi pasand shaer dost ne kaha keh main aisa shandar halwa bana akr doun ga keh aap log hamesha yaad rakhain gey woh halwa aaj bhi mujhe yaad hai kyoun keh hum ne usay payaliyon mein daal kar garam chai ki tarah piya tha.

Ab aap lahore ke is tareekhi shalamar bagh mein apni marzi se dakhil nahin ho sakte bagh ke darakhton se milne ke liye aap ko baqaida ijazat hasil karni parti hai. Ye bagh darakhton ka qaid khana ban gaya hai lekin is bagh ka husn apni jagah par mehfoz ho gya hai. Kyoun keh zamana badal gaya tha aur ab log bagh mein bakron ko sath lay kar anay lage thay aur bakron ke liye ghas aur phool mein koi farq nahin hota.

Next Page 1 Shalimar
logoblog

Thanks for reading Shalimar Garden Essay In Urdu Shalimar Bagh Shalamar Garden Par Mazmoon Speech Paragraph

No comments:

Post a Comment