Importance of Sports Urdu Essay Taleemi Adaron Mein Khailon Ki Ahmiyat Afadiat
Khelon Ki Ahmiyat: School, college aur university mehaz dars o tadres ke liye nahi hote ke talba ko taleem di jae aur bas balke zehni nashonuma ke sath talib ilam ki ikhlaqi tarbiyat aur jismani sehat ka khayal rakha jata hai. Mutalia kutub, dars o tadres aur behas o mubahisa ke sath inki ikhaqi aur jismani taleem par bhi tawaja sirf ki jati hai kyun ke talib ilam sahi tor par tandrust aur sehat mand nahi hoga wo mukamal tor par talem hasil na kar sakega. Kisi danish mand ne baja kaha hai ke sehat mand dimag sehat mand jisam men hota hai. Is makole ka maqsad bhi yahi hai ke ek tandrust admi hi sahi andaz se talem hasil kar sakta hai. Is liye talemi idaron men talem o tadres ke sath sath jismani sehat ka bhi khayal rakha jata hai. Aur nisabi sar garmiyon k sath gair nisabi sargarmiyon khasusan sports ko khasusi ehmiyat di jati hai.
Talib ilmi ke zamane men har talib ilam ko khail se fitri dilchaspi hoti hai aksar talba khelon men hisa lete hen. Kheelne se dil ki harkat taiz hojati hai jiski waja se khoon tezi se jisam ke har hise men gardish karta hai aur jisam ke band masawat khul jate hen. Lungs ka amal tez hojata hai. Saf o taza hawa se khoon me se gande made kharij hojate hen. Taza hawa jism men dakhil hokar taza khoon paida karti hai pasena ane se jism ki kashafat aur mail kuchel kharij hoti hai aur jism men phurti aur quwat paida hoti hai khailne se body parts taqatwar aur pathe mazbot hote hen. Admi chak o choband rehta hai. Koi bemari jald asar andaz nahi hoti aur burhapa bhi jald apni safedi aur nakahat nahi phailata.
Ikhlaqi tor par in khelon ka sab se bara faida ye hai ke talba men ikhlaq o itehad paida hota hai. Mil jul kar kam karne ka jazba paida hota hai aur atat ameer ka sabak milta hai ilawa azen nazam o zabat ki pabandi aur munzim zindagi basar karne ke jazbat ko targeb milti hai. Mutafaka koshishon aur mushtarka masai se manzil maqsood par puhnchne ki achi tarbiyat aur talem khelon se hi hasil hoti hai. Ek acha khiladi nazam o zabat ka amuman paband hota hi is ke dil men isar, itehad aur koshish o mehnat ke jazbat ka samandar mojzan hota hai. In fawaid ke paish nazar talemi idaron ke sath sath khelon ko khas ehmiyat di jati hai.
Colleges men khailon ka incharge DP hota hai jo khelon ki sanad hasil karta hai college ki mukhtalif teams khel ke fani asoolon se mutalik is se hidayat hasil karti hen youn to colleges men buhat si khelen kheli jati hen. Lekin cricket, football, hockey, basketball, volleyball, badminton buhat makbul hen. Chunacha board aur university in khelon ke salana mukable munakad karati hai jin men se colleges ke khiladi shirkat karte hen aur har khel men awal, dom aur som ane wali teams ko inamat ya trophie di jati hai. Chunacha qoumi zindagi ke har shobe men khelon ke mukablon ko bhi kafi ehmiyat hasil hai. Har mulk apne apne daira amal men ye koshesh kar raha hai ke ise siyasi aur iktasadi bartari ke sath sath khelon men bhi fokiyat hasil ho is liye wo apne mulk ki behtreen khiladiyon ki ek team tayar karta hai. Aur do mulkon ke sath muqable kar ke in par bartari hasil karne ki puri puri koshish karta hai.
Hukumat ne khelon ki taraf khas tawaja di hai pakistan men mukhtalif bain ul akwami khelon ko makbool aam banane aur inhen almi mayar par lane ke liye ek board qaim kia gaya hai guzishta chand salon men Pakistani cricket team ne khase karhae numaya anjam diye aur iska shumar duniya ki behtren teams men hone laga hai. Aur hamari hockey team olympic mukablon men world champion rahi hai. Squash men jahangeer khan ne kabil taskher hone ka aizaz hasil kia hai.
Chunacha khelon se jahan jismani tawanai paida hoti hai aur zehni nashonuma hoti hai waha farmabadari, farz shanasi, tadber, husun intezam, sabar, qanat, tahamul mizaji aur dushman ko shikast dene ke jazbat aur ikhlaqi muhasin paida hote hain ilawa azen apne mukhalif ki taqat se margob na hona na kami aur mayusi ke bawajood himat na harna balke dat kar mukabla karna. Mushkilat men sabit qadam rehna kisi halat men bhi harasa na hona balke zehni salahiyaton ko barkarar rakhna. Ye sab osaf mehaz khelon se paida hote hen isliye khelon ki ehmiyat (importance of sports) na sirf talba aur jawano men musilma hai balke qoumon ki azmat aur shanakht bhi khelon se wabasta hai.

No comments:
Post a Comment