Cricket Urdu Essay Cricket Match Hindi Cricket Par Nibandh Ka Aankhon Dekha Haal

  Lal Gulab      
Cricket Essay Urdu - Cricket Match Ka Aankhon Dekha Haal - Crikcet Par Nibandh Hindi

Pichlay budh (wednesday) ko mera hum jamat Hameed hamare ghar aaya aur bataya keh aaj Government High School aur Islamia High School ke darmiyan cricket match ho raha hai. Ye sun kar hum ne dusre doston ko sath liya aur university ground mein pohanch gaye. Hamare jane se pehle ground khacha khach bhari hoi thi magar ab bhi talba aur dusre tamahai joq dar joq chale arahe thay. Humain apne school ke talba ko talash karne mein zara waqt laga kyoun ke talba hamesha koshish karte hain ke aik school ke talba aik hi jagah ikathay ho kar baithain aur ikathay hi taliyan bajayain aur wese bhi aise moqay par aik sath rehne mein zayada acha lagta hai.
Cricket Essay In Hindi

Waqt muqarrah par umpire ground mein nikle jo apne zamane ke behtareen khaladi reh chukay thay. Thodi hi dair baad donon teams ke captains ground mein aa gaye. Kheel ka aghaz karne ke liye toss kiya gaya toss government high school ne jeet liya. Lihaza unhon ne 2 opning batsman kheel ke maidan mein bheej diye. Un ke bahor nikalne par tamashaiyon ne taliyan baja baja kar asman sar par utha liya aur kheel shuru ho gaya. Shuru hone ke thori dair baad government school ke 2 khaladi 10 runs bana kar out ho gaye aur is ke baad ke 3 khaladi bhi bari mushkil se 15 runs bana sake. Ye khaladi kheelne ke aitbar se ache record ke malik thay magar chance ki baat hai government school ki team par khuch mayoosi si cha gayo. Islamia High School ke bowlers bohat achi bowling kar rahe thay. Is waqt tou aisa maloom ho raha tha keh Government School ki fatah bohat mushkil hai aur Islamia School ki team Government School ko buri tarah se shikast de gi. Is ke baad Government School ne apne captain ko bheeja jis ne aa kar mukhalif bowlers ka khoob muqabla kiya. Yahan tak keh woh century banane mein kamyab ho gaya. Dusre khaladi kheelte tou rahe lekin bohat zayada kamyabi se nahin. Thori thori runs bana kar out hote gaye aur captain akhir tak out nahin hua tha. Pehli innings mein un ka sirf 145 runs ka score tha.

Is ke baad Islamia School ne kheelna shuru kiya un ke khaladi Government School ke muqablay mein bohat ache thay lekin Government School ki feelding behtar thi. Woh bare sabar o istaqlal ke sath bowling aur feelding karte rahe. Islamia School ke muqablay mein Government School ki bowling bhi achi thi. Pehle 3 khaladiyon ne acha khasa score kar liya jo 90 tak pohanch gaya tha. Magar is ke baad samajh nahin ayi ke hua kya woh sirf 70 runs aur bana sake aur is tarah woh sirf 160 runs bana kar out ho gaye. Taham Islamia School ko Government School par 15 runs ki bartari hasil ho gayi.

Ab pehli innings khatam ho chuki thi aur dusri innings shuru hone wali thi. Is waqt Government School ke manager ne apne khaladiyon ko aik jagah kar ke aik taqreer ke zariye hoslay buland kar ke un mein nayi ruh phoonk di aur unhain yaqeen dilaya keh ab fatah hamari hi ho gi. Is ke baad dusri innings ka aghaz hua Government School ke khaladiyon ne is baar pehle se acha kheelna shuru kiya pehle 2 khaladiyon ne 70 runs banaye is ke baad bhi jo khaladi aye unhon ne bhi acha kheela aur baqi 8 khaladiyon ne 105 runs banaye. Is tarah is innings mein Government School ne 175 runs banaye. Ab un ke total 320 runs ho gaye is dafa bhi donon teams ne bari maharat ka muzahira kiya. Ab Islamia School ko match jeetne ke liye 161 runs ki zaroorat thi.

Is ke baad Islamia School ne kheelna shuru kiya ye bhi bohat pur umeed dikhai dete thay aur shayed is liye unhon ne ahtyat se kaam kiya. Un ke 2 khaladi jate hi catch out ho gaye aur score bhi sirf 18 tha. Phir unhon ne zayada behtar kheelna shuru kiya lekin 2 khaladi phir run out ho gaye jo sirf abhi tak 355 runs bana sake thay. Ab ye khaladi khuch ghabraye hue se dikhai dene lage thay kyoun ke 4 khaladi out ho gaye thay aur un ka score zayada na tha aur is tarah baqi khaladi bhi atay hi out hote rahe youn in ki team 47 runs se ye match haar gayi. Humain dilchasp cricket match acha laga aur hum khushi khushi ghar laut aye.
logoblog

Thanks for reading Cricket Urdu Essay Cricket Match Hindi Cricket Par Nibandh Ka Aankhon Dekha Haal

No comments:

Post a Comment