Cricket History Urdu Cricket Information Hindi Meaning Cricket Ki Tarikh Kab Shuru Hoi

  Lal Gulab      
Cricket History Urdu - Cricket dunya ke maqbool tareen kheelon mein se aik hai lekin bohat se log is ki tarikh ke baray mein la ilm main.  Cricket kab start hoi aur is kheel par kon kon se arooj o zawal aye. Cricket kayi marahil tay karti hoi aaj apni mojooda shakal mein mojood hai. Test ke ilawa aik roza aur 20-20 cricket ne is ki maqbuliyat mein izafa karne mein aham kardar ada kiya hai. Zair e nazar tehreer mein cricket ki tarikh ke halat o waqiat ko bayan kiya gaya hai.

Cricket Meaning In Urdu: Cricket bar-e-sagheer mein shoq se kheeli jati hai Pakistan is kheel mein world cup bhi jeet chuka hai. Cricket ki history ke bare mein yaqeen se khcuh nahin kaha ja sakta lafz cricket ka pehli baar istemal kab hua. Is ke bare mein waziha tor par maloom nahin lekin itni baat zaroor kahi ja sakti hai ke lafz cricket french language cric se liya gaya hai. Taham ye lafz 1478 tak french zuban ka hisa nahin ban saka tha. Baaz morkheen ka khayal hai keh cricket ka word cric cric ki taraqi yafta shakal hai jis ka matlab danday ya hathi ke hain. Cricket ke mutaliq ye baat yaqeen se kahi ja sakti hai ke is ka aghaz bar-e-azam europe se hua. Mahireen ke mutabiq cricket ya is se milta julta kheel 13th century mein start hua tha. Is tarah ke shawahid aik qadeem painting se milte hain jis mein 1 naujawan seedhi jhari aur ball pakray hue hai aur dusra danday se isay zarb lagana chahta hai.

Cricket Ki Tarikh: Tareekhi haqaeq ke mutabiq ye painting 1230 ki hai cricket se mutaliq aik dastaweez ka tazkara russel ki book mein mojood hai is dastaweez mein likha hai ke 1550 mein saray county mein malka bartania ke darbari jub school mein scholar thay tou wahan par bache aur un ke dost cricket kheelte thay. Ye qadeem dastaweez 16 january 1598 ki hai. Russel ne apni kitab history of gold ford mein is dastaweez ka tazkara kiya hai. Cricket ka kheel henry hashtam ki badshahat ke khatam hone tak awam aur naujawanon mein maqbool ho chuka tha.

Aam khayal hai keh cricket ka aghaz England ke janoob mashriqi hisay ke sabzazaron ki charagahon se hua. Charwahon se ye kheel awam tak pohancha aur phir ahista ahista ameer log bhi is kheel mein dilchaspi lenay lage. 16th aur 17th century mein England samait dusre european countries mein aik kheel mukhtalif names se kheela jata tha. Us mein khaladi dortay hue ball ko hath paon ya lakdi se zarab lagatay thay.

Cricket ka pehla match 1946 mein England ki county kent ke muqam par hua. Us zamane mein cricket bartanwi dor daraz alaqon ke sath sath dunya ke degar alaqon mein bhi pohanchna shuru ho gayi thi. 1676 mein bartanwi shahi behria ke 3 jahazon ke malahon ka aik group mashriq wusta ke doray par aaya tou woh turkey ke aik shehar ke qareeb behr-e-rome ke sahil par langar andaz hue. Phir woh wahan se taqreeban 88 km maghrib mein sham ke aik shehar ke muqam par aye jahan par unhon ne bartanwi bashindon ke sath cricket ka pehla match 1697 mein kheela. Mahireen ke khayal mein ye cricket ka qadeem tareen match tha jo england se bahir kisi aur mulk mein kheela gaya. Bartania mein cricket ka pehla match 1697 emin kheela gaya tha jis ke natijay par 50 ashrafiyon ka inaam rakha gaya tha. 1709 mein kent aur london ke darmiyan aik match hua. Jise baja tor par pehla inter county match qarar diya ja sakta hai. Aaj cricket dunya ke famous sports mein shumar hoti hai is ka almi cup kar 4 saal baad hota hai.
logoblog

Thanks for reading Cricket History Urdu Cricket Information Hindi Meaning Cricket Ki Tarikh Kab Shuru Hoi

No comments:

Post a Comment