Waqt Ki Pabandi Urdu Essay Punctuality of Time Poetry Waqt Ki Ahmiyat Speech

  Lal Gulab      
Waqt Ki Pabandi Essay In Urdu - Waqt Ki Pabandi Poetry Urdu Time

Jo Har Kaam Karta Rahe Waqt Par,
Milay Us Ko Aram Sham o Sehar.

Mafhoom: Kisi kam ko mukarara waqt par aur bakaidgi se sar anjam dena pabandi waqt kehlata hai. Waqt ek zanjeer hai Second, mint, ghante, din, hafte, sal aur sadiyan is ki mukhtalif kariyan hein. Ye kariyan ahista ahista magar harkat karti rehti hein. Zindagi ki gari apni manzil ki taraf rawah dawah rehti hai.

Ahmiyat: Waqt ki pabandi bari ahmiyat ki hamil hai jo insan waqt ki pabandi yani (punctuality of time) karte hein wo apne maqasid hasil karne mein kamyab hote hein lekin jo waqt ki qadar nahin karte, wo nakam rehte hein. Tarikh ne gawahi di hai ke waqt bara anmol khazana hai isay fazul zaya karna danishmandi ki bat nahin. Zaya ki hoi dolat mehnat kar ke dubara hasil ki jasakti hai, khoi hui sehat dawa, parhez aur umda khorak se dubara hasil ki jasakti hai par guzre hue waqt ka aik lamha bhi wapis nahin la sakte chahe hum jitni marzi fehm o farasat, asar o rasukh aur dolat rakhte hon.

Nizam e Kainat: Beshak sare ka sara nizam kainat pabandi waqt mein jakara hua hai. Suraj aur chand waqt par tulu aur gurob hote hain, din rat aur mosmoon ke anay aur badal janay mein waqt ki pabandi ka pura pura amal dhakal hai.

Taraqi-o-Kamrani: Afrad ya akwam ki taraki-o-kamrani ka inhsar pabandi waqt par hai. Jo afrad aur qomein waqt ki pabandi karti hein aur is ki qadar o qemat janti hein, wo taraki ke ala makam par pohanch kar hi rehti hai. Jo afrad aur qomen waqt ki ahmiyat ko nahin samajtein, wo buhat jald zawal ka shikar ho jati hein.

Waqt Baish Qeemat Khazana Hai: Waqt sab se bari dolat hai aik besh qeemat khazana hai, khoi hui dolat to dubara mehnat karke hasil ki jaskti hai magar guzre hue waqt ke lamhat kisi qeemat par wapis nahin laya ja sakta.

Gaya Waqt Phir Hath Aata Nahin,
Koi Bhi Waqt Ko Rok Pata Nahin...

Arkan Islam Aur Pabandi Waqt: Quran majeed mein irshad e bari tala hai ke.
"Beshak namaz momineen par waqt muqarara par farz ki gai hai."
Islam ke degar arkan roza, haj o zakat wagera bhi hamein waqt ki pabandi ka dars dete hein.

Kisan Ki Misal: Kisan ki zindagi se hamein pabandi waqt ka sabaq milta hai. Wo waqt par fasal bone ke liye zamen tayar karta hai. Wo waqt par beej dalta hai aur waqt par us zameen ko serab karta hai. Waqt par fasal kat'ta hai. Auqat ki pabandi ki badolat hi kisan lehlihati faslon ka munh dekhta hai.

Fauji Ki Misal: Fauji ki zindagi pabandi waqt ka behtren namuna paish karti hai, us ka khana pena, sona jagna, aur degar sab kam waqt ki pabandi ke taba hote hein.

Talib ilm Ki Misal: Talib ilm ke liye waqt ki pabandi bohat zaruri hai. Wo subah sawere uthta hai aur mukarara waqt par school jata aur ata hai. Waqt ki pabandi karne wala talib ilam hamesha imtehan mein kamyab hota hai.

Mulazim: sarkari ya private mulazim ki zindagi bhi pabandi waqt ke taba hoti hai. Waqt ki pabandi karne wale mulazim hi apne mehkama mein izat aur acha mukam pate hein.

Dost Bhi Aur Dushman Bhi: Waqt insan ka dost bhi hai dushman bhi. Jo log waqt ki qadar karte hein. Waqt unka dosta banjata hai aur in ke liye naimaten lata hai. Lekin jo log iski qadar nahin karte waqt inka dushman banjata hai.
logoblog

Thanks for reading Waqt Ki Pabandi Urdu Essay Punctuality of Time Poetry Waqt Ki Ahmiyat Speech

No comments:

Post a Comment