Importance Of Time Urdu Essay Waqt Ki Qadar Poetry Time Management Speech Hindi

  Lal Gulab      

Importance Of Time Urdu Essay Waqt Ki Qadar o Qeemat With Urdu Poetry

Waqt beshak qeemti dolat hai isay younhi na janey dain. Allah Ta'ala ki amanat  hai waqt jis ka aik pal bhi raigaan karna mujrimana khayanat hai. Waqt ek qeemti sarmaya hai jo har shakhs ko Qudrat ki taraf se yaksan ata hua hai. Jo log is sarmaya ko sahi tarah se aur munasib moqay par kaam latay hain wohi jismani rahat aur roohani sakoon hasil kartay hain. Isi daulat ke sahi istamal se aik wehshi muhazab ban jata hai aur aik muhazab farishta seerat, isi ki barkat se jahil, alim, muflis towangar, nadan, dana o tajarba kar bantay hain.

poetry waqt ki qadar shayari in urdu
Goya waqt hi ek aisi dolat hai jo shah o gada, ameer o garib, taqatwar o kamzor sab ko yaksan milti hai. Sofia karam farmate hain " Alwaqt saif katiah". Hukma ka kol hai ke zamana siyal hai ise kisi an sukoon nahin. Isi tarah ek mashoor misal hai ke " Alwaqt man zahab" yani waqt ek sona hai jo insan waqt ki qadar jante hain in ke liye waqt bohat giran hai. Iska makam awla o arfa hai. Waqt insan ke paas is tarah ata hai jaise koi dost bhais badal kar ata hai aur chup chap baish qeemat tohfay apne sath lata hai.

Waqt roi ke galon ki manind hai aqal o hikmat ke charkhay mein kaat kar is ke qeemti paar chaat banalo. Warna jahalat ki andhiyan isay ura kar kahin ka kahin phaink dain gi. Is liye jo kaam jitni mehnat aur waqt laita hai itna hi umda, mufeed aur dair pa hota hai. Waqt pa kar shahtoot ki patiyan resham ban jati hain waqt aik aisi zameen hai jis mein mehnat ke baghair khuch paida nahin hota. Saei kamil ki jaye tou ye zaroor phal deti hai bekar chhor di jaye tou khardar jhariyan ugati hai. Is liye waqt ki qadar karo aur apni umar ko ganimat samjhte hue is ke ek ek minute ko baroe kaar la kar apni zehni jismani salahiyaton ko ujagar karo. Zindagi main kamyabi tab hi hasil hogi jab ek ek lamha ko qeemti samjhte hue isko beja sarf na kia jae na koi kam kabil az waqt kia jae na is main beja takhir ki jae. Is ki behtren misal hamain kainat se milti hai. Ye bat hamare aam Mushaide main hai ke din rat apne mukarara waqt par ate jate hain.

Agar koi sayara apni gardish main ek second ki bhi dair karday to bas qayamat ajaye. Isi tarah zameen apne 50 crore meel ke safar ko baqaidgi ke sath pura karti hai aur is main muqarara waqt se aik second ke lakhain hise ki bhi kami baishi nahin hoti aur hazar ha saal se qudrat ka nizam qaim hai. Agar hum kainat ke is nizam par ghor karain tou yaqenan isi tarah hum bhi apni zindagi main ane wali beja mushkilat jo waqt par kaam na hone se hum par ati hain un se bach sakte hain is liye kehtay hain ke rozana aik ghanta sarf kar ke aik jahil insan bhi dus saal main aik darjay ka ba sabar aur alim fazil ban sakta hai aur aik gum nam shakhs aik mashoor admi aur aik nakara admi qoum ka mohsin ban sakta hai. Is liye mil kar ehad karen ke aenda hum apne tamam kaam waqt par karain ge aur waqt ki qadar kar ke is ki dolat se mustafeed hon ge.
logoblog

Thanks for reading Importance Of Time Urdu Essay Waqt Ki Qadar Poetry Time Management Speech Hindi

No comments:

Post a Comment