City Life Essay In Urdu Shehri Zindagi Ke Masail Hindi City Life Faide Importance

  Lal Gulab      
Shehri Zindagi Urdu Essay City Life Essay In Hindi

Shehar Ke Roshan Pehlu - City Life Advantages In Urdu

Taleemi Saholaten Shehri Zindagi Ke Faide
Shehron mein taleemi saholaten aam hoti hain shehri log taleem yafta hotay hain aur unhein apne bachon ko behtar taleem dilanay ke mawaqay muyassar hotay hain ilawa azeen shehron mein ilm ka charcha aam hota hai aur har shakhs ilm o fan se mustafeed ho sakta hai.

Zaroriat Zindagi Ki Farahmi
Shehron mein aam zaroriat zindagi ba asani dastyab ho sakti hain aur har shakhs roz marrah ki zaroriat aur zindagi ki aam  sahoolaton se behra war ho sakta hai aur is terhan woh apni zindagi ziyada par sukoon aur aaraam da guzaar sakta hai.

Tibbi Saholaten
Bemari ki soorat mein shehron mein tibbi saholaten aam hoti hain yahan achay se achay daktravr hakeem aur muyassar ajati hain aur phir haspatalon aur shafa khanon ki sahoolat bhi muyassar hoti hai aaj kal chunkay bemariyan aam ho gayi hain is liye un ka ilaaj mualjay ke liye mawaqay bhi aam hain.

Rozgaar Ki Farahmi
Mulazmat aur karobar ke mawaqay bhi ziyada tar shehron mein hi mlitay hain is terhan yahan rozgaar ka masla behtar tor par hal ho sakta hai is se logon ka miyaar zindagi buland hota hai.

Behtar Zaraye Amad o Raft
Shehron mein behtar zaraye amad o raft muyassar hotay hain is liye logon ko amad o raft ke liye diqat ka saamna nahi karna parta aur kaarobar zindagi mein aasani peda ho jati hai.

Sanati Taraqi
Shehron mein kaar khanay, factories aur deegar sanati o fani idaray aam hotay hain shehar ke log un kaar khanoon aur idaron mein kaam karte hain aur is terhan mulk sanati lehaaz se taraqqi karta hai aur mulk ki fi kis aamadani mein izafah hota hai.

Tafreehi Sahoolatein
Shehron mein mukhtalif qisam ki tafrehi saholaten maslan cinema, theater, radio, TV aam hotay hain aur log jab kaam se ukta jatay hain in se apna dil behla satke hain aur gham zindagi se kaafi hadd taq nijaat haasil kar saktay hain.

Raftaar Taraqi
Aaj ki duniya nihayat taizi se taraqi ke marahil tey kar rahi hai shehar ke log raftaar zamana ka sath dete hue taraqqi ki is dorr mein shareek rehtay hain is tarah infiradi aur ijtimai taraqqi ke naye naye rastay khultay hain.

Ehsas Tahaffuz
Chunkay shehron mein police aur qanoon nafiz karne walay deegar idaron ka behtar intizam hota hai is liye log jaan, maal aur aabaroo ke tahaffuz ke baare mein kam fikar mand hotay hain.

Shehar Ke Tareek Pehlu - Disadvantages Of City Life In Urdu - Shehri Zindagi Ke Masail In Urdu

Shoor Aur Hungama Shehri Zindagi Ke Nuqsan
Shehar ka mahool dehaat ki terhan par sukoon nahi hota yahan ki traffic ke shore se boujhal aur kaar khanon ke dhowen se kaseef rehti hai kaar khanon, factories aur traffic waghera shoor o ghul ki wajah se shehrion ko sukoon ke lamhaat kam hi muyassar atay hain aur woh jamee ke sath kaam nahi kar satke.

Rehaish Ka Masla
Shehron mein rehaish ka masla bohat sangeen hota hai abadi ke lehaaz se munasib rehaishi sahulaton ka fuqdaan hota hai karaye par makaan nahi mlitay aur aksar log tang o tarik aur ghaleez makanon mein rehtay hain jis se un ki sahet par bohat bura asar parta hai ilawa azeen bharhti hui abadi ke baais peenay ke pani, taleemi o tibbi sahulaton ki kami waghera jaisay sangeen masail ka saamna hota hai.

Pur Takaluf Zindagi
Shehron ke log apne rehan sehan mein bil umoom takaluf aur numaish ke ziyada aadi hotay hain woh apni hesiyat se barh kar khud ko barha charha kar paish karte hain jis ke natijay mein un ki zarooriat zindagi be tahaasha barh jati hain aur yahi cheez un ke sukoon qalb ke liye behtar nahin.

Machini Zindagi
Shehron ki zindagi machini qisam ki hoti hain ajab nafsa nafsi ka aalam hota hai yahan bahami hamdardi aur dosray ke dukh ka ehsas kam hota hai faraghat aur mil bhaithne ka mauqa kam milta hai har shakhs machine ke purzey ki tarhan rawan dawaan nazar aata hai.

Shehron Mein Masrofiyat
Shehron mein log bohat masroof hotay hain har koi apne kaam mein laga rehta hai aik dosray ke dukh dard shair karne ke liye un ke paas waqt nahin hota un ke zehan par aik baat sawaar hoti hain kaam kaam aur bas kaam isi wajah se woh aik dosray se bohat daur ho jatay hain aur shehron mein shoor ki wajah se bohat si bemariyan peda hoti hain aur is wajah se log uktahat ka shikaar ho jatay hain is tarhan shehron ki zindagi masroofiyat mein uljhi hui hoti hai.

Haasil Kalaam
Al gharz dehati aur shehri zindagi ki apni apni khususiyaat hain har aik ke roshan pehlu bhi hain aur tareek bhi zaroorat is baat ki hai ke dehi taraqqi ki taraf tawajja di jaye aur shehri zindagi ke masail bhi hal kiye jayen taakay hamaray dehaat aur shehar dono mil kar mulk o qaum ki taraqi aur khushhali ka bais ban saken.
logoblog

Thanks for reading City Life Essay In Urdu Shehri Zindagi Ke Masail Hindi City Life Faide Importance

1 comment: