Village Life Essay In Urdu Village Life Advantages Disadvantages Village Life Hindi Essay

  Lal Gulab      
Speech On Village Life Essay In Urdu Gaon Per Mazmoon Village Life Essay In Hindi
 
Advantages Of Village Life In Urdu
Dehat Ke Roshan Pehlu (Village Life Importance)

Husn Fitrat
Dihat mein husn ki farawani hoti hai fitrat ko apne asli roop mein dekhna ho tou gaon se behtar aur jagah nahin english ka maqoola hai keh "dehat Khuda ne banaye aur shehar insan ne".

Khas tor per dehat ki subah aur sham ke manzar bare khubsurat hain subah ka manzar dil fareb hota hai magar sham ka manzar bhi apne andar khuch kam kashish nahin rakhta ye manazar is qadar haseen hote hain keh dil karta hai dekhta hi chala jaye. Lehlahatay hue kheet haray bharay saya dar darakht, khuli fiza aur taza hawa gaon walon ke liye qudrat ka bohat bara atia hain.

Pur Sakon Mahool
Dehat ka mahool bohat pur sakoon hota hai ye Khudadad chez har shehar ke log shehar ki hungama aur tez zindagi se ukta kar sakoon ki talash mein dehat ka rukh karte hain baqol shayer (poetry)

Hai Dekhne Ki Chez Isay Baar Baar Dekhne
Sakon e Zindagi Ka Aik Rasta Ye Bhi Hai

Sehat Mandana Mahool
Dehat ka mahool saaf suthra aur sehat mandana hota hai deehati log khuli fiza aur sada makanat mein rehte hain mehnat karte hain aur taza hawa aur khalis ghaza khate hain yehi wajah hai keh woh shehri logon ki nisbat zayada tawana aur sehat mand hote hain kisi ko blood pressure ki bimari nahin na koi sugar ka mareez hai na dil ki bimari.

Sadgi o Khaloos
Dehati log bohat sada aur mukhlis hote hain un ki zindagi mein takaluf, banawat, faraib aur dikhawa nahin hota woh khaloss aur saaf dili ka pekar hote hain woh bilkul saaf niyat aur seedhay sadhay hote hain.

Qanat Pasandi
Dehati log qanat pasand hote hain lalach aur hars se door hote hain woh apni qismat per sabar shukar karte hain aur is liye itminan ki zindagi basar karte hain.

Akhuwat o Mohabbat
Gaon ke log akhuwat o muhabbat ke namunay hote hain woh aik dusre se dili mohabbat karte hain aur aik dusre ke dukh dard mein barabar shareef hote hain pura gaon jese aik khandan hota hai gaon ki zindagi mein aik shakhs ke gham aur aik shakhs ki khushi ko sub ki khushi samajhte hain.

Mehman Nawazi
Gaon ke log bohat milansar aur mehman nawaz hote hain jub un ke haan koi mehman aata hai tou bohat khushi ka izhar karte hain aur apni basat se barh kar us ki khatir madarat karte hain.

Mehnat
Gaon ke log susti aur kahli se koson door hote hain woh sakht mehnat aur mushaqat ke aadi hote hain kisan ki mehnat zarab al masal hai woh mehnat aur mushaqat se anaj ugatay hain aur wohi dunya ki khorak banate hain baqool shayer.

Woh Thaktay Hain Chain Pati Hai Dunya
Kamatay Hain Woh Aur Khati Hai Dunya

Disadvantages Of Village Life In Urdu
Dehat Ke Tareek Pehlu

Jahalat
Dehati zindagi ka sub se tareeki pehlu jahalat hai jo aik bohat bari lanat hai dehati log ilm ki roshni aur us ki barkaton se mehroom hote hain aur yehi un ki sub se bari mehroomi hai jub tak hamare dehaat mein taleem ko farogh hasil nahin hota hum dahi taraqi aur khush hali ka khawab nahin dekh sakte.

Fazol Rasmein
Dehat ke log bilamoom lakeer ke faqeeq hote hain rasm o rawaj ki najaiz had tak pabandi karte hain apne paseenay ki kamai shadi ki fazool aur muqadma bazi mein barbaad kar dete hain aur is tarah paise ke sath sath apna qeemti waqt bhi zaya karte hain.

Tang Nazri
Dehat ke log bilamoom mutasab aur tang nazar hote hain un mein farakh dili aur wust nazri ka fuqdan hota hai un ke khayalat, nazriyat aur aqaid waziha nahin hote balkeh un mein hat dharmi aur uljao ka amal dakhal hota hai.

Zarooriyat Zindagi Ki Diqat
Dehat mein agar koi bimar par jaye tou usay kisi qisam ki tibi sahoolat muyasir nahin aati dehati log aksar bimari ka ilaj totke se karte hain aur khas tor par sangeen qisam ki bimari mein unhain ilaj ke liye kisi shehar ka rukh karna parta hai.

Zara e Amdoraft Ki Diqat
Zarae amdoraft ki sahoolay na hone ki wajah se dehat bilamoom shehron se katay hote hain unhain apna ghala shehar ki mandiyon mein pohanchane mein sakht mehnat ka samna parna parta hai aur degar zarooriyat ke silsilay mein bhi sakht mehnat karni parti hai natijatan woh taraqi ki door mein peechay rehtay hain.

Adam Tahafuz
Aksar dehat police aur qanoon nafaz karne wale adaron se door hote hain is liye dehat mein rehne walon ko apni hifazat ke silsile mein bari mushkilat ka samna karna parta hai.
logoblog

Thanks for reading Village Life Essay In Urdu Village Life Advantages Disadvantages Village Life Hindi Essay

No comments:

Post a Comment