Black Pepper Benefits Urdu Kali Mirch Ke Faide Hindi Kali Mirch Ke Fawaid For Cough

  Lal Gulab      
Black Pepper Benefits In Urdu Kali Mirch Ke Faide In Hindi: Khanay ka 1 chamcha kali mirch powder oil mein fry kar liya jaye aur isay us waqt tak fry kiya jaye jub tak sara mawad kala na ho jaye is ke baad oil ko us jagah par jahan dard ho raha ho wahan malish ki jaye tou khuch hafton mein ye marz jata rahe ga.

Shayed hi koi aisa ghar ho ga jis ke kitchen mein kali mirch batoor masala mojood na ho ghar ke kitchen se lay kar baray hotels wale aur reerhi par khanay bechnay wale bhi khanon mein kali mirch istemal karte hain. Pakistan par hi kya puri dunya mein kali mirch zaiqa barhane hata keh isay ghazaon mein aham juzu ki hesiyat mein istemal hoti hai yehi wajah hai keh isay masalhon ki malkah kaha jata hai.
 
Kali mirch sadiyon se use ki ja rahi hai is ke pattay (leaf) nokdar aur 5 se 6 inch tak lambe aur 3 inch tak choray hote hain. Kali mirch qabal az masih se khanon mein nagwar bu khatam karne aur medicines mein balgham ke akhraj aur tehreek paida karne ke liye istemal ki jati rahi hai. Ye istemalat aaj bhi ho rahe hain qadeem unani aur roman tehzeebon mein kali mirch istemal karne ke asar milte hain. Ye Black Pepper  plant  youn tou dunya ke tamam numayan mumalik mein kasht ho raha hai lekin europe aur bar-e-sagheer mein kali mirch ki kasht bohat zayada ho rahi hai.

Medical Benefits Of Black Pepper In Hindi Kali Mirch Ke Fawaid Tibi

Ye asabi nazam ko taqwiyat dene ke ilawa zaiqa talkh hai hazma darust karti hai balgham kharish kali mirch se hasil karda roghan mukhtalif medicines mein use hota hai. Ye khane se stomach aur la'aab dhan ki ratubatein barh jane se bhook barh jati hai. Albata stomach ke ulcer mein mubtala afrad ko kali mirch istemal nahin karni chahiye par isay jin diseases mein istemal kiya ja sakta hai woh ye hain.

Badhazmi

Stomach ki nagrani aur degar wajuhat ki bana par jub meda badhazmi ka shikar ho jaye tou aik chatank kali mirch pees kar us ka powder bana liya jaye aur us mein shakar ka shera shamil kar ke khilaya jaye tou bad hazmi ki shikayat khatam ho jati hai. Albata jinhain tezabiyat ki shikayat hai woh ye nuskha istemal na karain. Badhazmi khatam karne ke liye aik desi nushka bhi istemal kiya ja sakta hai. Chai ke chamcha ka chata hisa kali mirch ke safoof ko lassi mein mila kar piya jaye tou badhazmi aur stomach ka bojhal hona khatam ho jata hai.

Nazla Zukam

Purane zamane mein hi nahin mojooda dor mein bhi dehaton aur chehron ke riwayati khandanon mein bazurg aise afrad ko jinhain sardi ki wajah se nazla zukam ho gaya ho unhain doodh mein badam aur khashkhas ke sath kali mirch boil kar ke pilatay hain tou nazla zukam khatam ho jata hai. Shadeed nazla zukam mein 30 gram kali mirch ka powder chutki bhar safoof haldi ko milk mein boil kar ke 3 days tak aik aik baar pilaya jaye tou us marz se nijat mil jati hai.

Mardana Kamzori Aur Kali Mirch Ka Kamal

Kali mirch ke ajza mein aisi khasusiyat shamil hain jo rozana 1 glass doodh mein 4 danay badam aur kali mirch ke 6 danay aik sath khaya peeya karain.

Hafza Mein Izafa Ke Liye

Kali mirch dimaghi o aisabi nazam ki islah karti hai chai ke aik chamach honey mein chutni bhar kali mirch ka safoof shamil kar ke shehad use karain tou zehni quwaton mein izafa ho ga umeed hai is masalay ke fayde jaan kar is ka sahi istemal karain ge.
logoblog

Thanks for reading Black Pepper Benefits Urdu Kali Mirch Ke Faide Hindi Kali Mirch Ke Fawaid For Cough

No comments:

Post a Comment