Balgham Ka ilaj Urdu Balgham Treatment Urdu Balgam Home Remedies In Hindi Desi Totka

  Lal Gulab      

Balgham Ka ilaj in Urdu Balgham Treatment In Hindi

Balgham Treatment In Urdu Balgam Ka Desi ilaj Ghareelu Tareeqa Khatam: Sardi ke mausam mein chati ka jakar jana aur balgam ka paida hona Aam si bat hai aur hum is se nijat ke liye mehangi adwiyat ka istamal karte hein lekin aj hum aap ko aik asan nuskha bataenge jis par amal kar ke aah khansi aur balgam se sirf aik rat mein nijat palenge.
Ajza
  • Khalis Shahad
  • Atta
  • Vegetable oil
  • Naipkin
  • Roi

Banane Ka Tarika

Atte aur shahad ko mix kar aik ameeza bana lain khayal rahe ke ye ameeza bohat zayada garha ya patla na ho. Ab mein vegetable oil shamil karen, is amaize ko naipkin par rakhen aur ise cheez wale kapre mein tah lagadain is amaiz ko kisi kapre ki madad se apne sene se bandh lain khayal rahe ke ye phaha dil ke uper na laga ho balke is ke uper maujood ho. Is kapre ko sene par 3 ghante tak laga kar rakhen aur agar sote mein ye lagaya jae bohat zayada faida mand hoga.

Bachon mein ye phaha 3 ghante aur baron mein sari rat sene se laga kar rakha ja sakta hai. Baron ke liye aap chahen to sarson ka powder ki chutki bhi shamil karsakte hein sirf aik rat ke istamal se aap khansi mein aram aur balgam se nijat palenge agar ise mazid raton ko duhraya jae to balgam aur khansi se mukamal nijat mil jaegi. Balgam se nijat dilane wali ghizain aur wo khane jin se balgam paida hoti hai: Sardiyon ka mausam apne urooj par hai aise mausam mein nazla o zukam aik aam si cheez hai jabke zukam ke sath balgam ki shikayat bhi aksar hojati hai. Aiye aap ko btate hein ke kon kon se tarike aur ghizain hein jin ke istamal se balgam banti aur kin se khatam hoti hai.

Dairy Ki Masnooat

Doodh, Dahi ya makhan se balgam nahin banti lekin agar aap ko pehle hi se balgam maujood hai to ise mazeed kharab kardengi lehaza bemari ke dino mein in se bachain.

Caffine Wali Ghizain

Caffine Aam tor par coffee, chae aur soft drinks mein pai jati hai aur is ke istamal se jism mein pani ki kami ho Hojati hai aur balgam ka masla paicheda hosakta hai is liye zaruri hai ke caffine wale mashroobat se ijtanab karen aur zayada se zayada pani piyaen.

Ghizaon se Illergy

Khuch logon ko ghizaon se illergy hoti hai in ghizaon mein dairy masnooat khushk mewajat , ande, soya wagera shamil hein. Agar aap ko in mein se kisi bhi ghiza se illergy hai to in se ijtinab karen.

Gosht Ka Istamal

Gosht aur andon mein bohat zayada protein hoti hai jis ki waja se ye balgam banati hein agar Aap gosht ke shoqeen hein to phir surkh gosht ki bajae machli aur murgi khain ta ke balgam hone ka kam imkan ho.

Chiknaiyan Aur Tail

Aisi chiknaiyan jo janwaron se banai jain maslan makhan omega fatty 6 janwaron se banai jati hein aur ye balgam paida karti hein lehaza in ka istamal na karen aur aisi chiknaiyan istamal karen jo podon se banai gai hon jin mein vegetable oil shamil hein.

Histamine Wali Ghizain

Aisi ghizain jin mein histamine paya jata hai wo balgam banati hein lehaza aisi ghizaon se parhez karen. Histamine aam tor andon, tomato, palak, mashrooms, dahi aur sirka mein pai jati hai aur ye khane se aap ko balgam ki shikayat hosakti hai. Kuch ghizain aisi bhi hein jin mein histamine nahin hai lekin phir bhi balgam paida hoti hai aisi ghizaon mein kaila, strawberry, ananas, khushk mewajat, papita aur chocolate shamil hein.

Adrak

Aam tor par adrak balgam khatam nahin karta lekin agar aap apni bemari se thek horahe hon to adrak ke istamal se aap ka mudafiti nizam behtar hota hai aur bemari se jald sehat yabi hoti hai.

Shahad

Balgam se larne ke liye shahad mukamal ghiza hai is mein paya jane wala anti oxidant aur degar ajza aap ke liye bohat mufid hein. Shahad aur adrak ko mila kar istamal karne se bohat zayada faida hota hai aur balgam khatam hota hai.

Pyaz

Pyaz katne se Ankhoon mein ansoo ana aik Aam si bat hai jis se andaza hota hai ke ye kis tarah taiz sabzi hai lehaza agar ise shahad ke sath istamal kia jae to ye Aap ki balgam khatam karne mein eham kirdar ada karta hai.

Kadu

Agar Aap balgam se pareshan hein to zayada se zayada kadu ka istamal karen kyun ke is mein balgam ke khilaf kam karne ki bohat taqat maujood hai.

Grape Fruit

Is fruit mein Salicylic acid paya jata hai aur is ke istamal se aap ko balgham se nijat milaygi lekin agar aap dawaiyan kharahe hein to grape fruit ka istamal na karen kyun ke salicylic acid se aap ka ilaj mutasir hosakta hai.

Ananas

Ananas khane se meda behtar rahta hai aur sath sath ye balgam bhi khatam karta hai.

Surkh Mirch

In mein aik khas juz caipsaseen hota hai jo ise karara banati hai. Agar aap surkh mirch istamal karen to ye balgam ko nasirf khatam karti hein balke ise jism mein maujood balgam ko bhi bahir nikalti hai.

Chemomail Chai

Is chai mein flavonaid aur aipijin maujood hote hein jo balgam ko jism se nikal kar ise banne se rookta hai.
logoblog

Thanks for reading Balgham Ka ilaj Urdu Balgham Treatment Urdu Balgam Home Remedies In Hindi Desi Totka

No comments:

Post a Comment