Rail Gari Urdu Essay Rail Ka Safar Train Journey Railway Station Urdu Essay

  Lal Gulab      

Raik Gari Urdu Essay Rail Ka Safar - Rail Journey By Train Ka Safar

Train Ki Sair: Insan ko apni zindagi mein kabhi na kabhi safar se wasta parta hai safar ko wasila zafar yani kamyabi ka zariya bhi kaha gya hai aur azab bhi zamana qadeem mein safar waqai azab tha lekin aaj kal jadeed zaraye amdoraft ke baes safar bohat asan aur aram deh ho gya hai phir bhi safar akhir safar hai is mein khuch takleef bhi hoti hai lekin ye apne andar bohat si dilchaspiyan bhi rakhta hai aur mukhtalif cheezon ke mushahide aur logon ke meel jol se insan ki maloomat mein bhi izafa hua hai.

Meri khala Lahore mein rehti hain pichlay saal un ke bare sajzaday ki shadi thi. Paigham mosool hua mah october ki munasbat se hum ne kapre aur zaroori saman bandha 3 bajay ke qareeb aba jaan apne office se aik gadi lay aye jis mein hum ne apna saman rakha aur cantt station pohanch gye. Plat forn par insanon ka samandar thathain maar raha tha october ki akhri tareekhon ke bawajod kafi garmi thi. Saman uthane ke baes hum paseene se sharaboor ho rahe thay har taraf thanday mashrubat ka dor dora tha. Chai nosh karne walon ki bhi kami na thi khuch log book stall par khade mutalia ke zariye waqt guzaar rahe thay. Quli musafiron ka saman la kar platform par rakh rahe thay.
Yehi Ain Qudrat Hai Yehi Asloob Fitrat Hai
Jo Hai Rah Amal Mein Gamzan Mehboob Fitrat Hai

Akhir intezar ki ghadiyan khatam hoyien platform ki hungama parwar fiza mein aik taufani garj sunai di aur dekhte hi dekhte tezgaam express sust raftari se platform ki hadood mein dakhil ho gye. Quli gari ko dekhte hi usi taraf lapkay aik ajeeb nafsa nafsi ka alam tha har koi apni seat par qabza karna aur saman ko qareenay se rakhna chahta tha hum ne apna saman apni seaton ke neechay rakh liya akhir kaar gari ne seeti bajai jald hi gari faratay bharnay lagi.

Hyderabad ke station par pohanche tou raat ke khane ka programme banaya ami jaan jo khana ghar se tayar kar ke layi thien us par hum sub hath saaf karne lage khane ke baad ami jani ne tharmas se aik aik garam chai ka cup har aik ko diya khana khane aur chai peene ke baad hum sub aik dusre ko tarah tarah ke lateefay sunate rahe. Raat 9 bajay ke qareeb aba jaan ne hum sub behan bhaiyon ko donon barthon par sula diya. Aur khud neechay aram karne ke liye lait gye 11 bajay ke qareeb gari rohri pohanchi sardi ke mare hamara bura haal tha aba jaan gadi rukte hi garam garam chai lay aye ami jaan ne apni garam shawl nikal par hum par dalien.

Rahim Yar Khan ke qareeb aik ticket collector hamare dabay mein dakhil hua aur musafiron ke ticket check karne laga. Aik musafir jo baghair ticket safar kar raha tha chupke se idhar udhar ho gya aur ticket collector ke janay par wapas aa gya woh apne is karnamay par bohat fakhar kar raha tha aik moqa par bhi woh bach nikla lekin akhir kar woh pakra gya.

Jub hamari gari Multan pohanchi tou suraj talu hua hum khidki se bahir ke nazaray asani se dekh saktay thay hamare samne hare bhare kheet thay maweshi charagahon mein char rahe thay kasan kheeton mein hal chala rahe thay, aurtein kheeton ki taraf khana liye ja rahi thien. Hamari gari nihayat tez raftari se darakhton, baron, jhariyon, kheeton, baghon, teelon aur wasi o areez maidanon se guzar rahi thi kabhi hum kache aur pake gharon par mushtamil gaon ke mushahida karte aur dihat ke bahir kheelte hue bache nazar atay. Mukhtalif qisam ke manazir palk jhapakne mein hamari nazron se guzar jate akhir kar 11 bajay hamari rail gadi Lahore pohanchi. Lahore railway station dekh kar hum hairan reh gye station par hamare khalu sahab aur un ke sajzaday yani hamare cousin thay jinhon ne hamara bari garam joshi se istaqbal kiya.
logoblog

Thanks for reading Rail Gari Urdu Essay Rail Ka Safar Train Journey Railway Station Urdu Essay

No comments:

Post a Comment