Rohri Urdu History Rohri Bridge Information Rohri City Ki Tareekh

  Lal Gulab      
Rohri Shehar
Saqafat, Tehzeeb Aur Tarikh Ka Wirsa

Rohri Urdu History Rohri City

Sindh ke qadeem tarikhi makamat (jo qadeem tahzeeb ki alamat bhi hain) itni taizi se tabahi ki janib barh rahe hain ke shahyad ane wali naslain apni tarikh, tahzeeb aur sakafat se bilkul bekhabar rahain. Rohri ke gird nowah main pae jane wale tarikhi makamat aur sakafati warson ki bhi yahi halat hai. Rohri jiski kadamat ke bare kuch chezain 1875 main daryae sindh se hath ai hain inke bare main kaha jata hai ke wo pathar ke dor ki hain iska sabot royal engineer tomailo aur mister john ke do mazamin se milta hai. Tarikhi hawalon se maloom hota hai ke pahari par 50 feet ki bulandi par ye shahir kai martaba abad aur barbad hua. Sindh gazenar main is shahar ka name "lohri" likha hua hai. Captain A west makard 1841 main general asianik society bangal main is shahar ka name "lohar kot" likhte hue kahta hai ke iska qadeem name "ror pura" ya "ror nagar" hai.

Rohri sanskirat ka laft hai jis ke maina chota shahar ke hain. Ror pura aur ror nagar ke maina pahari wala shahar hain. Is shahar ke bare main raheem khan molai shahidai ne "tarikh sukkur" main likha hai ke "ye shahar 694 main syed rukan uddin ne tameer karwaya. "G H kaznis sindh ke asar qadeema ke unwan se apni tahrir main likhte hain ke makhdom rukun uddin sadar uddin bin makhdom bhao uddin zakriya multani ne ye shahar tameer karwaya. Sukkur se rohri ate hue lanes down pull se guzarna parta hai ye pull bagair kisi satoon ke darya e sindh par khara hai is pull ko ek sadi se bhi zayada arsa guzar chuka hai. 1889 main lanes down pull railway ke liye banwaya gaya tha jab "indus state" delhi railway aur sindh pashain railway lines ke banne ke bad quetta ko karachi aur lahore se mila dia gaya tha.

Rohri Bridge History In Urdu

Rohri Pull banane ka mansooba 1872 se hukumat hind ke zair gor tha aur iski manzori 1883 main di gai magar 1885 main England se tameerati saz o saman ane main dair hone ki waja se pull ki tameer ka kam rok dia gaya 1887 main phir kam shuru hua aur 1889 tak pull ki tameer ka kaam mukamal hogaya. Lanes down pull banne ke bad sukkur sindh ka bara tijarti markaz ban gaya. Is pull ke do hise hain rohri ki taraf ka hisa jo kenchi numa khombon par khara hai is hise ki lambai 820 fit hai jab ke sukkur wale hise ki lambai 600fit hai. Is pull ka sang bunyad bombay ke governer mister larzari ne rakha tha is moke par sindh ke commisioner charles rachad aur khairpur ka wali mir ali murad khan bhi mojood the is zamane main is pull par 40lakh rupee kharch hue the tamerat ka kam england ki ek company "west daind aily"ke supurd kia gaya tha.

Engineer mister robert ki nigrani main tameer hone wale pull ko wasrae larz lanes down ke name se mansob kia gaya bars babar jane ke bad pull ki halat khasta hogai chunacha railway ke liye ise mamno Karardia gaya phir is pull ke samne ek naya pull tameer karne ka mansoba banaya gaya aur 1961 main pull ki tameer ka kam mukamal hua. 8 ajoobe ke name se maroof (lanes down pull) ki is waqt badtar halat har waqt pull ke girne ka khatra mojood hai kisi zamane main roshniyon ki alamat samjha jane wala pull is waqt andhairon main duba rahta hai. Rohri ko buzurgon aur sufiyon ka shahar kaha jata hai. Rohri ko masajid ka shahar bhi kaha jata hai shahenshah akbar ke dor main tameer karwai gai jamia masjid ka shumar shahar ki qadeem masjidon main hota hai iske ilawa quba masjid aur madina masjid bhi hain. Rohri ki degar tarikhi imarton main 5 kilometer ke fasle par "aror" nami tarikhi shahar ki imartain aur tarikhi masajid bhi shamil hain. Aksar log bare shoq se aror ghomne jate hain aur aror main raja dabir aur muhammad bin kasim ke darmiyan hone wale tarikhi jang ki alamatain daikhte hain.

Rohri ki tarikhi imarat mein Muhammad Bin Qasim ka kila bhi hai jo ab khandar ban chuka hai sirf kila ki unchi deewaron se hi maloom hota hai ke ye kila hai rohri main sawa lakh waliyon aur sufiyon ke astane hain jin main sindh ke bare sufi shair fakir qadir bakhsh ka mazar bhi shamil hai. Rohri main bibiyon ka astaan bhi hai jis ke bare main thoos tarikhi shahadatain nahin mili hain albata kaha jata hai ke ye arab se ai hui "Bibiyon" ke mazarat hain.
logoblog

Thanks for reading Rohri Urdu History Rohri Bridge Information Rohri City Ki Tareekh

No comments:

Post a Comment