Patla Hone Ka Tarika Urdu Slim And Smart Tips Slim Diet Plan Urdu Slim Hone Ka Totka Hindi

  Lal Gulab      

15 Behtareen Ghazayain Jo Aap Ko Slim Aur Smart Banayien


1: Blueberries Rozana muthi bhar blueberries se aap apni khorak mein rang bhar sakte hain. Ye neeli beeriyan jaman se alag hoti hain aur Pakistan ke super stores mein dastyab hoti hain. 40 phalon aur sabziyon ki jaanch partaal mein ye dekha gaya keh blueberries mein antioxidants ki satah (level) buland tareen hoti hai jo hamare jism ko nuqsanat aur bimaryon se bachate hain. Research se ye baat bhi maloom hoi hai keh blueberries jhuriyon aur jild par parnay wali shiknon se mehfooz aur burhapay mein bhi zehan ko fa'al rakhti hain.
2: Raspberry Walaiti Raspberries mein reeshay ya fiber ke ilawa iron aur vatimins ki bohtaat hoti hain. Raspberry mein woh natural markabat bhi hote hain jo dil ki bimari ka muqabla karne mein madad karte hain aur bazahir cancer ka khatra kam karne mein bhi madadgar hote hain.
3: Broccoli Research kehti hai keh Broccoli jo ke phool gobhi jesi sabz rang ki tarkari hoti hai se chati ke sartanon se tahafuz milta hai kyoun keh is mein antioxidants madon ki bharmar hoti hai. Is ke ilawa jism mein mojood fasad madon ko khatam karne wale ajza bhi is mein hote hain. Cholesterol ki satah kam karne aur blood pressure ghatane mein bhi is ka kardar hota hai. Mazeed ye keh is sabzi mein sangtare se zayada vitamin C paya jata hai aur iron neez degar vitamins ki bhi koi kami nahin hoti.

4: Oranges - Sangtare - KinnowRasdar phal mein narangi ya kinnow ko aik khas ahmiyat hasil hai. Ye na sirf humain cancer, dil ki bimariyon, infections aur sozishon se mehfooz rakhte hain balkeh inhain cholesterol aur blood pressure kam karne wala bhi samjha jata hai. Nazla zukam se tahafuz faraham karne ke liye is mein vitamic C bhi kafi hota hai. Is fruit mein izafi khoobi ye hai keh aik darmiyane size ke sangtare mein sirf 56 calories hoti hain aur chiknai naam ki hoti hai.

5: Cabbage - Band Gobhi Band gobhi antoxidants se bhar pur aur jism se fasad madon ki qudrati safai karne wali hoti hai. Band gobi ko baqaida se apni diet mein shamil kar ke zayada wazni afrad apna wazan kam kar sakte hain kyoun keh is mein reshay bohat zayada hote hain aur isay khane se dair tak pait bhara rehne ka ehsas hota hai. Cabbage chati ke sartanon se bhi tahafuz faraham karti hai.

6: Afghan Leek - Gandana Lehsun aur pyaz ke paton jesi aik sabzi gandana jisay Leeks bhi kehtay hain. Jo log apna wazan kam rakhna chahte hain aur slim aur smart nazar aana chahte hain tou unhain is sabzi par tawaja deni chahiye kyoun keh is mein harare bohat kam aur iron jesi qudarti minerals bohat bohat hoti hain jo khana hazam karne ke liye khamron ko motehrik karti hain. Gandana mein vitamin B6 aur C bhi hote hain jo khoon mein sugar level ko mustehkam rakhte hain.

7: Tomato - Tamatar Tamatar ko karishmati phal kaha jata hai kyoun keh is mein haqeeqi maanon mein koi chiknai nahin hoti. Inhain khane se bohat kam harare milte hain. Aik darmiyane size ke tamatar mein 10 se  15 calories hoti hain jis ka matlab ye hai keh dieting karne walon ke liye ye ideal diet hai. Tomato mein vitamins A, C aur E bohat zayada hote hain aur isay khane se cancer ka khatra intihai kam rehta hai.

8: Strawberry Strawberries mein pani ki zayada maqdar ke baes calories kam hoti hain agar bare payale mein bhar kar strawberries khayi jayain tou sirf 27 harare milain gey. Is mein vitamin c bhi bohat zayada hota hai. Strawberry khane wale log apna wazan sehat mand had ke andar rakhne mein kamyab hote hain. Ye baat dhiyan mein rahe keh strawberries ke sath dheer sari balai ya cream shamil na ki jaye.

9: Onion - Pyaz Hamireen kehte hain haftay mein 2 se 3 pyaaz khai jayain tou is se sehat par kafi ache asrat hote hain pyaaz mein antioxidant breast cancer se tahafuz faraham karta hai. Is ke ilawa khawateen mein ayam ki takleef ka ehsaas bhi kam hota hai.

10: Apple - Saib Saib ke hawale se ye jumla tou suna ho ga keh rozana aik saib khayein aur dcotors se door rahain is baat mein bari had tak sachai hai kyoun keh degar super foods ki tarah saib bhi heart disease se mehfooz rakhta hai.

11: Brazil Nuts Giri dar meewon ki tamam types zaroori vitamins, minerals se bhari hoti hain jis wajah se ye  wazan kam karne ke khawahish mand ke liye behtareen nashta ka saman hoti hain. Jaezon se pata chalta hai keh muthi bhar brazil nuts khane se bari had tak bhook mit jati hai aur junk food ki taraf raghbat nahin hoti.

12: Chocolate Dark chocolate iron ke husool ka aham zariya hai taham gehre rang ki chocolate ko mulk ya white chocolate par tarjih dene ki wajah ye hoti hai keh dark chocolate mein Cocoa ki maqdar zayada hoti hai. Chocolate ke jis baar mein maqdar jitni kam ho gi, usi qadar zayada calories aur jamne wali chiknai shamil ho gi, is liye hamesha dark chocolate ko foqiat deni chahiye.

13: Banana - Keela Keelay ke bare mein ye aam ghalat fehmi payi jati hai keh isay khane se jism farba hota hai. Ye baat agarcheh darust hai keh deegar phalon ke muqable mein is mein zayada calories hoti hain lekin jo log warzish karte hain un logon ke liye warzish se pehle is ke doran aur baad mein jism ko tawanai faraham karne ka behtareen zariya kelay ho sakte hain. Banana mein potassium ki qabil zikar quantity hoti hai jis se blood pressure kam karne mein madad milti hai. Is mein vitamin B6 bhi zayada hota hai jo jild aur balon ko sehat mand rakhta hai.
14: Beetroot - Chuqandar Chukandar mein atqatwar antioxidant ke baes skin nuqsanat se mehfooz rehti hai. Chukandar mein koi chiknai nahin hoti aur harare bohat kam hote hain is liye khoon mein shakar ki satah mustehkam rehti hai aur jo log apne wazan ko aik had ke andar rakhna chahte hain un ke liye ye aik masali ghaza hai.
15: Peas - Matar Matar ke chotay dane Vitamin A aur C aur iron ke hurool ka acha zariya hain 85 gram matar ke danay khane se sirf 50 calories milti hain matar ko daal ke tor par istemal karne se humain protein aur fiber hasil ho sakte hain.
logoblog

Thanks for reading Patla Hone Ka Tarika Urdu Slim And Smart Tips Slim Diet Plan Urdu Slim Hone Ka Totka Hindi

No comments:

Post a Comment