Beetroot Benefits Urdu Chukandar Ke Faide Chukandar Ka Juice Hindi Chukandar Fawaid

  Lal Gulab      

Chukandar Ke Faide In Urdu - Chukandar Benefits In Urdu Beetroot Benefits In Hindi Fayde

Chukandar qabz kusha sabzi hai gas tehleel karti hai jism ke liye ghazaiyat hai aam tor par womens beetroot yani chuqandar ko boil kar ke us ka pani phenk deti hain takeh us ka khara pan door ho jaye is tarah salan tou mazay ka banta hai magar ghazaiyat kam ho jati hai. Joron ke dard, sar dard, bawaseer aur purani qabz ke liye bhi chukandar bohat mufeed hai. Aik darmiyana chukandar leaves samait kaat kar  2 cup pani mein boil aur chaan kar aik payali nahar munh peenay se chukandar ke fawaid hasil hote hain. Sirf beetroot kaat kar ubal kar us ka pani payali bhar peena bhi mufeed hai us se purani qabz door ho jati hai aur bawaseer ki shiddat mein kami aa jati hai.

Khushki Ke Liye

Aik chukandar paton samait pani mein ubal kar sar par khoob malain adhay ghantay baad sar dho lijiye hafta mein 2 baar ye amal karain is se khushki door ho jaye gi.

Chukandar Ka Tail Beetroot Oil

2 baray beetroot lay kar unhain kaat lijiye gol kar ke 1 kg sarson ke tail mein khoob jalayain jub sayah ho jayain tou utar kar thanda kar ke chhan lijiye. Ye tail sar mein rozana lagayain is se baal mazboot aur ghanay hon ge.

Sar Dard Ke Liye

Chukandar ka arq nikal kar naak mein tipkanay se sar ka dard aur baaz dafa daant ka dard bhi theek ho jata hai is ke ilawa dimagh bhari rehta hai aur sar mein dard ho tou aik darmiyani chuqandar lijiye aur halka sa cheel kar qatlay kar ke aur naram naram patay kaat kar aik glass pani mein ubaaliye 3 - 4 josh anay par utar lijiye. Hasb zaiqa cheeni namak mila kar qatlay khaiye aur pani pee lijiye chand roz mein faida ho ga.

Sayah Danon Aur Chaiyon Ke Liye

Chukandar ko pani mein ubal kar us pani mein munh dhoeye ya munh par rui se ye pani laga kar 5 minute baad dhonay se faida hota hai is ke musalsal istemal se dagh door ho jatay hain.

Joron Ke Dard Ke Liye Tail

Chukandar lay kar dho lijiye paton samait un ka 1 kg pani nikaliye isi tarah arnod ke paton ka pani adha kilo nikal lijiye ab tilon ka tail dedh kilo lijiye aur us mein ye pani mila kar halki anch par pakayain jub pani khushk ho jaye tou utar kar kapron se chhan kar rakhiye joron par malish karne se warm ahista ahista tahleel ho jata hai aur dard ko aram ata hai. Pasli ke dard mein bhi is tail ki malish aram deti hai. Kaan mein dana ho dard rehta hai tou is oil ke 2 - 4 qatray kaan mein dalne se aram a jata hai din mein 3 baar daliye.

Tawanai Bakhsh Salan

Half kg gosht mein 1 kg chukandar kaat kar naram paton samait pakaiye gosht bhoon kar chukandar daal dijiye pak janay par hara dhania, garam masala daal dijiye tawanai bakhsh salan tayar hai.
logoblog

Thanks for reading Beetroot Benefits Urdu Chukandar Ke Faide Chukandar Ka Juice Hindi Chukandar Fawaid

No comments:

Post a Comment