Sea Information In Urdu Hindi Samandar Ki Dunya Purisrar Herat Angez

  Lal Gulab      
Sea Information In Urdu Hindi Samandar Ki Maloomat - Aaj main aap ko samandar ke bare mein woh batain batanay wala hon jinhain jannay ke baad aap ko na sirf samundar ki taqat ka andaza ho jaye ga balkeh aap ko ye bhi andaza ho jaye ga keh hamare is saiyare par samandar kitni purisrar dunya hai.

Samandar Ki Maloomat - Sea Information In Urdu
  1. Is herat angez samandar ke bare mein aaj jo aap pehli haqeeqat jannay wale hain woh ye hai keh samandar ka 95% hisa aisa hai jo bohat hi zayada pur israr hai kyun keh samandar ki us 95% dunya mein kya kuch mojood hai ye tou is zameen par mojood koi insan bhi nahin janta kyun keh insan ab tak samandar ka sirf 5% hisa hi daryaft kar paya hai.
  2. Samandar kitni bari dunya hai ye kitna gehra hai is ka andaza is baat se bhi lagaya ja sakta hai keh agar is zameen par mojood har chez aur ye puri zameen bhi utha kar samandar mein daal di jaye tou bhi samandar ki jo gehrai hai woh khatam nahin ho sakti kyun keh samandar mein puri zameen daal dene ke baad bhi samandar 2 km gehra ho ga g haan 2 km gehra aur baat yahin khatam nahin hoti kyun keh samandar ki satah mein bhi bohat tezi se izafa hota ja raha hai jo keh dunya ke liye bohat khatarnak baat hai aur samandar ki gehrai mein hone wala izafa kitna khatarnak hai isi baat ko sabit karne ke liye maine aik video banai thi jis mein maine america ke bare bare sheharon ko samandar mein dooba hua dikhaya tha aur bataya tha keh agar puri dunya ki barf pighal jaye tou america samandar mein kis tarah aur kitna dooba hua dikhai de ga. Agar aap meri tamam Samandar ke bare mein documentary films dekhna chahain tou Youtube par LalGulab ke channel par dekh sakte hain.
  3. Samandar hazaron jaraseemon aur virus ka ghar bhi hote hain un mein se zayada tar nuqsan nahin pohanchatay lekin is ka inhsaar is baat par bhi hota hai keh aap kon se samandar mein hain ya kis shehar ke samandar mein hain. Samandar mein paye janay wale un jaraseemon ki bunyadi wajah insan hai. G haan saal 2010 mein science danon ka kehna tha keh aik andazay ke mutabiq samandaron mein 8 million ton kachra paya jata hai jo keh insanon ne phenka hai.
  4. Agar main aap se kahon keh samandar mein kabristan bhi hain aur logon ko us mein dafnaya bhi jata hai tou is baat se yaqeenan aap heran hon ge lekin ye sach hai keh samandar mein aik jagah aisi bhi hai jahan insanon ne kabristan bana rakha hai aur us mein logon ko dafan bhi kiya jata hai. Baat yahin khatam nahin hoti kuch logon ki khawahish hai keh woh is dunya ke baad usi samandar mein dafan hona chahain ge. Woh log kon hain aur woh kabristan samandar mein kis jagah hai is bare mein aik video main alag se bataon ga aur isi site par aap us bare mein article bhi parh sakain ge.
  5. Kya aap jantay hain keh samandar mein itni taqat hai keh ye puri dunya ki bijli ki talab puri kar sakte hain? Ye baat bilkul sach hai kyun keh agar samandari lehron se paida hone wali tawanai ka sirf 0.1% hi istemal kar liya jaye tou hum itni bijli paida kar saktay hain jo keh puri dunya ki bijli ki talab se bhi 5 guna zayada hai.
  6. Samandar mein rehnay wali makhlooq ki baat karain tou samandari makhlooq mein shark bari mashoor hai. Har saal shark samandari sahilon ke qareeb aa rahi hain khas tor par white shark. Ye apni ghiza ki talash mein ati hain lekin insan in ki marghoob ghiza nahin hai taham ghalti se insan bhi is ka shikar ban jata hai. Lekin aik haqeeqat ye bhi hain keh log zayada tar shark ki bajaye jelly fish ke hathon apni jaan ganwatay hain. Lekin bad kismati ki baat ye hai keh shark ki 99% iqsam ka khatma ho chuka hai ab woh samandar ki dunya mein mojood nahin hain.

Samandaron ke bare mein aap mazeed maloomat hasil karna chahte hain tou nechay pages mein jayain.

logoblog

Thanks for reading Sea Information In Urdu Hindi Samandar Ki Dunya Purisrar Herat Angez

No comments:

Post a Comment