Udne Wala Saanp In Urdu Flying Snake Urne Wala Sanp Hawa Mein Kaise Urta Hai

  Lal Gulab      
Udne Wala Saanp In Urdu Flying Snake Urnay Wale Saanpon Ki Parwaz Ka Raaz Kya Hai: Urnay wale saanp sri lanka, india aur kayi dusre mulkon mein dekhe ja chukay hain is ke ilawa khuch pakistani logon ka bhi kehna hai ke unhon ne apnay alaqon mein aisay saanp dekhe hain jo urtay hain aur ye din mein ghanay darakhton par nazar atay hain aur jub raat hoti hai tou aksar logon ka kehna hai ke ye zameen par nazar atay hain. Science daano ne udne wale saanp ki parwaz karne ka raaz maloom kar liya hai. Janoob mashriqi asia ke janglaat mein paya jane wala nayaab sanp darakhton se uchal kar khcuh dair hawa mein urr sakta hai.
Science daano ka kehna hai ke yeh saanp apni jism ki shakal tabdeel kar letay hain taakay woh aero dynamic quwaten peda ho saken jin ke zariye yeh hawa mein tairtay hain.

Is tehqeeq par kaam karne walay Amrici university virginia tech professor jack socha ne kaha hai ke yeh saanp qudrati tor par hawa mein urnay ki salahiyat nahin rakhta magar jab woh darakht ki kisi shaakh se chhalang lagata hai to apni jasamat tabdeel kar laita hai jis ki wajah se hawa mein tairta jata hai.

Urrnay walay saanpon ki paanch iqsam hain jin ka taluq crysopeli family se hai. Mohqiqeen ka kehna hai ke ab unhein maloom ho gaya hai ke yeh saanp jungle ki zameen par girnay ki bajaye kaisay aik darakht se dosray tak urr kar poanch jatay hain. professor socha ka kehna tha ke jab yeh chhalang lagata hai to yeh apne sir aur dum ke darmiyan ke hissay ko chipta kar laita hai. Yeh asal mein apni pasliyon ko apne sir ki janib ghuma laita hai jis se woh bilkul chipta aur kaafi chora ho jata hai is ki choraai taqreeban dugni ho jati hai aur is ke jism ki shakal bohat mukhtalif ho jati hai.

Mohqiqeen ne phir un aero dynamic quwatoon ka jaiza liya jo yeh tabdeel shuda jismani shakal peda karti hain. Is kaam ke liye science daano ne aik plastic ka chipta saanp bana kar usay pani ke tank mein rakha. Professor socha batatay hain ke is ke oopar se behnay walay pani ki madad se hum ne is par asar andaz hone wali quwaton ko naapa is ke ilawa hum ne pani ke bahao ko lazer aur intahi taiz cameron ki madad se dekha.

Unhon ne bataya ke ye sanp jahaaz ke aik intahi chhootey par jitni aero dynamic quwat paida karta hai. Team ka khayaal hai ke yeh saanp unheen quwatoon aur hawa mein lehranay ki wajah se jungle mein urta chala jata hai.

Ye apna sir aik taraf se doosri taraf hilata hai ye laharen is ke jism ke aik hissay se dosray hissay tak jati hain, aur aisa lagta hai ke yeh hawa mein tair raha hai.
Team ko umeed hai ke un ki is tehqeeq se mutasir ho kar science daan aisay robot bana saken ge jo hawa mein asani se tair sakain.

Note: Agar aap urnay wale saanp par hamari banai hoi video dekhna chahte hain tou nechay diye hue hamare youtube channel mein ja kar flying snake par urdu zuban mein video dekhain aur hamain mazeed nayi videos ke liye wahan par join bhi kar lain subscribe kar ke.
logoblog

Thanks for reading Udne Wala Saanp In Urdu Flying Snake Urne Wala Sanp Hawa Mein Kaise Urta Hai

No comments:

Post a Comment