Gidar Singhi Urdu History Siyar Singhi Hindi Kya Hai Gidar Singhi Jackal Horn Benefits

  Lal Gulab      
Urdu History Gidar Singhi Kya Hoti Hai?

Gidar singhi kisay kehte hain yeh aaj taq pata nahi chal saka, kisi ne bataya ke kisi khaas qisam ke saanp ka manka hai, kisi ne kalay rang ke chhootey se pathar ka naam liya jo upar janglon paharon mein saaien aur sanyasiyoun ko milta hai, aik aadmi ne aik balon walay pathar ka naam liya aur kisi ne kaha ke jub gidar 100 saal ko hota hai tab us ke sar par ye namudar hoti hai ye saari batein apni jagah par magar aaj gidar singhi ki haqeeqat nahi khul saki. Sarkon par baithy baway bhi apni khuch cheezon ko geedar singhi keh kar sale karte aur saada insanon se barri barri raqam batortay hain.

Gidar Singhi Benefits In Urdu - Gidar Singhi Ke Faide In Hindi
Kehte hain ye jisay mil jaye us ke waaray nayare ho jatay hain maslan husn o ishq ke rasya logon mein se kisi haath yeh nayaab chez aajay to titliyan us par khud ba khud mandlane lagti hain. Taaqat o quwat ke maalik logon ye raas ajaye tou jaye to awam al naas ke hajhoom us ke peechay chal parte hain, jisay izzat o ahtram ki gidar singhi mil jaye us par log apni jaan qurbaan karte hain ye sari batain woh log bayan karte hain jin ke paas gidar singhi ho. Kaha jata hai jis ghar mein gidar singhi ho wahan kala jadu nahin hota us ghar mein bohat daulat aati hai. Khuch log is ka istemal love marriage ke liye bhi kartay hain.

Par hum jese logon ko gedar singhi ki zaroorat nahin parti kyun ke humain Allah ka deen Islam mil jaye tou humain sub khuch mil jata hai. 

Gidar Singhi Ko Kis Mein Aur Kaise Rakhna Chahiye
Par ye bohat se logon ka kehna hai jinhon ke paas gidar singhi hai ke jis ke paas ye ho usay har qadam par kamyabi milti hai. Isay siyar singhi bhi kehte hain aur english mein gidar singhi ko shayed jackal horn bhi kaha jata hai. Isay sindoor mein rakha jata hai, elaichi aur clove bhi sath rakhe jatay hain isay plastic ya silver ke dabay mein rakhte hain. Is ke hairs khud barhtay rehtay hai is baat se science bhi heran hai aur kaha jata hai ke yehi wajah hai ke is ke direct aur indirect asrat hote hain.

How To Identify Gidar Singhi Ki Pehchan
Real yani asli gidar singhi ki pehchan ye hai keh woh waqt ke sath sath barhti rehti hai us ke baal barhte hain aur aap 1 saal baad dekhain agar us ke baal nahin barhay tou samajh jayain ke fake siyar singhi hai. Aik sayane ka kehna hai ke yeh afsanwi batein hain is liye in baton mein apna waqt zaya mat karo tumhe gidar singhi mili to kya ho ga.

Siyar Singhi Ki Price Kya Hai
Aam tor par ye sapeeron ke paas hoti hai aap un se 200 se 1000 rupee mein ye khareed sakte hain par asli hai ke naqli is ka koi aitbar nahin kiya ja sakta aaj se 20 saal pehle tak ye original mil jati thi asani se par ab bohat se log jali de kar logon ke paise zaya karte hain. Jo gidar singhi kafi bari ho us ki qeemat bhi zayada hoti hai khuch log tou is ki qeemat 100,000 se bhi uper lagatay hain aur ye itnay mein sale bhi ho jati hain. Agar isay online purchase kiya jaye tou is ki price taqreeban kam se kam 100 dollar se uper shuru hoti hai. Ye 2 tarah ki hoti hain female aur male aur in mein kafi rang bhi hote hain jin mein red, brown, black aur white color bhi hota hai ye rangon ke hisab se bhi mehngi hoti hain jo jitni nayab gidar singhi hoti hai utni hi mehngi bhi hoti hai per aap khareednay se pehle pata zaroor karain ke asli ho.
logoblog

Thanks for reading Gidar Singhi Urdu History Siyar Singhi Hindi Kya Hai Gidar Singhi Jackal Horn Benefits

1 comment: