Honey Bee Essay In Urdu Shehad Ki Makhi Poem Madhumakhi Essay Hindi

  Lal Gulab      
Honey Bee Essay In Urdu Shehad Ki Makhi Par Mazmoon Madhumakhi Essay In Hindi Nibandh

Speech On Honey Bee In Urdu: Allah Ta'ala ne shehad mein aisi zabardast khususiyaat rakhi hain ke jin ko dekh kar na sirf insani aqal dang reh jati hai balkay science aaj itni taraqi aur mutadid tajarbaat ke bawajood shehad tayar karne mein nakaam rahi hai.

Shehad Aur Makhion Ki Khasiyat
Shehed ko na sirf khanay ke baad meethay ke tor par istemaal kiya jata hai balke ke mukhtalif mumalik mein isay mukhtalif qisam ki bimarion ke ke ilaj ke tor par istemal bhi kiya jata hai. Is ki aik khasiyat ye bhi hai ke agar shahad ki makhi puray qudrati amal se isay tayar kar le to phir woh 1000 saal bhi para rahay to na to woh kharab hota hai aur na hi is ke zaiqay mein zara barabar bhi farq aata hai jab ke is qisam ke shehad mein rakhi gayi koi cheez bhi kharab nahi hoti.

Shahad ki makhion (honey bee) ki aik aur khasiyat yeh bhi hai ke yeh dosray keeray makoron aur janwaron ki terhan kabhi bhi aapas mein larti nahi hain balkay aapas mein mohabbat aur munazzam tareeqay se rehti hain.

Shehad Ki Tibbi Khusoosiyaat
Isay hazaron baras se tibbi fawaid ke liye istemaal kiya ja raha hai aur aaj bhi bohat se mumalik mein yeh riwayat barqarar hai is ko galay ki kharash dor karne, bad hazmi, garmi dor karne ke ilawa deegar bimarion ke ilaj ke liye bhi istemal kiya jata hai. Kuch maghribi mumalik mein shehad ki makhi ke dang se joron ke dard aur soojan ko dor kiya jata hai. Is ke ilawa is ka istemal khoon ki kami, asthma, ganjaa pan, thakawat, sar dard, high blood pressure, keeray ka kaata, neend ki kami, zehni dabao aur tb jaisay amraaz mein bhi faida mand hai.

Shehad Ki Makhi Ka Chata
Ye jo chattay banati hain un mein 8 qisam ke khanay hotay hain jo 10 khanon tak hotay hain. Chattay mein sirf aik 6 khanoon wali shakal aisi hai jis mein aik milliliter ka bhi khala nahin hota. Chatay mein andon, shehad, mom aur bachon ke khanay alag alag hotay hain aur har khanah dosray khanay se mukammal tor par alehda hota hai.
honey bee quote in urdu
Shehad Ki Makhion Ki Iqsam
Aik tehqeeq ke mutabiq ye urrnay walay keeray hain Pakistan mein 4 domna, pahari, choti aur Europi makhiyan payi jati hain pehli domna, pahari aur choti muqami makhiyan hain jab ke Europi makhi Australia se layi gayi hai aur sab se achi makhi Europi makhi hoti hai kyun kay yeh doosri makhion ke muqablay mein zayada shehad peda karti hai.

Phoolon Ka Ras Aur Safar
Shehad ke aik chote chaye ka chamach mein 5 hazaar phoolon ka ras shaamil hota hai jab ke aik baray chamach mein 2 lakh phoolon ka ras shaamil hota hai. Ye makhi aadha kilo shehed bananay ke liye 35 lakh uranain bharti hai aur 50 hazar kilometer ka safar tay karti hai.

Ye aam tor par 8 ka hindsa banate hue safar karti hain lekin shahad ki tayari ke doran yeh mukhtalif andaaz se safar karti hain. Guide makhiyan unhein rasta batati hain aur is terhan yeh meelon ka safar ba aasani tey kar layti hain.

Shahad Ki Makhi Ke Anday
Ye bohat hi munazzam tareeqe se aik muashray ki terhan rehti hain aur apni malka ke tabay hoti hain shehad ki malka makhi rozana 15000 hazaar anday jub ke aik season mein 25 laakh anday deti hai.

Shehad Ki Tayari
Shahed madah makhiyan banati hain jis ke liye taqreeban 30 hazar ki fouj muqarrar hoti hai makhion ki aik jamaat ird gird aur daur daraaz ke ilaqon mein shehed ke zaraye dekh kar aati hai, zaraye dekh kar anay wali makhiyan makhsoos harkaat ke zariye se saathi makhion ko rasta batati hain ke kis simt mein kitna safar karna hai.

Shehed ki makhi jis rastay se guzarti hai wahan ke phoolon ki khusbhoo ko apni yaadasht mein mehfooz kar layte hai aur apne pait mein shahad jama kar ke isi yadasht ke zariye thikaane par pohanch jati hai.

Jab makhiyan chattay ke paas pahunchti hain to wahan par shahad ki quality check karne wali team ke arakeen maujood hotay hain, aur jo makhi koi muzir sahet cheez apne sath chattay mein le kar jany ki koshish karti hai to yeh team us ke par tor kar usay neechay phenk deti hai is tarhan se sirf khalis shahad he chattay mein jama hota hai jisay hum ba aasani haasil kar ke apni zaroorat ke mutabiq istimal mein laa satke hain.
logoblog

Thanks for reading Honey Bee Essay In Urdu Shehad Ki Makhi Poem Madhumakhi Essay Hindi

No comments:

Post a Comment