Vasco Da Gama In Urdu Information Vasco Da Gama History In Hindi Biography
Asal Naam: Vasco Da Gama
Tareekh e Paidaesh (Born) 1469
Tareekh e Wafat (Death) 1524
Watan - Portugal
Vasco Da Gama History In Urdu: Woh aik portugali behri qazaq tha jis ne europe se janoobi africa ke gird ghoom kar hindustan tak behri rasta daryaft kiya aur meham joi aur tijarat ki aik nayi dunya kholi. Woh 1469 mein portugal mein paida hua aur 1524 mein kochi hindustan mein wafat paa gaya. Us zamane mein europy hukamran apne mulk se bahir loot maar ko jaez samajhtay thay.
Woh 20 may 1498 ko Hindustan pohancha tha is se 4 saal pehle
Columbus America daryaft kar chukka tha jabkeh Babar ne 1526 mein dehli ka
takht sambhala.
Kenya ke nazdeek us ne kayi Arab tijarati jahazon ko loota.
Arab malah aur jahaz’raan Ahmad Bin Majid ke tawan se usay Hindustan jane ka
rasta mila. Is ke baad woh shumal mein maghribi Africa pohancha jahan usay
pehli baar Hindustani tajar nazar aye.
Kalikat aik alaqa hai jo ke Hindustan mein hai wahan ke
hukamran ne Vasco Da Gama ki aao bhagat ki. Lekin darbari ye dekh kar bara
hairan hue keh us ne raja ko tohfay mein koi khas chez nahin di aur na sona
chandi diya. Raja se us ke muzakrat nakam rahe Vasco Da Gama ne ijazat mangi
keh jo saman woh baich nahin saka hai us ki rakhwali ke liye woh yahan apna koi
admi chhor jaye lekin raja na mana balkeh raja ne mutalba kiya keh dusre
tajaron ki tarah woh bhi custom duty ada kare jo aam tor per sonay ki shakal
mein hoti thi. Jatay waqt Vasco Da Gama apne sath chand Hindustani sapahi aur
16 mahi geeron ko aghra kar ke zabardasti lay gaya jo saman woh hindustan se
lay kar Europe gaya us per munafa us safar ke akhrajat se 60 guna zayada tha.
Usay Africa se kalikat tak pohanchne mein sirf 23 din lage
thay lekin wapsi ke waqt hua ke mukhalif safar mein Africa pohanchte pohanchte
132 din lage aur us doran us ke amle ke adhay log bimariyon se mar gaye. Amlay
ki shadeed kami ki wajah se wapsi ke waqt Vasco Da Gama ko apne 3 jahazon mein
se 1 jahaz Africa mein chhorna parra takeh amla baqi donon jahazon ko sambhal
sake.
Qazaqi
Apne dusre safar mein Vasco Da Gama ne Musalman zaireen ke
aik jahaz ko jo kalikat se Mecca jar aha tha aur jis mein 400 haji sawar thay
jin mein 50 khawateen bhi thien un ke jahaz ko loot liya aur intihai safaki se
musafiron ko qaid kar ke jahaz ko aag laga di.
Dusre safar mein kalikat ke raja ne sub se bare poojari ko
baat cheet karne Vasco Da Gama ke paas bheeja tou us ne poojari ke hont aur
kaan kaat diye aur kaam ki jagah kutte ke kaam si diye aur usay wapas bhijwa
diya.
1502 mein apne dusre safar mein Vasco Da Gama ne kalikat ke nazdeek 20
hindustani tijarati jahazon ko loot liya aur un ke amlay ko zibah kar diya. 800
se zayada qaidiyon ke hath naak aur kaan kaat kar aik kashti mein daal kar
kalikat ke raja ko bhijwa diye ye kahani batati hai ke us ne hindustan ke tajaron ke sath kitna zulm kiya.
No comments:
Post a Comment