Saudi Arabia History In Urdu Saudi Arabia Information In Hindi Saudi Arabia Rules Culture

  Lal Gulab      

Saudi Arabia History In Urdu Saudi Arabia Information In Hindi

Mumlikat Saudi Arab Haramain Sharifain ki sar zameen kehlati hai kyoun keh yahan Islam ki muqaddas tareen places Makkah aur Madina hain.

Saudi Arabia Ki Tareekh History Of Saudi Arabia In Hindi

Saudi riyasat ka zahoor taqreeban 1750 mein Arab ke wust se shuru hua jab aik muqami rehnuma Muhammad Bin Saud maroof Islami shakhsiyat aur Muhammad Bin Abdul Wahhab ke sath mil kar aik nayi sayasi quwat ke tor par ubhray.

Aglay 150 saal mein All Saud ki qismat ka sitara talu o gharoob hota raha jis ke doran jazeera numa Arab par tasalat ke liye un ke misr, saltanat usmania aur degar Arab khandanon se tasadam hue. Baad mein Saudi riyasat ka baqaida qayam Shah Abdul Aziz Al Saud ke hathon amal mein aya.

Siasat -  Politics Of Saudi Arabia

Hukumat ka bunyadi idara All Saud ki badshahat hai 1992 mein ikhtyar kiye gaye bunyadi qawaneen ke mutabiq Saudi Arab par pehle badshah Abdul Aziz ki aulad hukamrani kare gi aur Quran mulk ka ain aur shariat hukumat ki bunyad hai.

Mulk mein koi tasleem shuda siasi jamat hai na hi intikhabat hote hain albata 2005 mein muqami intikhabat ka inaqad hua. Badshah ke ikhtyarat sharai qawaneen aur Saudi riwayat ke andaz mehdood hain is ke ilawa Saudi Shahi Khandan, ulma aur Saudi society (muashray) ke degar aham anasar ka ittefaq bhi chahiye. Saudi Arab dunya bhar mein masajid aur Quran schools ke qayam ke zariye Islam ki tarweej karti hai. Shahi Khandan ke aham arkan ulma ki manzoori se shahi khandan mein kisi aik shakhs ko badshah muntakhib karte hain.

Qanoon sazi wuzra ki council amal mein lati hai jo lazmi tor par shariat Islami se mytabqat rakhti ho. Sharai nazam ki paband hain jin ke qaziyon ka taqarar aala adalti council ki sifarish par badshah amal mein lata hai.

Sobay - Province

Saudi Arab ko intizami lihaz se 13 alaqon ya subon mein taqseem kiya gaya hai jin ko Arabic language mein Manataq kehte hain Saudia Arabia map mein sobay ke numbers darj kiye gaye hain takay in ke muqam aur raqba ki maloomat aap ko hasil ho sakain.

Saudi Arabia Geography In Urdu

Saudi Arabia intihai khubsurat mulk hai agar dunya ke baray mumalik ki baat karain tou ye ptara mulk dunya ke 15 baray mumalik mein shamil hai. Is ke hamsaya mumalik mein Oman aur UAE jese mumalik hain kyoun ke in mulkon ke sath borders ghair mutaeen hai is liye Saudi Arabia country ka darust raqba ab bhi maloom nahin. Saudi Arabia ki government ke mutabiq yahan ka area 22 lack 17 hazar 949 muraba km hai.

Is mulk ki geography mukhtalif noeeyat ki hai maghribi sahili alaqay se zameen satah samandar se buland hona shuru hoti hai aur aik taweel pahari silsilay (Jabal Al Hajaz) tak ja milti hai. Janoob maghribi aseer khitay mein mountains ki height 3 hazar meter tak hai aur ye country ke sub se zayada sar sabz aur khushgawar mausam ka hamil alaqa hai. Yahan Taif aur Abha jese picnic spots hain.

Mumlikat ka taqreeban tamam hisa sehrai o neem sehrai alaqay par mushtamil hai aur sirf 2% raqba qabil kasht yani agriculture ke liye mojood hai. Bari abadi sirf mashriq aur maghribi sahilon mein mojood hain Saudi Arabia mein saal bhar behne wala koi darya ya jheel mojood nahin.

Saudi Arabia Weather In Urdu

Saudi Arabia ka mausam shadeed garam aur khushk hai ye dunya ke un chand alaqon mein se aik hai jahan garmiyon mein darja hararat ka 50 c se bhi agey jana mamool ki baat hai. Mausam sarma mein buland pahari alqon mein kabhi kabhar snowfall hoti hai taham mustaqil bunyadon par baraf bari nahin hoti. Mausam sarma ka ausat darja hararat 8 se 20 c hai. Summer season mein 27 c se 43 c hota hai. Sehrai alaqon mein garmiyon mein bhi raat ke waqt mausam sard ho jata hai.

Saudi Arabia mein barish bohat kam hoti hai taham kabhi kabhi musladhar barish se wadiyon mein zabardast sailaab ajata hai. Saudi Arabia ka capital yani rajdhani jo ke Riyadh shehar hai mein salana barish 100 mm hai jo january se may ke darmiyan hoti hai.

Adad o Shumar - Population of Saudia Arabia

2005 ke mutabiq Saudia Arabia ki abadi 26 asharia 4 million hai jis mein 5 asharia 6 million ghair mulki abadi bhi shamil hai. 1960 ki dahai tak mumlikat ki abadi ki aksariat khana badosh ya neem khana badosh thi lekin mueshat aur shehron mein tezi se taraqi ki badolat ab mulk ki 95% abadi mustehkam hai. Sharah paidaesh 29 asharia 56 fi aik hazar afrad hai.

Taqreeban 80% Suadi people nasli tor par Arab hain yahan 70 lack tarkeen watan bhi muqeem hain jin mein India ke 14 lack, Bangladesh ke 10 lack, Pakistan ke 9 lakh Misr ke 7 lack 50 hazar bashinday shamil hain.Qareebi mumalik ke Arab bashindon ki bari tadad mein mumlikat mein bar sar rozgar hai. Yahan maghribi mulkon se taluq rakhne wale 1 lack insan bhi qayam pazeer hain.

Taleem - Education In Saudia Arabia

1932 mein Saudi Arabia ke qayam ke waqt har bashinday ki taleem tak rasai nahin thi aur shehri alaqon mein mosque (masjid) mein madaras mein taleem ki mehdood aur infaradi koshishain ho rahi thien. Un madaras mein shariat Islami aur bunyadi taleem sikhai jati thi taham guzashta sadi ke ikhtitam tak Saudi Arabia aik qaumi taleemi nazam ka hamil hai jis mein tamam shehriyon ko school se pehle se lay kar jamia ki satah tak muft tarbiyat faraham ki jati hai.

Aaj Saudi Arabia ka qaumi sarkari taleemi nazam 8 jamiat 24000 se zayada schools aur  hazaron colleges aur degar taleemi o tarbiyati adaron par mushtamil hai is nazam ke teht har student ko fee education aur books aur health ki facilities faraham ki jati hain. Saudia Arabia mein talib ilmon ko scholarship program ke teht beron-e-mulk bhi bheja jata hai jin mein Australia, Canada aur dusri countries shamil hain.
logoblog

Thanks for reading Saudi Arabia History In Urdu Saudi Arabia Information In Hindi Saudi Arabia Rules Culture

No comments:

Post a Comment