Australia History In Urdu Australia Information Australia In Hindi Meaning

  Lal Gulab      
Australia History In Urdu Australia Ki Tareekh - Daulat mushtarka Australia (commonwealth of Australia) janoobi nisf karay ka aik mulk hai jo ke dunya ke sub se chotay bar-e-azam par mushtamil hai. Is mein Tasmania ka bara jazeera aur behr janoobi, behr hind aur behr-ul-kahil ke kayi chotay baray jazair shamil hain. Is ke hamsaya mumalik mein Indonesia aur New Zealand jese mumalik shamil hain.
Australia ka markazi hisa 42000 saal se qadeemi Australian people se abad raha hai. Shumal se anay wale mahigeeron aur europe ke mehamjuon aur gtajaron ne 17th century mein idhar aana shuru kar diya tha. 1770 mein Australia ke mashriqi nisf hisa par bartania ne dawa kiya. Usay phir 26 january 1788 mein New South Wales ki colony ka hisa bana diya gya jese abadi parhti gyi aur naye alaqay daryaft ghote gye 19th century tak idhar mazeed 5 colonies bhi bana di gayien.

1st january 1901 ko in 6 colonies ne mil kar aik federation banai aur is tarah daulat mushgtarka australia wajood mein ayi. Federation se lay kar ab tak australia mein motdal jamhoori siasi nazam mojood hai aur ye abhi tak daulat mushtarka hai. Is ka capital yani australia ki rajdhani canberra hai is ki population 2 crore 10 lack hai aur ye main land ke capitals sydney, malbourne, brisbane, perth aur adelade mein phela hua hai.

Australia Meaning In Urdu - Wajah Tasmia: Lagteeni mein Australia ka meaning "jo janoob mein ho" hai. Janoob ki namaloom zameen ke baray kahaniyan qadeem roman door mein milti hain lekin un mein asal bar-e-azam ke baray koi haqeeqi maloomat nahin thien. Australia ka lafz english mein pehli baar 1625 mein istemal kiya gya. 1814 mein australia ka naam famous hua jab aik bartanwi ne apne safar ke baad kigtab ki shakal mein likha us ne australia ke gird chakar lagaya tha.

Australia Ki Tareekh: Ibtidai insani abadkari ka andaza 42000 se 48000 saal qabal ka lagaya gya hai. Ye log mojooda door ke qadeemi australia ke bashindon ke ajdad thay jo ke janoob mashriqi asia se zameeni rastay se idhar pohanchay thay un ki aksariat shikari ki zayada thi.

Australia ka mushahida karne wala pehla ghair mutnaza europi Holland ka rehne wala tha us ne cape york ke jazeera numa ke sahil ka manzar 1606 mein dekha. 17th sadi ke doran Holland ke bashindon ne mukamal maghribi aur shumali sahili alaqon ke naqshay banaye aur usay new holland ka naam diya lekin abadkari ki koi koshish nahin thi.

Australia ki muqami abadi jis ka andaza europe ke logon ki amad ke waqt 350000 ke qareeb lagaya jata hai, 150 saal ke baad darmai had takl kam ho gyi. Is ki wajuhat mein bimariyan, europe ke logon ki amad aur saqafat ki tafreeq thien.

Gold ki talash ke liye Australia mein 18550 ke shuru mein dor shuru hoi is ke natijay mein chotay pemanay par baghawatain bhi hoien. Westminster ke 1931 ke qanoon aur bartania ke aini taluqatg ko zayada gtar khatam kar diya jub australia ne is ko 19542 mein qabool kiya. 1942 mein asia mein bartania ki shikast aur phir japan ke hamlay ke andeshay ke baes australia ne america ko apna naya hami aur madadgar banaya. 1951 se ab tak Australia America ka baqaida fauji haleef shumar hota hai. Dusri jang-e-azeem ke baad Australia ne europe se tarkeen watan ki hosla afzai ki 1970 mein safaid Australia ki policy ke ikhtitam par asia aur degar ghair europi alaqon se afrad ne Australia ki taraf jana shuru kar diya is se Australia ki abadi, saqafat aur tashakhas par bohat ggehra asar parra.

Australia Ki Siasat - Politics of Australia: Daulat mushgtarka Australia aik aini badshahat hai jis mein parlimani nizam hukumagt hai. Malika Elizabeth daum Australia ki malka hai aur un ka ye kardar daulat mushtarka ke deegar mumalik ki nisbat mukhtalif hai. Wafaqi satah par malka ki munaindgi karne ke liye governor general hota hai. Aini tor par governor general ko wasi ikhtyarat milay hote hain un ka isgtemal wazir-e-azam ke mashwara se kiya jata hai. Hukumat 3 mukhtalif shakhon mein is taraf taqseem hai Parliament, Ashrafia, Adlia 2 aiwanon par mushgtamil daulat mushtarka ki parliman malka, cenate jis mein 76 arakeen hotay hain aur aik aiwan numaindgan jis ke 150 arkan hote hain.

Riyasat Aur Mumlikatain: Australia mein 6 riyasatain yani states hain aur 2 bari aur kayi choti mumlikatain hain, riasaton mein new south wales, queensland, victoria shamil hain. Bari mumlikatain shumali mumlikat aur Australia ke capital ki mumlikat hain. Amooman riyasatain aur mumlikatain aik hi kaam karti hain lekin un ke qawaneen khuch farq hote hain.

Kharja Taluqat aur Fauj: Mojooda door mein Australia aur Ameria ke taluqat bohat gehre hain Australia ki khawahish hai ke asia aur behr-e-oqyanoos ke mumalik ke sath gehre taluqat qaim kiye jayain.

Australia ki fauj jis ko australian defence forces kaha jata hai, shahi australwi behri barri aur fizai fauj par mushtamil hain in ki tadad 51000 hai. Ye tamam afwaj aqwam-e-mutehda aur alaqai aman mission, qudrati afat ka muqabla karne, fauji laraiyon mein bhi shamil hoti hain. Australian government kisi bhi fauj se sarbarah ka taqarar karti hai. Aaj se 10 saal pehle tak is mulk ka defence budget 22 arab american dollar hai.

History of Australia in urdu
Geography of Australia: Yahan ka area 7617930 muraba km hai ye saray ka sara Indo Australian Plate par waqia hai is ke gird Indian, janoobi aur oqyanoos ke samandar hain. Australia aur Asia ke darmiyan taimor ka samandar hai. Australia ke paas 34218 km sahil mojood hai. Dunya ki sub se bari moonga ka chitan Australia ke shumal mashriqi sahil ke bilkul sath hai aur 2000 km par pheeli hoi hai.

Ab tak Australia ka bara hisa banjar aur sehra par mushtamil hai is mulk ki mitti sub se purani aur kam zarkheez hai is ke ilawa ye khushk tareen bar-e-azam hai jahan insan rehte hain. Zayada tar abadi janoob mashriqi sahil par rehti hai yahan rain forest, aam janglat, grass ke maidan hain australia ka mausam samandari hawaon ke gehre asar par hai.

Nabatat o Hewanat: Zayada gtar Australia neem banjar ya sehrai hai is mein bohat si iqsam ke mahool paye jatay hain un mein alpine se lay kar rain forest shamil hain. Apne taweel zindagi aur zarkheezi mein kami ki wajah se puray bar-e-azam ka mausam kafi mukhtalif hai aur geography ke aitbar se baqi dunya se bohat arsay tak katay honay ki wajah se yahan ki hayatyati zindagi bohat mukhtalif hai. Tamam phooldar plants ka 85% birds ka 45% sahil samandar ki machliyon ka 89% hisa aam nueyat ka hai aur har jagah paya jata hai un qudargti mahool ki aksariyat ko insani mudakhlat aur bahir se lai gyi mukhtalif naslon ki wajah se mit janay ka andesha hai. Australia lakdi dar darakhton ki aksariyat sada bahar hai aur ye aag aur khushk sali ke adi hain un mein safeda shamil hain.

Economy of Australia: Ye aik khush'haal mulk maghribi andaz ki mueshat rakhne wala mulk hai is liye ye mulk dunya ki ameer tareen countries mein se aik hai.

Australia Population: 2 crore 10 lack Australian 19th aur 20th century ke abadkaron ki auladain hain jin ki aksariyat bartania aur ireland se ayi thi. Pehli jang-e-azeem ke khatmay se ab tak Australia ki abadi 4 guna barh chuki hai is ki wajah pur kashish package baray-e-tarkeen wagtan bhi shamil hai. 5 se 6 saal tak ke bachon ke liye school jana lazmi hai khuch hison mein ye age 16 aur 17 salla bhi hai.

Culture of Australia Ki Saqafat: Guzray 50 saalon mein Australia ki saqafat par amreeci aur angreezi zuban na bolne wale mumalik ke tarkeen watan aur is mulk ke hamsayon ka gehra asar parra hai. Australia ke cinema, abad, painting, dance aur australian music ne international satah par apni shanakht banai hai. Sports ka yahan ki saqafat par gehra asar hai is ke ilawa australia ka mausam bhi aisa hai jo outdoor sports ke liye munasib hai.

tags: australia history in hindi, australia ki rajdhani kya hai,
logoblog

Thanks for reading Australia History In Urdu Australia Information Australia In Hindi Meaning

No comments:

Post a Comment