How To Make Payoneer Card In Urdu Pakistan ATM Card Banane Ka Tarika Urdu Credit Card Debit

  Lal Gulab      

Payoneer Card Banane Ka Tarika In Urdu In Pakistan How To Make Payoneer Card In Urdu ATM Mastercard Debit Card In Urdu Tips

What Is Payoneer Kya Hai?

Kya Aap Aisa Card Apne Naam Se Bilkul Free Hasil Karna Chahte Hain Tou Is Article Ko Ghoor Se Parhain Kyoun Ke Ho Sakta Hai Is Article Ko Parhne Ke Baad Aap Ki Life Badal Jaye Yani Aap Ki Online Amdani Bhi Shuru Ho Jaye Shayed Aap Ko Maloom Na Ho Par Is Waqt Log Payoneer Ke Card Se Har Month 2000 se 2 Lack Tak Aur Khuch Is Se Bhi Zayada Kama Rahe Hain - Tou Aiye Article Ka Aghaz Karta Hon Kyoun Ke Main Aap Ko Batane Ja Raha Hon Ke Online Paise Kaise Kamatay Hain

Ye aik plastic card hai jesay aap ka bank ka card hota hai Visa Atm Card usi tarah payoneer aik card hai mastercard ke logo ke sath. Ye aik America ki company hai jo puri dunya mein apne card bhejti hai. Payoneer aap ko money transfer yani paison ki muntaqili ki khidmat faraham karta hai aur sub se barh kar ye keh aap ko aik adad Mastercard bhi faraham karta hai jo aap ke naam se print hota hai bilkul kisi bank ke debit ya credit card jese. Payoneer account ke zariye aap Paypal aur aisi mukhtalif websites jin ki khidmat Pakistan mein mojood nahin un ke accounts ko verify karwa sakte hain.

Payoneer Card Benefits - Payoneer Card Ke Faide Kya Hain?

Aap is card ki madad se Paypal account verify karwa sakte hain free mein aur jin countries mein credit card ki sahoolat aam nahin hai wahan par ye zayada tar istemal hota hai. Pakistan mein agar aap internet par shopping karna chahte hain aur aap ke paas bank ka card nahin hai tou aap Payoneer card kisi bhi jagah (petrol pump, super store, malls, online waghera) istemal kar sakte hain. Aap ye card muft hasil kar sakte hain is ke koi carges nahin hain aur free mein Pakistan aap ke ghar ke address par ye card ata hai yani is card ki home delivery bhi free hai. Payoneer card ko aap ATM mein use kar sakte hain agar is mein dollars hon.

Kya Main Is Mein Apni Online Kamai Ke Paise Daal Sakta Hon?

Aap chahain tou is mein apni online kamai yani jo paise aap online kaam kar ke kamayain ge woh paise daal kar internet par istemal kar sakte hain is ke ilawa agar aap internet par kisi company ke sath yani (oDesk, Freelancer, Fiverr jesi sites) par kaam karte hain tou aap kama sakte hain koi cheez sale kar sakte hain kisi se payment mangwa sakte hain tou woh is card mein aa sakte hain. Payoneer aik aisi company hai jo mukhtalif adaron ke sath kaam karti hai takeh woh companies aap ko is card ki madad se dollars ki adaigi kar sakain yani agar aap ke paas payoneer ka card hai tou America ki koi bhi company aap ko dollars dena chahti hai tou payment aap ke card mein asani se bheej sakti hai aap Pakistan mein ATM se woh payment Pakistani currency mein nikal sakte hain.

How To Use Payoneer Card In Pakistani Banks Atm? Pakistan Mein Hum Kon Se Bank Ki ATM Par Isay Istemal Kar Sakte Hain?

Aik baat aap jaan lain keh ye card tamam Pakistani bank ki ATM par use nahin ho sakta is waqt jub main ye payoneer article likh raha hon tou abhi tak ye card in banks mein istemal kiya ja sakta hai.
Standard Chartered Bank (300 RS Free per Transaction)
Bank Alfalah (No Fee)
MCB (200 Rupees Fee)

How To Activate Payoneer Account In Pakistan - Card Ko Activate Kaise Karna Hai?

Jub Payoneer Mastercard aap ke ghar ke patay par mil jata hai tou aap ko isay pehle activate karna parta hai. Card activate karne ke liye aap ko apne Payoneer account mein log in hona ho ga aur Activate Card ke button par click karna ho ga. Aap ko aik aur form nazar aye ga jis mein aap ko card ka 16 digit number aur koi bhi apni parzi ka 4 digit pin code dalna ho ga aap ka card foran activate ho jaye ga aur aap isay ATM par istemal kar sakte hain par yaad rahe ATM par payment nikalne ke liye pin code enter karna ho ga jo aap activate kartay waqt rakhain ge.

Is Card Ko Main Kon Si Internet Sites Par Istemal Kar Sakta Hon

Ye card Facebook, Ebay aur duniya ki bohat si bari websites par istemal kar sakte hain.

What Are The Charges Of Payoneer Card Ke Charges Kya Hain?

Ye card milta tou muft hai aur Pakistan mein aap ke ghar bhi muft diliver kiya jata hai lekin is ke 30 dollar activation charges hote hain jo ke aap online kama kar asani se ada kar sakte hain aur saal mein sirf aik baar 30 dollar denay hote hain phir 1 saal tak koi charges nahin payoneer ke.

Earnings

Is card ka aik faida ye bhi hai ke jub aap ke card mein 100 dollar atay hain tou aap ko 25 dollar inaam mein miltay hain.

Main Ne Card Ke Liye Apply Kiya Hai Lekin Mujhe Card Nahin Mila

Sub se pehle tou ye baat yaad rakhain keh card 15 se 40 din ke darmiyan Pakistan Postal Service yani daak ke zariye milta hai lekin is ke ilawa Pakistan ke dihat mein bohat si shikayat milti hain keh postman card nahin pohanchate. Agar aap ke ghar normal daak nahin ati tou behtar hai keh aap card kisi shop ya office ke patay par mangwa lain.

Kya Main Is Card Ko Google Adsense Ke Sath Istemal Kar Sakta Hon? How To Get Google Adsence Payment In Payoneer

Ji par sirf America aur England ke adsense account aur payoneer aap ko in countries se payment pakistan mangwane ki ijazat deta hai Pakistan mein bohat se log in countries ke accounts istemal kar rahe hain jo woh youtube ke zariye hasil karte hain lekin sub se bari musibat ye baat hai keh apni kamai ko Pakistan mein kaise hasil kiya jaye. Aap ko apne adsense account mein Payoneer bank account ka number aur swift code dalna hota hai aur raqam har month aap Pakistan mein ATM se nikal sakte hain.

Payoneer Card Banane Ka Tareeqa

Card banane se pehle apna id card paas rakhain

Step 1: Apna Payoneer Card Banane Ke Liye Yahan Click Karain

 Ab Step2 se Step 5 tak form fill karain



Step 5 yani ab aap ne card banane ke liye zaroori maloomat faraham kar di hain ab aap ki email mein payoneer ki taraf se email aye gi agle khuch dinon mein aur aap ko bataya jaye ga ke aap ka payoneer card approve ho gaya hai aur us ke khuch days ke baad aap ke ghar par ye card ajaye ga aur phir aap chahain tou online kaam kar ke kama bhi sakte hain aur is waqt ye card free mein ban raha hai is liye agar aap apne doston aur family members ke liye bhi card banwana chahte hain tou unhain ye page share karain takay un ka bhi card ban jaye.

Contact Me For Payoneer And Online Work - I Will Help You To Make Money Online

AGAR AAP ONLINE KAAM KARNA CHAHTE HAIN BINA KOI PAISA INVEST KIYE TOU MUJHSE CONTACT KARAIN MAIN AAP KO STEP BY STEP SAMJHA DOUN GA
Maine koshish ki hai ke aap ko payoneer card se mutaliq easy aur zayada information faraham karon aur mujhe umeed hai ke aap ne asani se ye card apply kar diya ho ga par agar aap ko koi problem aa rahi hai tou mujhe comment kijiye main is ke ilawa main aap ko online kaam kaise karte hain woh bhi samjha doun ga wese maine khuch website yahan faraham ki hain jin par kaam kar ke online kamaya ja sakta hai aur payoneer card ke zariye anay wali payment Pakistan ke zikar karda banks ki atm se nikalwa sakte hain.
logoblog

Thanks for reading How To Make Payoneer Card In Urdu Pakistan ATM Card Banane Ka Tarika Urdu Credit Card Debit

2 comments:

  1. Jnab Mohammad Ali sir pehlay tu ap online paisy kmana btaiye na phir hi isy activate kren gay

    ReplyDelete
    Replies
    1. There are many ways to earn and receive money through payoneer and if you want to know some methods then message us on our facebook page we will provide you some easy money making methods

      Delete