Yaddasht Badhane Ka Tareeqa Urdu Sabaq Yaad Karne Ka Tarika Yadasht Tez Karne Ki Tips Hindi

  Lal Gulab      

Yaddasht Badhane Ka Tareeqa In Urdu Yaddasht Kaise Badaye In Hindi Yadasht Tips Urdu For Students

Achi Yaddasht Allah Talah ka behtren atia hai. Is yaddasht hi ki badolat hum imtehanat main kamyabian hasil karte hein. Logon ke sath apna rabta behtar banate hein aur zindagi ke har maidan main behtren istadad aur karkirdegi ka muzahira karte hein. Baaz logon ko Allah Ta'ala ne itni achi yaddasht ata ki hoti hai ke wo jo cheez aik bar sun ya parh lete hein ise sari umar nahin bhoolte. Ye hakikat hai ke yaddasht Allah Talah ki azeem naimat hai lekin ye bat na bhoolain ke ye zehni istadad hai agar aap is zehni istadad main izafa karna chahenge to aap ki quwat hafza barhti jaegi aur agar be parwahi ka muzahira karenge to aap ki quwat hafza itni kamzor hojaegi ke aap ye baat tak bhool jaenge ke thori dair pehle aap ne khane mein kia khaya tha jis tarah jismani istadad mein izafa mumkin hota hai isi tarah zehni istadad bhi barhai jati hai bilkul yahi halat aap ki quwat hafza ki hai Ye ek zehni istadad hai jise aap apni koshish se barha sakte hein. Zehen ki khas technique yaddasht ko 2 iksam main taksem kia gaya hai.

Mukhtasir mudat ki yaddasht aur taweel mudat ki yaddasht mukhtasir mudat ki yaddasht hum apne mehdood mahol main istamal karte hein maslan ghar, daftar wagera jabke taweel mudat ki yaddasht ki zarurat hamein zayada mudat tak parti rahti hai. Taweel mudat ki yaddasht ke tahat aap tahkiki kam anjam dete hein. Mukhtalif kitabon mein maujood mushtarik baton ko apne zehen mein yakja karte hain aur mukhtalif zamano mein mukhtalif makamat par paish ane wale wakiyat se aik makhsus natija akhaz karte hein. Ye zehen ki aik khas technique hai jo wo isi waqt istamal karsakta hai jabke yaddasht achi ho. Hairat angaiz yaddasht ye bat katai galat hai ke zahen logon ke dimag am logon ke dimag se mukhtalif hote hein. Einstein aik mashoor tabiyat guzra hai. Is ke mutalik logon ko shuba Tha ke is ke dimag am logon se mukhtalif hoga. Chunacha us ki mout ke bad us ki wasiat ke mutabik is ke dimag ko mehfuz karke is ka mutala kia gaya lekin is ke dimag aur am shakhs ke dimag mein koi farak nahin paya gaya. Zehni istadad sirf mukamal tawaja, bharpur inhamak aur gehre mutale se barhti hai. Purane dor ke atba aur falsafi hazrat aur Quran Kareem aur ahadees ke mufsiren ka hafiza nakabil yaken had tak takatwar hota tha. Aj ke dor mein bhi baz hazrat ki yaddasht hairat angaiz tor par itni taqatwar hoti hai ke wo agar aik kitab parhlen to is kitab ka aik aik sifah mah aik aik satar in ke zehen ki screen par naksh hojata hai aur inhein puri kitab sirf aik martaba dekh kar goya hifz hojati hai.

Hawas khamsa achi yaddasht darasal bharpur tawaja aur inhamak ki mohtaj hoti hai. Ye darasal zehni istadad hai jise aap musalsal mashq se taraki de sakte hein. Dimag mein hamari yaddasht ka markaz kanpati ka Karibi hisa hai jahan hamare jism ke aik aik hise ki yaddasht mehfuz rahti hai. Ye bat aap ko ajeeb mehsus hogi ke hamara pura jism yaddasht ke amal mein sharik hota hai lekin aap zara gor karen to ye koi ajeeb bat nahin hai kyun ke yaddasht ka amal hawas khamsa ke zariye se hota hai. Hawas khamsa mein has lamsa bhi shamil hai ye has hamari jild mein pai jati hai jo hamare pure jism par gilaf ki manind lipti hui hai. Agar hamare jism se koi cheez choti hai to hamara zehan foran is bat ka adrak karleta hai ke jald se kisi kism ki cheez takra rahi hai. Isi tarah hamari nak khushbo aun se paida hone wale tasurat ko zehen mein mehfuz kardeti hai. Baz aukat koi khas kism ki khushboo soonghte hi hamara zehen kalabazi kha kar purani yadon ko dubara taza kardeta hai. Yaddasht mein eham kirdar ada karne wale hawas mein sab se zayada ehmiyat ankh aur kan ki hai. Isi liye bachon ki kitabon mein mazmoon ke sath Tasweerain bhi zaruri hoti hein jo bachon aur baron dono ke zehno ko tahrik deti hein.

Sabaq Lesson Chapter Paper Yaad Karne Ka Tarika For Students: Hafiz Quran Talib ilmo ke liye achi yaddasht ka hona zaruri hai. Baaz talba imtehanat mein sirf isi waja se nakam hojate hein ke in ki yaddasht achi nahin hoti. Yaddasht darasal sekhne ka amal hai jise bar bar duhrane se behtar kia jasakta hai jo bache Quran sharif hifz karte hein wo din ke mukhtalif aukat mein apna amokhta dohrate rahte hein aur mahaz dohrane ke asan amal se wo zayada se zayada do dhai sal ke arse mein pura Quran Karen hifz kar lete hein ye bhi aik haqeeqat hai ke Quran ke hafiz ka hafza nihayat kawi hota hai aur umar ke kisi bhi hise mein inhein zehni kamzori ka samna nahin karna parta.

Yaad Karne Ka Pehla Tarika

Dohrane ke amal se murad ye nahin ke aap sara din ek hi safhe ko bar bar parhte rahen balke is mein kai tarike shamil hein talba ke liye ek mosar tarika ye hai ke wo jis sabak ko apne zehen Mein mehfuz karna chahte hein ise pehle 2,3 martaba parh lain. Is ke bad kitab band karke aik taraf rakh den aur kagaz kalam sambhal kar beth jaen ab jo kuch bhi inhon ne thori dair kabal parha hai ise mukhtasir tor par likhne ki koshish karen. Inhein khuwa kitna hi kam yad ae lekin ise likhain zarur khuwa aik satar hi kyun na ho. Khulasa likhne ke bad kalam rakh dein aur ab kitab khol kar ye dekhain ke inhain kon kon si eham baten yad nahin rahi thi. Ab sab baton ko apne zehen mein note karen aur kitab band karke inhein kagaz par likhen. Is tarah musalsal note karne se inhain puri kitab hifz hojaegi aur notes bhi tayar hojaenge.

Dusra Tarika

Talba ke liye yaddasht behtar banane ka aik tarika ye bhi hai ke wo kisi aik mazmoon aur mukhtalif idaron par musnafin ki likhi hui kai kitabain parhen aur in mein inhein jo point mushtarik nazar aen wo aik kagaz par note karte jaen aur bad mein apne course ki Kitab se in points ko milain is tarah ache notes tayar hojaenge aur imtehan mein in points ko likh kar ache number hasil hosakenge.

Tesra Tarika

Ratna koi acha tarika nahin hai is tarike mein ye kharabi hai ke agar aap kahen koi lafaz ya jumla bhool to phir age ki aik satar bhi yad nahin ani. Is ke bajae aap apne chand doston ke sath beth kar aik dusre se sawalat karen aur zabani jawab den. Zabani jawab dene ke tarike mein ye khoobi hai ke agar jawab mein koi galti hui to dusre dost is galti ko foran durust kardaite hein. Ye bohat kamyab tarika hai aur talba mein bhi bohat makbool hai.
logoblog

Thanks for reading Yaddasht Badhane Ka Tareeqa Urdu Sabaq Yaad Karne Ka Tarika Yadasht Tez Karne Ki Tips Hindi

No comments:

Post a Comment