How To Quran Hifz Karne Ka Tarika Urdu Quran Hifz Tips Quran Hifz Fazilat Sawab Online Classes At Home

  Lal Gulab      

How To Hifz Quran In One Year Easily Fast At Home Online Classes Quran Hifz Karne Ki Fazilat Aur Tareeqa

Quran Hifz Kare Ka Tarika In Urdu: Allah Ta'ala ne Quran Majeed ki hifazat jin zara'a se karne ka faisla farmaya hai un mein se aik sub se aham zariya hai Hifz Quran. Quran Kareem ka hifz kar laina itni bari sa'adat hai keh sirf is ka tasawar kar laina hi mushkil amar hai. Zail mein Quran hifz karne ke silsile mein chand aham asool (rules) bayan kiye jate hain.

Quran Hifz Tips In Urdu

Hifz shuru karne se pehle sub se aham baat ye hai keh hifz karne wale ya us ke waldain ko is baat ka shidat se ehsas hona chahiye keh Quran Pak ko hifz karne ke baad Is ko yaad rakhna zaroori aur wajib hota hai. Hafiz Quran ko apni manzil pukhta rakhne ke liye musalsal itna waqt nikalna ho ga keh kayi muasharti sargarmiyon ko khair bad kehna pare ga aur apni sargarmiyon ko mehdood kar ke Quran Kareem ki taraf hi lana ho ga lekin Quran Majeed se is pukhta taluq aur dusri barkat se mustafeed ho ga usay ilfaz mein bayan karna na mumkin hai. Ye na mumkin hai keh koi bacha waldain ki khas tawajah ke baghair hi Quran hifz kar lay aur us ki manzil darust ho is liye waldain ko shuru se hi ye zehan banana chahiye keh un ko bache ki mustaqil nigrani aur rehnumai karni ho gi.

Students ko hifz ke liye fajar ke 1 ghanta 30 minute pehle jagaya jata hai lekin zaroori ye hai keh bache ko fajar se pehle jagane ke liye jaldi sula bhi diya jaye bachon ki tawajah darj zail mein is janib mabzool karwai hai.
Hifz Quran Karna Hai Tou Fajr Se Pehle Uthna Hai
Fajr Se Pehle Uthna Hai Tou Dus Se Pehle Sona Hai
Jub aap hifz karne ka mukamal irada kar lain tou gunah aur musibat ke kamon se ijtinab karain is se faida ye ho ga keh Allah Ta'ala ki taeed shamil haal ho gi aur ye bhi khas tor se khayal rakhain keh hifz Quran ke liye hamesha aik hi Quran ka istemal karain kyoun keh yaad karda safha hafiz ke zehan mein mehfooz ho jata hai.
Quran Hifz karne ke liye zaroori baat ye hai keh aise ustad (teacher) ka intikhab kiya jaye jis ki khud apni manzil pukhta ho kyoun keh agar aisa nahin hai tou woh bache ki aisi tarbiyat nahin kar sakta keh sache ki manzil pukhta ho sake. Sub se bare afsoos ki baat ye hai keh bar-e-sagheer yani Pakistan aur india mein Quran hifz ke sath tashadad ka tasawar bandh chuka hai logon ke dilon mein ye baat baith chuki hai keh sakht maar ke baghair bache hifz nahin kar sakte ye tasawar bilkul bay ja hai.
Nabi SAWW ne tou 10 saal se kam umar bache ko namaz tark karne par marnay ki ijazat nahin di janwaron tak ko sakht marne aur munh par marne se mana farmaya hai. Baaz auqat saza ke tor par khara kar dene aur aksar auqay inam de kar bache ko hifz yeh mael kiya jaye bachon mein musabqat ka jazba ubharne se bhi asani se hifz karaya ja sakta hai jese ye ilan keh jo bacha rozana sub se zayada sunaye ga usay inaam diya jaye ga. Tape recorder mein record kar ke sunna bhi bohat mufeed ho ga aur agar Ayaat ka mafhoom zehan mein ho tou hifz karna bilkul asan ho jata hai.

Quran Hifz Karena Ka Tareeqa Youn Hona Chahiye Memorize Quran Techniques

Student apni istadad ke mutabiq sabaq yaad kar ke ustad ko sunaye, agar aik ya 2 ghaltiyan hon tou bardasht kar li jayain lekin sakht takheed kar di jaye keh dobara darust kar ke sunao aur agar us se zayada ghaltiyan hon tou wohi sabaq dobara darust kar ke sunao aur agar us se zayada ghaltiyan hon tou wohi sabaq dobara yaad karaya jaye aur nilkul is baat par khas tawajah di jaye keh bache ki bohat tez parhne ki adat na parr jaye. Hamesha ahista sunane ki adat dali jaye aur rozana kam az kam  guzashta peesh isbaq par mushtamil sabqi Saparah zaroor suna jaye aur akhri sabaq ko sabqi saparay se hazaf kar diya jaye, sabqi saparay ki maqdar kam az kam 1 Saparay par mushtamil amokhta suna jaye aur kam karne ka natija ye ho ga keh har Paray ki bari takheer se aye gi aur is tarah manzil ki pukhtagi bar qarar rakhna mushkil ho jaye gi.
Quran Hifz karne ke doran sub se preshan kun marhala woh hota hai jub koi zayada saparay hifz kar chuka ho aur us ki manzil kachi ho is masla se taqreeban har hafiz kabhi na kabhi do char hote hain is ka hal (solution) ye hai.

1: Amooni halat mein aamokhta aik saparay se kam na rakha jaye.
2: Aur 2 saparay hon tou bohat behtar hai takeh har saparay ki bari jaldi jaldi aye aur manzil ka amoomi mayar behtar ho jin ki manzil ko woh bhi mumkin had tak zayada se zayada manzil sunayain takeh ibtidai bunyadain mazboot hon aur woh is preshani ke marhala mein apna dil na chhor baithain agar koi hafiz manzil ki kamzoori ke baes rozana 1 ya 2 saparay nahin suna sakta tou fori tor par sabaq band kar diya jaye aur aamokhta ki taraf mukamal tawajah dain hata keh jub manzil pukhta ho jaye phir dobara sabaq shuru kiya jaye, kachi manzil hone ke sabab baaz dafa mamla inta bigar jata hai keh is mamle ko sambhalnay bohat mushkil ho jata hai lihaza har halat mein manzil kachi na hone di jaye. Quran hifz ki pukhtagi usi waqt barqarar reh sakti hai  keh jub hifz karne ke baad 2 saparay ya 1 sapara baghair nagha suna jaye.
logoblog

Thanks for reading How To Quran Hifz Karne Ka Tarika Urdu Quran Hifz Tips Quran Hifz Fazilat Sawab Online Classes At Home

No comments:

Post a Comment