Information Essay Two Nation Theory In Urdu Notes Do Qaumi Nazria Definition In Easy And Simple Words
Do Qaumi Nazariya (Two Nation Theory) Musalmanon ke hinduon se alehda tashakhas ka nazriya hai.
Tareef - Introduction
Jang e azadi 1857 ke 10 saal baad Ali Garh maktaba fikar ke bani Sir Syed Ahmad Khan ne hindi urdu jhagrey ke baes 1867 mein jo nazriya paish kiya usay hum do qaumi nazriya ke naam se jantay hain. Is nazriye ki asan tashreh (explanation) ya tareef (definition) youn ki ja sakti hai keh is ke mutabiq na sirf hindustan ke mutehda qaumiyat ke nazriye ko mustard kiya gaya balkeh hindustan hi ke hinduon aur Musalmanon ko 2 alehda alehda qaumain aur kamil qaumain qarar diya gaya. Indain nationalism rakhne walon ke liye do qaumi nazria aik ankh na bhaya hamari shahrah azadi par two nation theory woh pehla sang e meel hai jisay mashal e rah bana kar Musalmanon ne 1947 mein apni manzil ko paya.
Two Nation Theory History Urdu - Do Qomi Nazria Ka Pas e Manzar
Jang e azadi 1857 ke zakham abhi taza hi thay keh hinduon ne aik aur maslay ko la khara kiya ye jhagra hindi urdu jhagray 1867 ke naam se mosoom hai 1867 mein banaras ke hinduon ne lasani tehreek shuru kar di jis ka maqsad urdu ki jagah hindi ko sarkari aur adalti zuban ke tor par raij karna tha aur Arabic ki jagah dronagiri ko apnana tha. Is janooni tehreek ka sadar daftar Allahabad mein qaim kiya gaya jabkeh puray mulk mein hinduon ne kayi aik working commetiyan tashkeel dien takeh puray hindustan ke tamam hinduon ko is tehreek mein shamil kiya jaye aur is ke maqsad ke husool ko mumkin banaya jaye.
Agar ghair janibdari se dekha jaye tou urdu ke khilaf hinduon ke tehreek aik naqabil feham aur ghair danishmandana iqdam tha kyoun keh urdu ko janoobi asia mein na sirf mutarif karane aur har dil Aziz banane balkeh isay arooj par pohanchane ke liye unhon ne woh kardar ada kiya tha jo khud Musalmanon ka tha agar urdu ka koi qasoor tha bhi tou sirf itna keh is ne Musalmanon ke shandar mazi un ke bahadaron, almon olya karam aur sapan salaron ke karnamon aur kardaron ko apne dabastanon mein mehfooz kar liya tha. Kayi Musalman rehnumaon ne hinduaon ko samjhane ki koshish ki un par waziha kiya gaya keh urdu indo Islamic art ka aik lazmi hasi ban gayi hai koi lack baar chahe tou janoobi asia ki saqafati wirsay se is anmool heeray ko nikal bahir nahin kar sakte. Magar in dalael ka hinduon par khuch asar na hua sir syed ne bhi jo un dinon khud banaras mein thay apni tamam tar masalihati koshishain kar lien lekin nakam rahe kyoun ke un hi ke qaim karda scientific society of india ke hindu arakeen bhi urdu ke khilaf tehreek mein paish paish thay. Urdu aur hindi ke darmiyan is qaziay ka natija baray paimanay par hindu Muslim fasadat ki surat mein baramad hua saqafaton ke is takrao ne sir syed ke khayalat mein aik aur inqilab parba par diya.
Ali Garh Aur Do Qaumi Nazria
Maktaba Ali Garh ke qaideen ne is nazriye ko mantaqi anjaam tak pohanchane mein koi kasar nahin chhori un ka istadlal tha keh ye nazria hi ki bunyad par Musalman hind apne daimi haleefon ki daimi ghulami se bacha sakte hain is nazriye ke hami rehnumaon ne 1906 mein na sirf shimla wafd ko munazam kiya balkeh Musalmanon ke liye aik alag numainda siasi jamat bhi qaim kar di.
Muslim League Aur Do Qaumi Nazriya
1906 se 1947 rak Muslim League ki siasat ka markaz yehi nazriya raha hai is zaman mein congress aur baqi tanzeemain apni tamam koshishon aur chalon mein mukamal nakam rahe.
Allama Iqbal Two Nation Theory
Europe ki sair mutalia aur Masjid Qurtaba mein azan dene ke baad Allama Iqbal ne amli siasat mein sargarmi se hisa laina shuru kiya tou aap ke siasi nazriyat samne aye 1930 mein Allahabad mein unhon ne is nazriye ki waziha alfaz mein wazahat ki aur aik alag mulk ki paishgoi bhi ki.
Quaid e Azam Aur Do Qaumi Nazria
Bani Pakistan is nazriye ke sub se bare alambardar hain aap ne congress ke tahayat sadar banne ki paishkash ko mustard kiya balkeh Muslim nayionalist rehnuaon ki mukhalfat bhi mol li lekin is nazriye ki sadaqat par koi anch na anay di haqeeqat ye hai keh aap ne Pakistan ka muqadma isi nazriye hi ki bunyad par lara aur isi bunyad par Muslim League ko shumal mashriq aur shumal maghrib mein abad Musalmanon ki wahid numainda aur siasi jamat manwaya is nazriye ko nazria Pakistan mein muntaqil karne ka sehra aap hi ko jata hai.
No comments:
Post a Comment