Shakarkandi Ka Halwa Recipe In Urdu Shakarkandi Ka Halwa Banane Ka Tarika Hindi Vidhi

  Lal Gulab      

Shakarkandi Ka Halwa Kaise Banate Hain Hindi Vidhi?

Hindi Shakarkandi Ka Halwa Recipe In Urdu: Bhooni koi shakarkandi bhi khayi jati hai jis ka tareeqa ye hai keh shakar kandi ko nihayat garam rait mein ya garam garam rakh mein daba dete hain. Jub shakarqandi pak jati hai tou nikal laite hain aur cheel kar khatay hain is mein shak nahin keh is tarah bhooni hoi shakarkand nisbatan zayada lazeez hoti hai. Albata ubalnay ke muqablay mein is tarah bhoonnay mein zayada takleef karna parti hai jo har ghar mein asani se nahin ho sakta.

Shakarkandi Ka Mufeed Aur Mazedar Halwa

Baz log shakarkandi ka halwa bana kar bhi khate hain taqwiyat bakhshta hai.

Method How To Make Shakarkandi Ka Halwa Banane Ka Tarika

Shakarkandi ko bareekh bareek tarash kar khush kar lain is ke baad kot chaan kar aata banayain, rozana subah ke waqt aik chatank ye aata lay kar aik chatank desi ghee meinbhoonain aur 3 chatank cheeni ka qawam shamil kar ke halwa tayar karain. Agar chahain tou is mein maghaz badam, maghaz pista aur nariyal bareek bareek tarash kar shamil karain is ke ilawa ubali hoi ya bhobhal mein bhooni hoi shakarkandi se bhi halwa bana sakte hain. Boil ki hoi shakarkandi zaroorat ke mutabiq lain aur chilkay aur reshon se saaf kar ke ghee mein bhoonain is ke baad cheeni shamil kar ke badastoor halwa tayar karain.

Shakarkandi Ka Halwa Recipe Number 2

 

Agar uper batai hoi recipe mushkil hai tou aap is tarah se shakarkandi ka halwa banane mein zayada asani mehsoos karain ge.

Ajza:

Method - Tarkeeb: Shakarkandi ko saaf dho kar kapre se khushk kar lain aur taway par rakh kar darmiyani anch par seenknay rakhain oper se baray size ke pan ko ulat kar dhak dain.
  • Darmiyan mein 1 se 2 martaba palat lain takeh jalne na paye achi tarah suk jaye tou chulhay se utar kar thanda kar ke cheel lain.
  • Doodh ko ubalnay rakhain aur ubaal anay par halki aanch kar ke 10 se 15 minite pakayain jub doodh garha hone par ajaye tou bhooni hoi shakarkandi ke chote tukre kar ke us mein daal dain.
  • Doodh khush ho jaye aur shakarkandi gal jaye tou usay kante se kuchal lain.
  • Karahi mein oil daal kar normal aanch par 3 se 4 minute garam karain aur us mein elaichi ke danay dal kar kara kara lain.
  • Phir us mein shakar kandi yani sweet potato dal kar bhoonna shuru karain jub rangat halki sunehri hone lage tou us mein zarde ka rang chirak kar cheeni daal dain aur aanch halki kar dain.
  • Cheeni ka pani nikalne lage tou thori si aanch tez kar ke usay itni dair bhoonain keh ghee alehda ho jaye ab aap ke liye shakarkandi ka halwa tayar hai aap is ki sajawat badam aur piston se kar lain aur thanda honay par khayain.
logoblog

Thanks for reading Shakarkandi Ka Halwa Recipe In Urdu Shakarkandi Ka Halwa Banane Ka Tarika Hindi Vidhi

No comments:

Post a Comment