Shakarkandi Benefits In Urdu Shakarkandi Ke Faide Hindi Sweet Potato Shakar Kandi

  Lal Gulab      

Hindi Shakarkandi Ke Faide In Urdu Shakarkandi Benefits In Urdu Shakar Qandi

Alu ki tarah shape aur ghazaiyat rakhne wali shakar qandi aik jar hai jo Pakistan mein aam payi jati hai jise na sirf bache balkey har age ke insan mazay se khatay hain is ke meethay taste ki wajah se english mein shakar kandi ko sweet potato kehte hain. Kam qeemat ki wajah se ye ameer aur ghareeb donon mein yaksan mashoor hai khas tor par ghareeb tabqa jo aksar anaj ki kami ki wajah se ghazai kami ka shikar ho jata hai, shakarqandi ki karishmati khasoosiyat se is kami ko pura kar sakte hain. Shakarkandi ko bhoon kar ya boil kar ke khaya jata hai shakarkandi ka halwa bhi bay had lazeez hai jo jism ko garmi aur taqweeyat bakhshta hai.

Shakarkandi Ki Khasoosiyat

Is ki bohat khasoosiyaat hain is sabzi ko super food kehte hain ye kayi bimariyon se mehfooz rakhti hai is ke eight fayde yani 8 shakarkandi ke fawaid nechay parhiye.

Dil Ki Bimariyon Se Bachati Hai

Shakarqandi mein jo B6 paya jata hai woh dil ki bimariyon se youn mehfooz rakhta hai keh shariyanon ko lachakdar banata hai. Sweet Potato mein mojood potassium dil ki dhadkanon ko tarteeb dene mein madad karta hai albata jo log amraz qalb ke shikar hain woh shakarkandi ka istemal apne doctor ki permission se karain.

Vitamin A Ka Khazana

Shakarkandi ka gehra naranji rang is mein mojood beta carotene yani vitamin A ki nishandehi karta hai jo keh aik aham antioxidant hai hai. Aik shakarkandi mein itna vitamin A hota hai jo aap ke jism ki aik din ki vitamin A ki zaroorat ko pura kar sakta hai vitamin A kayi qisam ke cancer se mehfooz rakhta hai is ke ilawa jild ko suraj ki ultraviolet rays se bachata hai.

Meday Ke Alcer Ke Liye

Agar koi stomach ke alcer mein mubtala ho tou woh sweet potato ka use zaroor kare is mein mojood fiber stomach saaf rakhta hai aur khana hazam karne aur fazal mada jism se kharij karne mein madad karta hai jis se ghaza ki nali mein tezabiyat nahin banti.

Gurdon Ke Liye Faida Mand

Vitamin A se phephre kayi bimariyon se mehfooz rehte hain aur ye asar shakarkandi mein paya jata hai.

Jild Aur Balon Ko Sehatmand Banati Hai - Shakarkandi Beauty Tips

Shakarkandi ko beauty food bhi kehte hain kyoun ke is ke ghazai ajza skin aur hairs ke liye advantages rakhte hain is se rang saaf aur mustaqil istemal se baal ghane aur totnay ka silsila bhi ruk jata hai.

Quwat Madafat Mazboot Banati Hai

Har koi janta hai keh jism ko quwat aur taqweeyat pohanchane ke liye iron ki zaroorat hoti hai madniyati folaad na sirf jism ko energy muhaiya karta hai belkeh is se jism mein khoon safed aur surkh khulyat tezi se bante hain, zehni tanao door hota hai yehi wajah hai shakarkandi khane ke faide mein shamil aik fayda ye bhi hai keh sweet potato zehan ko pur sakoon rehne mein qabil tareef hai. Gharz ye keh is sasti vegetable mein qudrat ne ghazai khazanay rakhe hain jo health ke liye mufeed hai.
logoblog

Thanks for reading Shakarkandi Benefits In Urdu Shakarkandi Ke Faide Hindi Sweet Potato Shakar Kandi

No comments:

Post a Comment