Kabaddi Essay In Urdu Kabaddi Hindi Essay Note Kabbadi Par Nibandh Mazmoon

  Lal Gulab      

Mazmoon Kabaddi Essay In Urdu Kabbadi Hindi Essay Khel Kabaddi Par Nibandh Speech On Kabaddi Urdu

Short Note On Kabaddi In Urdu: Pakistan aur India banne se pehle kabaddi dehat ka sub se bara kheel samjha jata tha wese tou aaj bhi kabadi ko dihat mein khasi ahmiyat hasil hai lekin is ki jagah thori bohat dusre kheelon ne bhi lay li hai. Dehat mein kabaddi ki ahmiyat is liye zayada hoti hai keh wahan par cricket, hockey aur dusre isi qisam ke kheelon ke intezamat nahin hotay na wahan ground hotay hain na dusra saman mayasar aa sakta hai albata volley ball bohar se dihat ke schoolon mein aksar kheela jata hai kyoun keh is ke liye lambi ground ki zaroorat nahin hoti. Ye kheel har mausam mein kheela jata hai. Mausam garma mein aksar dihar wale kabaddi kheltay hain is ke liye sham ka waqt munasib samjha jata hai. Us waqt dehat ke aksar naujawan kaam kaaj se farigh ho jate hain aur tamashai bhi asani se ikathay ho jate hain. Kehte hain keh kabaddi jawan mardon ka khel hai is mein zoor azmai bohat hoti hai. Sham ko suraj ki tamazat kam ho jati hai aur nange jism par thandi thandi hawa lagti hai is kheel mein dorne ke ilawa saans ko lamba khenchne ki mashq bho hoti hai. Kamzor admi kabaddi nahin khel sakta kyoun keh us mein kisi waqt aik dusre ke sath thori si kushti bhi lagana parti hai. Jub aik taraf ka khaladi dusri tarah jata hai tou usay dusra khalari mazbooti se pakarne ki koshish karta hai woh churane ki koshish karta hai tou aise mein aksar auqat donon khaladi gutham gutha bhi ho jate hain aur jo khaladi zor awar hota hai woh kamyab ho jata hai.

Kabaddi dihat ke halaat aur mahool ke mutabiq nihayat hi mozun khel hai is mein kisi saman ki zaroorat nahin hoti. Koi kheet jis mein kantay waghera ya paon aur jism ko nuqsan dene wali koi chez na ho kabaddi ke liye istemal kiya ja sakta hai. Us mein na waqt ki pabandi hai aur na hi khaladiyon ki tadad ki qaid, larkay thoray hon tab bhi kheel sakte hain aur agar zayada hon tou bhi khel sakte hain.

Kheel ke darmiyan mein mitti ka aik nishan bana liya jata hai yani wahan se mitti unchi kar dete hain. Ye nishan kheet ko 2 barabar hison mein taqseem kar deta hai is nishan ko pala kehte hain. Adhay khaladi us taraf kharay ho jate hain aur adhay khaladi nishan ki dusri taraf. Donon taraf ke khiladi team balkeh party kehlatay hain aik party ka aik khaladi dusri party ki taraf kabaddi kabaddi is tarah kehta hua jata hai keh dusre sunn sakain kabaddi kabaddi munh mein kehna qabil qabool nahin hota.

Lambi Kabaddi

Is kheel mein kabaddi kabaddi kehne wala khaladi pala aboor kar ke dusri party ki hadod mein dakhil ho jata hai aur koshish karta hai keh kisi aik khaladi ko jis ko woh chahe chulay aisa karne mein usay dor kar chakar bhi lagana paray tou lagata hai magar shart ye hai keh saans na totne paye woh chunay ki koshish karta hai aur dusre bachne ki. Kabaddi kabaddi kehta hua dusri hadood mein dakhil hone wala khaladi jisay chu laita hai tou kehte hain keh woh mar gaya hai yani ab woh khelna band kar deta hai aur party mein se nikal kar baith jata hai. Dusre lafzon mein youn kahiye keh party mein se aik admi kam ho gaya. Isi tarah se dusri taraf se aik khaladi kabaddi kabaddi kehta hua pala paar kar ke mukhalif group ki hadood mein dakhil hota hai aur kisi aik khalari ko chunay ki koshish karta hai agar chu laita hai tou mar jata hai yani us mein ye hota hai keh aik taraf ki party ka aik khaladi dusri party ki hadood mein pala paar kar ke dakhil hota hai woh bhi isi tarah kabaddi kabaddi kehta hua dakhil hota hai woh kisi aik admi ko chu laita hai ab jis admi ko us ne chua hai us se baghair kisi madafat ke sahi salamat palay tak kabaddi kabaddi kehta hua baghair sans toray wapas pohanch jata hai tou jis admi ko us ne chua tha woh mar gaya aur agar woh jis ko chua hai anay wale ko pakar kar qabu kar lay aur usay wapas palay tak us waqt tak pohanchne ne de jub tak us ka saans na toot jaye tou anay wala khaladi mar jata hai. Aur agar anay wale ko mukhalif khaladi ne pakar liya hai aur woh ghaseet'ta hua palay tak lay aya hai ya us ne palay ko chu liya hai aur abhi saans bhi nahin tota tou jis admi ko chua tha woh mar jata hai is tarah se aik dusre party ke khaladi martay rehte hain aur akhir mein jis party ke khaladi pehle khatam ho jayain woh haar jati hai aur jis ka chahe aik bhi baqi ho woh party jeet jati hai.

Kabaddi bohat seedha sada kheel hai lekin warzish ke lihaz se dusre kheelon ke muqablon mein is ki afadiat zayada hoti hai is liye ye khas tor par dihat ke ache kheelon mein chumar hota hai aur ab tou shehron mein bhi is ka rawaj hota ja raha hai aur baqaida is ke qawaneen waziha ho gaye hain takeh aik nazm o zabt ke teht kheela ja sake.
logoblog

Thanks for reading Kabaddi Essay In Urdu Kabaddi Hindi Essay Note Kabbadi Par Nibandh Mazmoon

No comments:

Post a Comment