Jhansi Ki Rani Story In Urdu Jhansi Rani Lakshmi Bai Essay In Hindi
Information Jhansi ki rani jin ka naam lakshmibai tha jhansi riyasat ki rani thi jo 19 november 1828 ko paida hoi aur 18 june 1858 ko wafat payi. Ye 1857 ki jang e azadi mein bharpur kardar nibhanay wale leaders mein se thi jinhon ne hindustan ko angreezon se azad karwane mein zabardast kardar ada kiya.
Ibtidai Zindagi Life Biography of Jhansi Ki Rani
Paidaesh - Date of Birth
Woh aik hindu barahman ke ghar paida hoi 19 november 1828 ke din un ke father ka namemorupant aur mother name bhagerati tha us ke walid shuru mein bathor riyasat ke raja ke liye kaam karta tha lekin bathor ke raja ne laxhmi bai ki parwarish is tarah ki keh apni sagi beti se bhi zayada.
Shadi
Un ke shadi 1842 mein jhansi ke raja se koi us waqt 13 saal ki thi woh un ka aik beta paida hua lekin angrezon ki chal se usay saanp ne kaat liya aur mar gaya us ke baad rani har waqt apne betay ki yaad mein hua karti thi is liye is ne apne bhanjay ka naam anand se damodar rakh liya aur usay apna saga beta qarar diya mehraj ganga ka katal us ke bhanjay jesy shaks Ali bahadur ne kiya jo keh jhansi ke takht par baithna chahta tha lekin us ke baad rani ne takht par aik zabardast qabza kiya aur jhansa ki takht ki na hi Ali bahadir aur dusre dawedaron ko diya aur na hi angrezon ki east india company ko diya balkeh khud raij joi.
Jang e Azadi 1857
Ibtida: Jesay keh jang e azadi mein bohat si riyasaton ne hisa liya jin mein aik mughal riyasat ki taraf se Bahadur Shah Zafar aur dusri jhansi ki rani laxhmi bai. Woh shuru se aik bahimmat khatoon thi aur angreez ka kisi hindustani par zulam nahin seh sakti thi aur angreez ko munh tor jawab deti thi.
Wafat
Jub jang e azadi ki tehreek jari hoi tou rani ne bhi angrezon ka samna kiya aur bay shumar angrezon ko moot ke ghat utara us ke baad achanak kisi fauji ne kisi maidan jang mein rani par talwar se war kiya jis ke natijay mein woh zakhmi hoi aur woh maidan se aik sunsan jagah gayi kaha jata hai wahan rani ne aik bazurg ko dekha aur un se kaha keh woh laxhmi bai ko us tarah jalaye keh un ka jism moot ke baad bhi angrezon ke hath na aye jesa zindagi mein kabhi angrezon ke hath na ayi us faqeer ne rani ko jalaya aur kisi ko khabar bhi na hoi ke rani ka jism kahan gaya woh is kaam se angreezon ko ye paigham dena chahti thi keh woh na rani ko zindagi mein pakar sakay aur na marnay ke baad isi tarah rani ki badaulat hindustan mein azadi ka jazba paida hua aaj bhi rani ko bharat mein aik mili khatoon ka darja hasil hai.
No comments:
Post a Comment