How To Improve Memory Tips Urdu Sharp Memory Hindi Home Remedy Memory Increase

  Lal Gulab      
How To Improve Memory In Urdu Memory Tips Hindi Ghareelu Nuskhe Increase Memory: Kamzoor memory senkron masail ka paish khema ho sakti baaz auqat aap apni thakan ya masroofiyat ki wajah se apni bohat si cheezain kahin rakh kar bhool jate hain maslan purse chabiyan, pen aur degar zaroorat ki cheezain is ke ilawa baaz insan ka naam bhool jane aur degar maloomat yaad na rehne ka masla ho jata hai. Kyoun keh hamara zehan aik pecheeda machine se bhi pecheeda hai is liye is ki behtari aur nashonuma ke liye chand hidayat paish khidmat hainse in memory behtar karne ka tarika se aap ki memory behtar ho sakti hai.
  1. Hamesha raat ko jaldi sone ki adat apnayain aur sawere uthna apna mamool banayain.
  2. Raat ko sotay waqt tamam din ki talkh aur degar batain baar baar zehan mein na layain balkeh pur sakoon neend ko tarjih dain.
  3. Pursakoon neend ke liye zaroori hai keh hawa aur jagah ka intekhab karain kyoun keh oxygen dimag ke liye bohat zaroory hai.
  4. Subah sawere uth kar namaz ke baad warzish zaroor karain kyoun keh oxygen dimagh ki khorak hai is liye doran e warzish lambe lambe saans lay kar zehan ko tar o taza karain.
  5. Games na sirf bachon ke liye mufeed hain balkeh ye tamam umar ke insanon ki zehni basaat ko barhati hain is liye koi dilchasp si game zaroor kheelain.
  6. Hamesha achi aur sada ghazayain khayain.
  7. Blood pressure, sugar aur brain diseases ka treatment karain ye memory ko bohat zayada mutasir kartay hain.
  8. Apne roz ke kamon ki aik kitab likhain ya apni zindagi par kitab likhna shuru karain.
Improve Memory Exercise In Urdu
Healthy rehne ke liye jisay jismani exercise ki jati hai wese hi agar hum apni dimagi salahiyat mein izafa karna chahte hain tou ye wali exercise karain.

Jo log kamzoor dimag ke malik hotay hain ya unhain bholnay ki bimari hoti hai tou baghair medicines ke mehz thori si tawajah se un masail par qabu pa saktay hain.

Mahireen ka kehna hai keh insani dimag 30 saal ki age se mutasir hona shuru ho jata hai agar is ki behtar nighedasht ki jaye tou is ke mutasir hone ki raftar kam ki ja sakti hai. Mukhtalif cheezain yaad karne se bhi memory ki warzish hoti hai maslan naam dictionary ke words, mazmoon poetry remember karne ke zariye ye wazishain ki ja sakti hain.
logoblog

Thanks for reading How To Improve Memory Tips Urdu Sharp Memory Hindi Home Remedy Memory Increase

No comments:

Post a Comment