Brain Improvement Tips Urdu Brain Fast Tips Hindi Brain Healthy Mind Tips

  Lal Gulab      
Healthy Mind Tips In Urdu Brain Improvement Tips In Hindi How To Fast Brain In Urdu Totkay

10 Brain Improvement Methods In Urdu For Avery Age

Umar barhne ke sath hamara brain tanzali ka shikar hone lagta hai hum cheezain bhoolne lagte hain agarcheh old age ke amal ko wapsi ka rasta dikhana tou mumkin nahin magar apne zehan ko zaroor hum par umar ke mutabiq fit rakh sakte hain. Aksar insan is baat se la ilm hain keh dimag ko kaise sehat mand rakha ja sakta hai tou agar aap ko bhi ye masla darpaish hai tou ye chand sada warzishain kafi madadgar sabat hon gi.

Dimagi Games Kheelain Brain Games

Ji haan agar aap daily newspapers mein cross words puzzle ya degar hal karnay wali games ke shoqeen hain tou ye adaat aap ke brain ke liye faida ka baes hai bunyadi riyazi aur spelling skills ki exercise jaise dimaghi kheelon ka matlab ye hai keh aap apne dimag ko zayada challenge de rahe hain jo usay fast rakhne mein madadgar sabat hote hain.

Warzish

Jismani warzishain dar haqeeqat dimag ke liye bhi faida mand sabat hoti hain rozana 30 minute se 1 ghante tak warzish yoga, chechal qadmi yani walk waghera, cycling, swimming aur degar bohat easy bhi hain aur tafrek se bharpur bhi jis se dimag ko garmi ke mausam se mutabqat paida karne mein madad bhi milti hai.

Healthy Diets

Khorak mein sehat bakhsh ajza ka istemal hi sehat mand dimag ki zamanat hote hain muzhar sehat ajza jese tambako noshi ka istemal mehdood tou karna hi chahiye zayada namak khane se bhi bachna hai kyoun keh ye diabetes, high blood pressure aur falij jesi bimariyon ka sabab bhi ban sakta hai.

Samaji Tor Par Mutehrik Rehna

Din bhar mein khuch waqt apne friends se kisi bhi mozu par baat karne ke liye waqt nikalain apne doston aur rishtay daron se ghulna milna dimag ko mazboot rakhta hai.

Rozana Khuch Naya Seekhne Ki Koshish Karna

Ye khuch bhi ho sakta hai jese khane pakane ki koi nayi tarkeeb parh kar usay seekhne ki koshish karna ya kisi naye lafz ka matlab samjhana ya apne office jane ke liye naya rasta ikhtyar karna apni mamool ki routine se bahir nikal kar khuch naya karna aap ke dimag mein aik naya josh paida karne ka sabab banta hai.

Nayi Zuban Seekhna

Tehqeeqi reports mein ye baat sabat ho chuki hai keh aik se zayada zubanon se waqfiat aik burhapay mein healthy brain ka sabab banti hai aur is ke sath sath brain ko mushkil halaat se nimatnay mein madad bhi milti hai.

Doctor Se Baat Cheet

Agar aap ki age 50 plus hai tou apni dimagi sehat ke hawalay se doctors se check up karwatay rahain kyoun keh aksar zehni amraz ka aghaz 50 saal ke baad hi hota hai.

Old Age

Books se lay kar blogs ya fresh news parhne tak sub khuch ke sath mutalia aap ke brain ko naye alfaz seekhne aur yaddasht behtar banane mein madadgar sabat hota hai.

Zayada Pani Peena

Daily 8 glass pani ka istemal insan ke brain ke liye bohat zaroori hai.
logoblog

Thanks for reading Brain Improvement Tips Urdu Brain Fast Tips Hindi Brain Healthy Mind Tips

No comments:

Post a Comment