Diabetes Side Effects Urdu Sugar Ki Wajah Diabetes Information Hindi Sugar Kya Hai

  Lal Gulab      
What Is Sugar Kya Hai Diabetes Side Effects In Urdu Sugar Kyon Hota Hai
Diabetes Information In Urdu Maloomat Sugar ka marz ab aam hota jaraha hai is ki kai wajuhat hain lekin in mein ghiza ka motawazan na hona aur bakaidgi se warzish ka na karna sar fahrist hain. Ab is nae zamane mein hum tarah tarah ke mashroobat aur meethe se bani gai ashia ka istamal rozana karte hen jis ki waja se hamein sugar ke ilawa bhi kai dusri bemariyon ka samna karna parta hai. Zaruri hai ke hum pehle se hi apni ghiza aur dusre lawazmat jin mein khas tor par fast foods aur cola shamil hain mukamal parhez rakhen fast foods ki jagah hamein taza sabziyon aur phaloon ka istamal karna chahye aur cola ki jaga hamein taza pani pena chahye kyunke cola mein shakar ki kafi mikdar maujood hoti hai ta ke hum is mozi marz se bach sakain.

Sugar do iksam ki hai pehli kism ko aam tor par bachon ki sugar kaha jata hai ye 15 sal se kam bachon mein hoti hai iski waja insulin aur insuline banane wale khaliyat ki kami hai Dusri kism baron ki sugar hai jo ghiza ki ziyadti aur warzish ki kami ki waja se aksar hoti hai jiska zikar mein uper bayan karchuka hon.

Sugar Ke Asrat Diabetes

  • Bhook aur piyas ka zayada lagna aur peshab ka baar baar ana.
  • Jism par phoore aur phansiyan ban jana aur dhundla nazar ana.
  • Thakawat hona aur pait mein dard rahna is ke ilawa qay ka hona.
  • Zakham ka jald thek na hona aur  wazan mein kami hojana.
  • Peshab wali jaga par kharish ka hona agar aap ki umar 35 saal se zayada hai to apna sugar ka test karwate rahen.
  • Motape se bhi daibties hojati hai is liye apna wazan kam rakhen.
  • Wirasati toor par bhi sugar ke khatrat hote hain jaise waldain ya behen bhai mein se kisi ko diabetes ho.
  • Fikar aur pareshani mein mubtala logon ko bhi is se khatra hai aise afrad jo zayada tar beth kar kaam karte hain wo is marz mein mubtala ho sakte hein.
  • Mazeed alamat yahan se parhain A detailed article on diabetes

Nuqsan Sugar Ke Marz Se Paida Hone Wali Pachedgiyan Side Effects Of Diabetes In Urdu

  • Agar sugar level control na rakha jaye tou ye kai qism ki paichedgiyan paida kar sakta hai maslan sene mein dard heart attack ho sakta hai.
  • Dimag mein khoon ka bhao ruk jata jis se stroke ho sakta hai.
  • Gurdon par iske asrat hote hein jis ki wajah se gurde fail ho sakte hein.
  • Ankh ke parde par is ka asar hota hai adrak ka istamal diabetes ke marizon ke liye faida mand ho sakta hai aisa Australia ke mahreen ka khayal hai in ke khayal mein adrak sugar ko control kar ke bharne se rokti hai is liye daibetes ke marizon ko is se bharpur faida uthana chahiye.
  • Sugar ke marizon ko ghiza ka jo chart dia jata hai is par in ko mukamal amal karna chahye aur cheeni aur is se bani ashia se mukamal parhez rakhen.
  • Aise phal jo bohat methe hote hain inko kam khain jaise aam aur kela waghera.
  • Agar aap sugar ke marz se bachna chahte hain to apni ghiza ko mutawazun rakhain aur rozana ki bunyad par warzish ke liye waqt nikalain.
  • Sab se behtar hai ke aap taiz chehal qadmi karen lekin agar aap sugar ke marz mein mubtala hein to phir apne malij ke mashoore par amal karain.
  • Aaj kal bohat si aisi adwiyat hain jin ke istamal se sugar ko control kiya ja sakta hai aap apni roz marah ki zindagi mein tabdeeli la kar bhi is marz se mehfuz reh sakte hain.
  • Bemari bhi khuda ki taraf se hai aur shifa bhi Allah daita hai is liye hamein musalman hone ke natay apne Rab se har namaz mein dua karte rahna chahiye Allah chahain tou hamein mukamal shifa bakhsh dain.
  • Sugar ke marizon ke liye anjeer behtareen phal hai american mahreen ke mutabik anjeer ko khanay se insulin ki kami ko pura kiya ja sakta hai is liye aise mareez jo insulin ke injection lagate hain unhain anjeer ka istemal karna chahiye.
logoblog

Thanks for reading Diabetes Side Effects Urdu Sugar Ki Wajah Diabetes Information Hindi Sugar Kya Hai

No comments:

Post a Comment