Swine Flu Symptoms Urdu Information Swine Flu Treatment Details Hindi Causes

  Lal Gulab      

Swine Flu Symptoms In Urdu Swine Flu Information Hindi

Pakistan mein guzishta chand dino ke doran swine flu se mutasira afrad ke mutadad cases samne ahchuke hen jabke 15 se zaid afrad is khatarnak bemari ka shikar hokar apni jaan bhi gawa chuke hen agar cha filhal samne ane wale tamam cases sooba punjab se taluk rakhte hen lekin agar ahtiyat na ki gai to ye bemari mulk ke degar shahron mein bhi phail sakti hai. Is bemari se bachao ke liye zaruri hai ke mulk ka har fard swine flu ke bare mein mukamal maloomat rakhta ho.

Aiye hum aap ko urdu kuwait ke towast se batate hain ke swine flu se kaise bacha jasakta hai? Iski kitni iksam aur konsi ahityati tadabir apnana intehai zaruri hen swine flu bemari H1N1 virus se hoti hai.  Ye virus insan mein droplet infection se phailta hai yani virus mutasira shakhs, cheenkne, khansne, hath milane aur gale milne se ye  bemari phail sakti hai. Virus ka incubation period 1 se 7 din tak ka hota hai. Ye virus sakht aur thoos jaga par 24 se 28 ghante zinda rahte hain ye virus kapron mein 8 se 12 ghanton tak aur tissue paper mein 15 minute tak aur hathon par 30 minute tak zinda rah sakta hai.

Agar is doran kisi aur ke zariye ye cheezain ayain to khatra barh sakta hai is bemari ko 3 category mein takseem kia gaya hai.

Category A

A category ke marizon ko aam sardi zukam ki alamat jesi taklif hoti hai. Inko sardi zukam o taklif ke mutabik dawai dekar ghar par aram karne ki salah di jati hai.

Category B

B category mein aise marizon ko rakha gaya hai jinko taiz bukhar 100 degree ya is se uper gale mein kharash, khansi, hath paon sar dard o ke ya ishal ki taklif ho iske ilawa B category mein high risk ki alamat wale afrad jaise 5 sal tak umar ke bachon ko 65 sal se zayada umar ke buzrig, hamla khawateen aur lungs, dil, jigar, gurdon, daibties, cancer wagera jesi lambi bemariyon wale marizon ko rakha gaya Is mein marizon ko inki asal bemari ke sath swine flu H1N1 ilaj taimi flu dekar mariz ko ghar par aram karne ki salah di jati hai.

Category C

C category ke marizon mein B category ke marizon ki alamat ke sath sath sans lene mein dushwari, sene mein dard, balgam ke sath khoon ana, nakhun nele parna wagera alamat hote hein. C category ke marizon ko hospital mein dakhil karke swine flu H1N1 ka ilaj taimi flu o degar aur bemari ke mutabik ilaj kia jata hai. In marizon ki swine flu H1N1 ki janch ke liye throat sawab lekar labortary mein bheja jata hai. Swine flu ki ibtadai Alamat: naak ka musalsal behna, chenk ana, naak band hona. Badan mein dard ya akran mehsus karna sar mein khofnak dard, cough aur cold musalsal khansi ana, nend na ana, bohat zayada thakawat mehsus hona, bukhar hona, dawa khane ke bad bhi bukhar ka musalsal barhne. Gale mein kharash hona aur iska musalsal barhte jana.

Ahtiyati Tadabir

Ahtiyati ilaj se behtar hai lehaza darj zail ahtiyati tadabir ko buroe kar lakar is marz se mehfuz raha jasakta hai.
  • Kisi bhi kism ki infection khasusan viral infection ke tadrak aur dakhli mazahmat o madafat barhane keliye kisi bhi kism ki gobi, lehsan, piyaz, tarash phal, lemon, malta, sangtara wagera tamatar, adrak kali mirch, zinc wali ghizain maslan gandum machli aur gosht wagera ko apni roz mara khorak mein shamil karen.
  • Apne hathon ko bakaida kisi soap se dhoain liquid soap ka istamal virus ko phailne se bachane ka acha tarika hai agar aap aise ilake mein hain jahan is waba ke phailne ke imkanat hein ya aise log hen jo hal hi mein berun mulk ka safar karke lote hain to phir ahtiyati tadabir par amal karna mazid zaruri hai jahan waba phaili ho waha par dispozible mask ka istamal bhi faida mand hai.
  • Cheenke ya khanste waqt kisi rumal ya tissue paper ko istamal karen aur istamal ke bad ise zaya Kardain aur hathon ko foran liquid soap se dholain.
  • Agar aap ghar se bahar hein aur soap se hath nahin dho pae hen to is doran khasusan aur waise bhi apne mun, ankhoon aur naak ko hath ya ungliyan lagane se parhaiz karen kyunke in jagahon se virus ke jism mein dakhle ka imkan zayada hai.
  • Zayada tar gair mulki safar mein rahne aur aksar public telephone, restaurants ya public makamat par aam istamal ki cheezain istamal karne wale afrad ko viral infection ka khatra zayada hota hai is silsile mein shadid zarurat hoto apne paas wipes zarur rakhna chahye aur apne hathon aur chehre ko wipes se achi tarah saaf karen.
logoblog

Thanks for reading Swine Flu Symptoms Urdu Information Swine Flu Treatment Details Hindi Causes

No comments:

Post a Comment