Kuwait History In Urdu Kuwait Information Hindi Kuwait Culture Tareekh Rajdhani

  Lal Gulab      

Urdu Kuwait History In Hindi - Sehra Mein Qaim Jadeed Mulk

Kuwait Information In Urdu Kuwait Ki Maloomat: Kuwait Arab ka raqbay ke aitbar se chota sa mulk hai Kuwait khaleej faras ke shumal maghrib mein waqia hai. Kuwait ke maghrib aur shumal mein Iraq ki tareekhi riyasat hai jabkeh janoob mein Saudi Arab jese mulk ki muqadas sar zameen hai aur mashriq mein samandar hai. Kuwait ki capital city Kuwait hai kisi bhi mulk ke darulkhilafa ko bharat mein basnay wale log rajhdani kehte hain.

Kuwait Culture In Hindi

Yahan ke rehnay wale log khulay dil ke malik hain ye jub kisi dusre se miltay hain tou hath milanay aur chehre par kiss bhi kartay hain par yahan mazboot Islamic rules hone ki wajah se aisa mardon aur auraton mein mamnu hai is ke ilawa idhar ke functions mein Islami rang nazar ata hai idhar town aur cities mein masjidain bhi hain jahan panchon waqt ki azan ki awaz fizaon mein buland hoti hai.

Kuwait Food

Kuwait ka cultue apne lazeez khanay ka zikar karne ke ilawa bayan nahin kiya ja sakta yahan ki sub se mashoor dish "Machboos" hai jo keh chicken machli aur masalay dar chawalon ke sath log mazay se khatay hain bohat si kuwait ki familes dinner ke sath sath lunch ke liye bhi hotels mein jana pasand karti hain.

Kuwait Entertainment - Tafreehi Muqamat

Yahan tafreh ke liye sahil samandar aur sehraon ke alaqay hain jahan chuttiyon ke doran aksar auqat mein log sair ke liye nikalna pasand kartay hain samandar par log machliyan pakarnay, kashti chalanay aur swimming jesi tafreeh karna ke shoqeen hain is ke ilawa Kuwait mein khubsurat malls hain jahan Kuwait ki girls jana zayada pasand karti hain idhar bohat se malls mein movie theatres bhi mojood hain film dekhne se pehle log zayada waqt mall mein bitatay hain.

Geography And Population of Kuwait

Saltanat Kuwait ke zair intezam samandar ke 9 bare bare jazair bhi hain jin mein se aik ke baray mein khayal kiya jata hai keh wahan ke qabail qabal az tarikh ke zamane se abad hain. Kuwait ka area 7000 muraba meel se bhi kam hai aur 2007 ke mutabiq is Kuwait ki abadi 27 lack hai.

Kuwait agarcheh dunya ke khushk tareen sehra ka hisa hai lekin daulat ki rail pail aur waqt ki barhti hoi raftar ke sath is mulk ne bohat taraqi ki hai aur ab Kuwait shehar dunya ki zadeed tareen cities mein shamil hota hai jahan dunya ki har aham o ghair aham sahulyat tak asani hai aur unchi unchi buildings, bare bare bazaar aur aali shan masajid aaj is riyasat ki pehchan hain. Is riyasat ki zayada tar abadi Kuwait city mein hi muqeem hai aur is lihaz se ye dunya ki aik munfarid mumlikat hai.

Kuwait Weather In Urdu

Is sehrai mulk ke khuch hison mein nakhlistan waqia hai Kuwait desert ke baes intihai garam aab o hawa ka mulk hai is ke din ka darja hararat 44 se 54 c tak bhi pohanch jata hai. Salana barishon ki sharah na hone ke barabar hai, salana 1 inch tak mushkil se barishain hoti hain jis saal barishain zayada ho jayain tou sehra ka darja hararat khuch kam rehta hai ba surat degar garmi na qabil had tak barh jati hai, shayed isi wajah se Kuwait mein nadi, nale, jheelain, absharain aur darya naam ki koi cheez nahin hai. Pani aur sabza na hone ka baes janwar bhi bohat kam tadad mein paye jate hain. Kuwait mein zair e zameen pani bhi nayab hai kahin kahin bohat gehrai mein pani milta hai tou itna khara keh penay ke qabil banane ke liye usay kayi marhalon se guzarna parta hai, Kuwait samait pure mashriq wusta mein sirf aik hi meethay pani ka chashma hai aur woh chashma aik Nabi ke paon se phutnay wala Kaba ke zair saya behne wala zamzam hi hai. Kuwait government ne agriculture ke liye ab masnoi tor par abpashi ka intzam kiya hai jabkeh peenay ke pani ke liye bare bare plant lagaye jate hain ya phir bahir se daramad kiya jata hai.

Country Kuwat History In Urdu - Kuwait Ki Tareekh

Kuwait tarikh mein aik tijarati shahrah ki hesiyat se jana jata tha, mashriq baeed se Hajj ke liye jane wale qaflay Kuwait se guzarte thay. Lakhon hajiyon ke qaflon ki ye guzargah baaz auqat dakuon ki amajgah bhi ban jati thi. 19th century ke akhir mein Kuwait ke ameer Abdullah Sani ne Usmani Turk hukamranon se sifarati taluqat qaim kiye aur un se gehre rawabat barhane shuru kiye lekin ameer ke bhai Ameer Mubarak ne Kuwait rules ki khilaf warzi karte hue iqtidar par qabza kar liya aur apne bhai ki badshahat khatam kar di aur Khilafat Usmania se qata taluqi karte hue taj bartania se taluqat istwar karna shuru kar diye. Is par saltanat Usmania ne Ameer ko imani ghairat bhi dilana chahi lekin koi faida na hua 1899 ke aik muahday  ke teht Kuwait ne apni foreign policy hukumat bartania ke paas girwi rakh di. Kitni herani ki baat hai keh jis zamane mein dunya ki qaumain apni azadi ki jad o jehd kar rahi thein ain usi zamane mein Kuwaiti hukamranon ne baqaida muahde ke teht Esaiyon ki ghulami ka faisla kiya. Dusri jang e azeem ke doran Ameer Kuwait ne Saltanat Usmania jesi Musalman riyasat ko chhor kar taj bartania ki maseehi taqat ko apne difa ki zumaidari sonp di. Dusri jang e azeem mein samraji afwaaj ki manzori ke baes 19 june 1961 mein Kuwait ko bartania se azadi mil gayi aur ab ye din Kuwait ka national day ke tor par manaya jata hai.

Kuwait ki abadi yani yahan ki muqami abadi apne hi mulk mein qaliyat ka shikar hai aur kam o baish 2 tihai abadi bahir se aye hue logon ki hai jo degar Arab countries se aur zayada tar janoobi Asia se aye hue mazdoor logon par mushtamil hai. Ye bahir se aye hue log Kuwait ki shehriyat (citizenship) aur yahan ke tamadni siasi o muashi huqooq hasil nahin kar sakte ye huqooq sirf muqami Kuwait ke logon ke liye hain jo 1920 se qabal tak apni Kuwaiti hesiyat ko sabat kar sakte hain. Kuwait Arabon ka mulk hai lekin farsi baan qabail bhi yahan sadiyon se muqeem hain jo bohat kam aur sarhadi alaqon tak hi mehdood hain.

National Language Of Kuwait In Urdu

Yahan ki sarkari zuban Arabic language hai aur khas khaleej ke lehjay ki jadeed Arabic mein yahan taleem faraham ki jati hai, english ko sanwi zuban ki ahmiyat hasil hai.

Mazhab Kuwait Religion

Yahan ke shehre sub hi Alhamdulillah Muslim hain aur 1981 ke rules ke mutabiq koi non-muslim Kuwait ki citizenship hasil nahin kar sakta. Iraqi aur Kuwaiti bohran se pehle phalasteeni yahan par sub se bari aqliyat thay lekin Iraqiyon ki himayat karne ke jurm mein Kuwai ki hukumat ne aksar phalasteeniyon ko wahan se nikaal diya kyoun keh Iraqi mulk ki himayat darasal Amreeka ki mukhalfat thi. Asmaan ye bhi dekh raha hai keh Musalman hukamranon ko apne mulk mein samraji fauj ke adon aur un ki fauj bardasht hai lekin farzandan tauheed bardasht nahin hain.

Kuwait Transport - Zaraye Amdoraft

Kuwait mein railway line nahin hai lekin dunya ka behtareen shahrahi nizam yahan mojood hai aur sub hamsaya mumalik ke liye tez raftar sarkain hain aur hawai safar ke liye airports bhi hain.

Business In Kuwait Source of Income - Kuwait Ke Log Apna Guzar Basar Kaise Karte Thay

Aik zamane mein mehz machli ki sanat par Kuwait ke logon ka muashi daromadar tha ghurbat kafi thi aur jis ka oont beymaar hota tha us ke ghar ke bahir degar afrad bari bari tasbihain lay kar is intezaar mein baith jate thay keh kab woh oont zibah ho ga aur unhain apne khazane ugalna shuru kar de aur tail ki daulat umad umad kar is mulk par barasne lagi. Dunya bhar mein oil reserves yani tail ke zakhair ka 10% sirf Kuwait ki zameen mein hai aur aik andazay ke mutabiq aglay 150 saal tak in zakhair ke ikhtitam ka koi imkan nahin. Tail ke sath gas bhi yahan kafi maqdar mein mojood hai in zakhair ke ilawa is sehrai mulk mein koi madniyat abhi tak daryaft nahin ho saki. Is oil ki wajah se is waqt world mein sub se zayada fee kas amdani Kuwait ki shumar ki jati hai. Tail ke siwa baqi tamam sanatain paidawar aur agriculture na hone ke barabar hai.

1961 mein bartania se azadi ke baad Al-Sabah khandan ka Ameer yahan par hukumat karta hai is ke sath wuzra ki aik majlis bhi hoti hai lekin usi ke khandan mein kya khoob nazam hai keh un wuzra ka taqarar bhi woh khud hi karta hai. Qanoon ke mutabiq 50 muntakhib arkan par mushtamil aik Parliament bhi honi chahiye yahan political parties par mukamal pabandi hai sirf Kuwait ke muqami logon ko 21 saal ki umar mein vote ka haq milta hai lekin mulazmat paisha log aur police ka mehkama is haq se bhi mehroom hai in sharait ki bunyad par abadi ka mushkil se daswan hisa vote dalta hai is sub ke bawajood bhi parliament jub bhi banti hai tor di jati hai. Choti satah par adalatien bhi hoti hain lekin bari satah par ameer hi appeal ki smat karta hai.

Kuwait Army Defence

Aik zamane tak Kuwait ka difa bartania ke zumay raha hai Kuwait ki fauj aik andazay ke mutabiq dunya ki sub se mehngi fauj hai is mulk ke kayi mulkon se difai muahday hain un mein koi Muslim country nahin hai.

Kuwait Peoples

Kuwait ke log bohat khushhal hain hukumat un ke liye health, education, residence aur karobar waghera ke liye asan qarzon samait bohat se mara'at deti hai ibtidai taleem muft aur lazmi hai jis ke liye hukumar ki taraf se books, transport aur madrasay mein khanay peenay ki farahmi aur doran taleem treatment ki sahoolat faraham ki jati hai lekin ye sub riayat muqami logon ke liye hi hain bahir se aye hue logon ko apne bachon ko private schools mein dakhil karwana parta hai aur degar sarkari riayaton se bhi mehroom hain. Kuwait ke liye zindagi ka kafi arsa khidmat karne ke bawajood bhi bahir se aye hue log yahan par ghair hi samjhe jate hain.
logoblog

Thanks for reading Kuwait History In Urdu Kuwait Information Hindi Kuwait Culture Tareekh Rajdhani

No comments:

Post a Comment