Sabziyon Ke Fawaid Urdu Vegetable Benefits Sabzi Ke Faide In Hindi

  Lal Gulab      

Sabziyon Ke Fawaid Urdu Vebetable Benefits In Urdu Sabziyon Ke Faide

Sabziyan

Badalte hue tarz zindagi ke bais hamari khane pene ki adat bhi khasi had tak tabdeel hochuki hain lehaza ab khawateen satah zameen ke neche jaron ki shakal main paida hone wali sabziyan pakane par zayada tawaja nahin deti, lekin agar ap ek martaba in fawaid ka jaiza le lain jo mati ke andar ugne wali sabziyon main posheda hain to yakenan in sabziyon ko foran apne menu main shamil karlaingi.

Ghizai Fawaid

Hum main se aksar khawateen in sabziyon ko sasta hone ke bais mamoli samjh kar nazar andaz kardaiti hain aur inke mukable main palak aur barokoli jaisi sabziyon ko zayada ehmiyat daiti hain. Jabke jadid tehkik ke zariye ye bat zahir hui hai ke jaron ki shakal main ugne wali sabziyan dar haqeqat anti oxidants, hayaten aur madniyat se malamal hoti hain, lehaza agar ap apna hafta dar menu banate hue aluon ko mamuli ya gair sehat bakhsh sabzi samjhte hue nazar andaz kardaiti hain to ye jan kar Ap ko hairani hogi ke 180gram bake kiye gae alu, jinhain "jacket potino" kaha jata hai. Vitamin c ki hamari rozmara zarurt ka 31 fesad hisa farahim karsakte hain. Isi tarah ek paki hui gajar khane se takriban 5 gram fibre hamare made main muntakil hota hai jo bohat se high fiber cereals ki ek serving ke barabar hota hai. Sabziyon ke tor par khai jane wali bohat si jarain aisi hain ke jinhain bila jhijhak ghizaiyat ka power house kaha jasakta hai. So koshish karain ke in sasti aur ba asani milne wali sabziyon ko apni khorak main zarur shamil rakhain.

Kaise Pakayain?

Zayada tar gharon main bache to kya bare bhi shaljam aur muli jaisi sabziyan khana pasnd nahin karte. Lekin agar shaljam aur muli ki bhujia banane ke bajae inhain pakane ke nae nae tarike azmaen to sab inhain khana pasand karenge. Maslan shaljam amuman sardiyon ke mausam main ate hain. Lehaza inka creamy soup tayar karain aur shaljam ke paton Ki piyori bana kar is se soup ko garnish karain ye soup vitamin k c aur A ke ilawa calcium, folate aur potassium se bharpur hoga iske ilawa jhat pat pasta dish banane keliye shaljam ko lehsan, shaljam ke paton aur machli ya chicken ke chote tukron ke sath halka fry karain aur pasta main shamil karain. Muli ko salad ke tor par khain ya riwayati bhujia ke ghost ke sath pakain, sath main meethi bhi dalain. Hare dhaniye se garnish kia gaya, ye bhuna hua salan zaike dar hone ke sath sath ghizaiyat bhi hai. Chukandar ke bare main to sab hi jante hain ke ye sehat keliye mufeed hota hai lekin iske pate bhi ghizaiyat kg khazana hote hain. Ye na sirf fiber hasil karne ka behtren zariya hain balke calcium, iron aur vitamins bhi bharpur hote hain. Lehaza chakandar ke paton ko barik tehniyon ko lehson zaitoon ke tail aur lemon ke ras ke sath bilkul isi tarha pakain jaise palak ka sag pakaya jata hai. Iske ilawa chukandar ke paton ko salad main bhi shamil kia jasakta hai. In sabziyon ke ilawa gajar, arwi aur shakar kandi se bohat si mazedar dishes banai jasakti hain. Maslan bake ki hui shakar kandi se mazedar kism ke fries banae jasakte hain aur agar ap dilchaspi lain to khana pakane ki kitabon main aur online beshumar tarkibain mil jaengi jin main shaljam se lekar adrak aur haldi tak tamam chezain shamil hain.

Vegetable Kaise Kharidain?

Zameen ke andar ugne wali sabziyon ko kharidne keliye bari dukano aur super stores ke bajae apne ilake main lagae jane wale bachat bazaron aur thailon ka rukh karain kyunki aisi jagahon par mausam ki sabziyan nisbatan taza mil jati hain ya agar ap ke ilake ke nazdik agar kahin khait hain to waha karibi dukano par ap ko bilkul taza sabziyan mil jaingi. Iske ilawa agar ap chahain to khud bhi ye sabziyan ugasakti hain. Alu, chakundar, aur gajar samait ye sab kam se kam daikh bhal ki mutakazi Hoti hain aur agar ap ke pas inhain ugane keliye jaga na hoto gamlon main bhi ugai jasakti hain. Iske bad ap inhain ukharain, dhoain, aur pakalain. Agar sari sabzi ko bake waqt pakana na hoto ise katain aur kagaz main lapait kar freze kardain phir jab zarurat ho nikal kar pakalain. Vitamin se bhar pur in sabziyon ko store krna bhi asan aur pakana bhi. Wo bhi mukhtalif dilchasp o mazedar tarikon se so wo kaha jata hai ke apni jaron se kabhi alag nahin hona chahye to thek hi kaha jata hai.
logoblog

Thanks for reading Sabziyon Ke Fawaid Urdu Vegetable Benefits Sabzi Ke Faide In Hindi

No comments:

Post a Comment