Beauty Tips Pink Lips Urdu Pink Lips Karne Ka Tarika Gulabi Hont Tips In Hindi Beauty Tips

  Lal Gulab      
Beauty Tips Pink Lips Tips In Urdu Pink Lips Karne Ka Tarika Hont Gulabi Lips Care Tips In Hindi

Best Tips Hont Gulabi Karne Ka Totka: Karain! Mera aj ka mauzoo honton ke bare mein hai umeed hai ke aap pasand karenge. Gulabi hont khoobsurti ki alamat samjhe jate hein aur aksar shair log bhi gulabi honton ki tareef apni ashar mein karte rahte hain aur inko gulab ki pankhiriyon se tashbi daite hain. Aaj mein apko is mazmoon mein siyahi mail honton yani black lips ko kaise gulabi kiya jaye batane ki koshish karonga.

Treatment How To Get Pink Lips In Urdu Naturally Home Remedies - Lips Beauty Tips In Urdu

Waise to har mausam main honton ka khayal rakha jata hai lekin sard mausam yani winter season mein hont zayada mutasir hote hain. Kyoun ke is mausam mein sard hawain honton par zayada asar andaz hokar inhain kharab kardeti hein aur hont sard mausam mein phatna shuru hojate hain kyunke hont jism ka intehai nazuk hisa hai agar inki daikh bhal sahi tarike se na kijae to ye kharab hojate hain sardiyon mein mardon ki nisbat khawateen zayada mutasir hoti hain is liye agar wo mausam ke shuru mein hi ahtiyat karlain to is pareshani se bacha ja sakta Hai. Khawateen ko chahye ke honton par istamal hone wali masnooat hamesha kisi achi aur mustanid company ki hi kharidain. Chehre ki khoobsurti ke sath sath honton ki khoobsurti kise pasand nahin is liye har koi apni siyahi mail honton ko khoobsurat banana chahta hai. Siyah honton ki kai wajuhat hosakti hain. In mein sab se pehle honton ki dekh bhal na karna, nakis lipstick ka istamal karna, adwiyat ke munfi asrat, morsi aur koi dusri bemari bhi is ki waja hosakti hai is ke ilawa purani lipstick ka istamal na karen is se bhi hont siyah hojate hen garam mausam mein bhi dhoop ki waja se hont mutasir hote hain aur siyah hojate hain. Chalen ab aap ko batata hon ke aap apne honton ko gulabi aur khoobsurat kaise bana sakte hen lekin aik bat yad rakhen ke honton par jis cheez ko bhi lagana ho wo achi aur mastanid honi chahye.
  1. Khana khane ke bad apne honton ko pani ke rath saf karen aur saf tolia ke sath ponch Lain.
  2. Sardiyon mein sone se pehle honton par vasline laga kar soain.
  3. Arq Gulab mein chand katre lemo ke mila kar lagane se honton ki rangat behtar hojati hai.
  4. Bhens ya gae ka kacha doodh honton par lagane se phate honton ke liye faida mand hai. 
  5. Tomato ka ras lagane se lips pink ho jatay hain.
  6. Kheere ya malte ki phakain lagane se hont naram o mulaim hojate hain. 
  7. Taza gulab (fresh rose) ki patiyan pees kar doodh mein mila kar lagain rangat ke liye mufeed hai.
  8. Sard mausam mein gulab ki patiyan makhan mein mila kar bhi lagasakte hen is se aap ke hont phatne se mehfuz rahenge aur naram ho jaenge.
  9. Malai mein 3 katre lemon mila kar honton par lagain is se na sirf hont naram o mulaim honge balke siyahi mail rangat dor hogi.
  10. Rogan badam mein shahad mila kar rozana honton par lagane se hont gulabi ho jotay hain.
  11. Arq e gulab mein glycerin milakar din mein 3 martaba istemal karain.
  12. Lemon juice se lips ko soft aur naram rakha ja sakta hai par agar hont phatay hue hon tab is ka istemal na karain.
  13. Rozana khane mein salad ka istamal karen subah uthtay hi pani peena aur pani ki kami na honay dena.
  14. Malta aur sangtara ka istamal karen is se hont gulabi hojaenge.
  15. Sardiyon mein khawateen lipstick lagane se pehle vaseline laga len phir saf karke lipstick ka istamal karen. 
  16. Doodh mein zafran pees kar mila lain aur honton par laga lain gulabi hoja jayenge.
  17. Lipstick ka zayada istamal honton mein maujood nami ko kam kar daita hai is liye vitamin A wali lipstick istamal karen.
  18. Raat ko sone se pehle desi ghee ka massag honton par karen is se hont phatne se bach jate hain.
  19. Raat ko sone se pehle zafran ke chand dane pani mein bhigo kar lagane se hont patle aur gulabi hojate hein.
  20. Sardiyon mein pani zayada piyain ye amal bhi aap ke honton ke liye mufeed hai.
  21. Phatkari aur glycerine ko mila kar lagane se hont patle ho jate hain.
logoblog

Thanks for reading Beauty Tips Pink Lips Urdu Pink Lips Karne Ka Tarika Gulabi Hont Tips In Hindi Beauty Tips

No comments:

Post a Comment