How To Grow Tomatoes At Home Urdu Tips Tomato Growing Season In Pakistan India

  Lal Gulab      

How To Grow Tomatoes In Urdu At Home In Pots - Tomato Cultivation In Hindi


Kyoun Na Tamatar Ghar Par Uga Lain? March Ya June Tak Phal Tayar Ho Jaye Ga Aur Aap Ko Tamatar Khareedne Ki Jhinjhat Se Nijat Mil Jaye Gi


Question About Tomatoes: Mujhe kitchen gardening ka behad shoq hai wese main ne apne ghar mein kafi plants laga rakhe hain lekin ab kyoun keh bahar ka mausam shuru ho gaya hai is liye chahti hon keh aap rozmarah istemal hone wali mukhtalif sabziyan (vegetables) khas kar tamatar ugane ka tarika aur tamatar ki kasht ka tareeqa bata dain tou kitchen ka budget manage karne mein khasi madad mil jaye gi?
 

Answer: Ye sahi hai keh bahar ke mausam mein jahan har taraf haryali aur rang barange phool khiltay nazar atay hain wahin mukhtalif sabziyon ke beej dalne ke liye bhi ye weather nihayat acha hai aise mein agar daily use hone wali sabziyan aap ki hobby ka hisa ban jayein tou aap ki kifayat shuari aur budget management jesi salahiton ke sabhi qail ho jayain gey. Yaqeenan aaj kal tomato ugane ka tareeqa asan hai jo hum apne rawaiti khanon aur salad mein zayada istemal karte hain.

Latakne Wale Podon Ke Ilawa Tamator Ki Baqi Tamam Iqsam Ko Sahare Ki Zaroorat Hoti Hai Is Liye Poda Lagane Ke Taqreeban 15 Se 20 Din Tak Baad Unhain Sahara De Dena Chahiye

Plant Tamatar Ki Kasht Tomato Ki Kheeti - Tomato Growing Season In Pakistan India Ands Bangladesh

Tomato ki kasht (tomato cultivation) amooman saal mein 2 martaba hoti hai aur is ka seed dalne ke liye february se march aur september se november ke months mozon samjhe jatay hain. Tamatar ke poday choti jhari aur bail ki surat mein hote hain wese tou dunya bhar mein tamatar ki iqsam anginat hain aur un ki kasht ki jati hai lekin hamare haan zayada tar deti tamatar, roma, beef steak, gol aur chotay cherry numa tamatar pasand kiye jate hain.

Leaf Miners Ki Wajah Se Poday Sabz Teela Aur Paka Teela Jesi Bimariyon Ki Lapait Mein Aa Jatay Hain Un Ke Khatme Ke Liye Pani Mein Lehsun Dal Kar Ubalain Aur Podon Par Lehsun Wale Pani Ka Chirkao Karain.

Complete Easy Method of Tomato Growing Tips In Urdu - Tomato Ki Kasht - Tomato Farming In Pakistan

Behtar hai tamatar ke poday ke liye aisi jagah ka intikhab karain jahan din mein kam az kam 8 ghantay dhoop rahe maslan poday ko hamesha ghar ki chat, balkoni ya khidki ke paas rakhain. Isi liye agar aap ke paas zameen mein beej dalne ki jagah na ho tou preshan hone ki zaroorat nahin. Aap na sirf mitti ki kayari balkeh gamlay, plastic ke purane pyale, tub, balti aur phal ya sabziyon ke carait mein bhi paneeri laga sakti hain. Agar aap bail dar tamatar lagana chahti hain tou 12 inch ke gamlay ya hanging basket yani latkanay wale gamlay ka intikhab kar sakti hain.

Mitti Ki Tayari Aur Bharai

Beej lagane ke liye 6 inch ke gamlay mein mitti bhar kar tamatar ki kisi bhi qisam ka beej bho dain aur usay paton ki khad se dhak dain phir ahtyat se faware ki madad pani dain 15 din mein paneeri tayar ho jaye gi. Aap apni sahulat aur waqt ki bachat ke liye nursery se tayar paneeri bhi lay sakti hain.

Paneeri Muntaqil Karne Ka Tareeqa:

Kisi bhi gamlay ya plant wale bartan mein bhal mitti aur patton ki khad barabar maqdar mein mila kar daal dain aur oper se aik inch khali jagah chhor dain phir us mein ahtyat se har poda alag alag nikal kar paneeri laga dain aur pani dain.

Pani Lagane Ka Tareeqa

Khasoosan naye lage hue podon ko ahtyat se pani dain takeh beej mitti se bahir na niklain. Garmi ke dinon mein 2 baar yani subah o sham pani diya ja sakta hai yaad rahe keh poday ko suraj ki roshni mein hargiz pani na dain. Is ke ilawa mausam mein khunki ho tou sirf us waqt pani dain jub mitti khushk ho yani din mein aik martaba pani dena bhi kafi hai.

Podon Ki Stalking - Plants Stalking

Lataknay wale plants ke ilawa tamatar ki baqi tamam types ko sahare ki zaroorat hoti hai is liye unhain bans se sahara diya jata hai. Poda lagane ke taqreeban 15 se 20 din ke baad unhain sahara de dena chahiye.

Phal Lagne Ka Waqt - Tamatar Kab Lagte Hain

Tamatar Ka Poda Taqreeban 45 se 60 dinon mein phal dene lagta hai yani bahar mein lagaye poday april se june tak pak jatay hain is liye jub tamatar surkh ho jayain tou unhain utar lain.

Ye Bhi Note Kar Lain

Tomato seed lagane ke liye 6 inch ka gamla istemal hota hai jabkeh paneeri lagane ke liye 12 inch ka gamla behtar rehta hai. Phal ya sabzi wale carait kisi bhi sabzi mandi se kam qeemat par asani se mil jatay hain un mein plastic ki sheet bicha kar mitti bharain aur paneeri laga dain.
logoblog

Thanks for reading How To Grow Tomatoes At Home Urdu Tips Tomato Growing Season In Pakistan India

No comments:

Post a Comment