New Year Celebrations In World Urdu Naye Saal Ka Jashan Dunya Mein Kaise Kiya Jata Hai

  Lal Gulab      

Interesting New Year Celebrations In World In Urdu / Hindi

Dunya Mein Naya Saal Kaise Manaya Jata Hai: Pyare sathiyo! dunyiya ke taqreeban tamam mulkon mein new year ka jashn dhoom dham se manaya jata hai dunya ke bohat se mulkon mein log bad qismati ko door bhagane ke liye aur naye saal mein achi sehat o khush hali aur khush qismati ke liye december ki akhri raat mein tarah tarah ki rasoomat ada karte hain jo ke bohat interesting traditions hain un mein se khuch mulkon ki dilchasp riwayat hum aap ko batate hain.

Denmark

Denmark mein ye riwayat barson se chali arahi hai keh log saal bhar ke purane sheeshe ke bartanon ko sambhal kar rakhte hain aur 31 december ki sham apne doston aur rishta daron ke gharon ke markazi darwaze se unhain tor kar chakna chur kar detay hain. Is riwayat ka maqsad ayenda saal ke liye doston aur azeezon ko khush qiskami ka paigham dena hai. Yhan kursiyon par khare ho kar raat ke theek 12 bajay chalang laga kar naye saal ka istaqbal karne ki bhi riwayat aam hai.

Philippines

Philippines mein saal ke akhri din log gol shakal wali cheezain istemal karte hain jin mein phal aur sazbiyan shamil hain. Ye riwayat darasal daulat yani sikon ko zahir karti hai log naye saal mein munafa kamane aur khush hali pane ke liye is roz ye rasm ada karte hain. Yahan saal ki akhri shab mein log is raat ko ghar ki tamam lights on kar detay hain aur ghar ke darwaze, khidkiyan aur cabinet khool detay hain aur raat ke 12 bajtay hi unhain phurti ke sath band kar detay hain.

Switzerland

Switzerland jo ke bohat khubsurat mulk hai yahan unchay neelay aur sabz darakhton wale pahar hain yahan mausam thanda rehta hai taqreeban puri duniya mein log is mulk ke qudrati manazir ki tareef kartay hain aur yahan zindagi mein kam se kam aik baar zaroor ana chahte hain jese dusre mumalik mein new year celebrations anookhay andaz se ki jati hain wesi hi Switzerland mein naye saal ka aghaz aik munfarid andaz mein kiya jata hai aur aisa dunya ke kisi aur mulk mein nahin kiya jata yani naye saal jub shuru hota hai tab yahan par rehne wale ice cream gira kar naya saal shuru kartay hain.

Chile

Chile mein khandan saal ki akhri shab qabristanon mein apne payaron ke sath guzartay hain wahan saal ki akhri raat ghar ki jharu dena aur khachra ghar se bahir nikalne ko bad qismati bhagane se tasawar kiya jata hai.

 

 

Bolivia

Bolivia ke log naye saal ka jashn manane ke liye sweet dish tayar karte hain, jis mein aik sikah chapa hota hai yahan ke logon mein ye tasawar paya jata hai keh jis shakhs ke hisay mein sikah ata hai us ke liye naya saal khush bakhti lay kar aye ga.

Spain

Spain ke log new year ki amad ka jashn khuch is tarah manate hain keh december ki akhri raat 12 bajay se pehle ko shakhs 12 angoor munh mein bhar kar aik sath khane mein kamyab ho jata hai usay ayenda bars ke liye khush qismat tasawar tasawar kiya jata hai.

Brazil

Brazil mein log saal nau ka jashn khas tor par white dress pehan kar manatay hain takeh shitani quwaton ko door bhagaya ja sake. Jabkeh wahan saal ki akhri shab mein sahil samandar par khare ho kar koi khawahish karte hue pani mein phool phenknay ki riwayat hai.

Puerto Rico

Puerto Rico ke log is sham balti ya glass mein pani bhar kar ghar ki window se bahir phenktay hain jis ka matlab ghar se buri quwaton ko bahir nikalna tasawar kiya jata hai.

South Africa

South Africa ke khuch hison khas tor par johannesburg mein new year night celebrations ghar ki khidki se purana furniture bahir phenk kar kiya jata hai.

Australia

Australia mein jahan atishbazi ke bare bare muzahiron ke sath naye sal ka khair maqdam kiya jata hai wahin ye riwayat bhi aam hai keh is roz log sarkon aur galiyon mein ghar ke bartanon ko baja kar naye saal ka ilan karte hain.
logoblog

Thanks for reading New Year Celebrations In World Urdu Naye Saal Ka Jashan Dunya Mein Kaise Kiya Jata Hai

No comments:

Post a Comment