Hazrat Suleman A.S History Urdu Hazrat Suleman Ka Waqia Kahani Hazrat Suleman Ka Qissa

  Lal Gulab      

Story Hazrat Suleman A.S History Urdu Hazrat Suleman Ka Waqia Kissa Information Maloomat

 
Urdu Kahani Hazrat Suleman A.S Qissa: Aap A.S Allah Ta'ala ke bargazeeda Nabi thay aur  Hazrat Dawood A.S ke betay thay. Aap A.S ke Walid ki tarah Allah Ta'ala ne Hazrat Suleman A.S  ko bhi bohat se mojzay ata kar rakhay thay. Aap janwaron ki boliyan samajh laite thay, hawa par aap ka qabu tha. Aap ka takht hawa mein ura karta tha yani subah aur shaam mukhtalif simton ko aik aik mah ka fasla tay kar liya kartr thay, Aap A.S ki sub se bari khasoosiyat ye thi keh aap ki hukumat sirf insanon par hi na thi balkeh jin bhi aap ke tabay thay.

Masjid Aqsa Aur Baitul Muqaddas Ki Tameer

Aap A.S ne Masjid Aqsa aur Baitul Muqaddas ki tameer shuru ki is ke liye jin dor dor se pathar aur samandar se moti nikal nikal kar laya karte thay. Ye emaratain aaj tak mojood hain is ke ilawa Aap ne jinon se bhi bohat se kaam liye. Aik moqa par Allah Ta'ala ne Hazrat Suleman A.S ko azmaesh mein daal diya Aap ke paas aik angoothi (ring) thi jis par Ism-e-Azam kunda tha us angoothi ki badolat Aap jin o ins par hukumat kiya karte thay.

Lekin woh angoothi kisi wajah se gum ho gayi aur shetan ke hath agayi. Chunanchah Aap A.S takht o saltanat se mehroom ho gaye aik mudat ke baad woh angoothi shetan ke hath se darya mein gir parri jisay aik machli ne nigal liya woh machli Hazrat Suleman A.S ne pakar li jub us ko cheera gaya tou angoothi us ke pait se mil gayi aur isi tarah Aap A.S ko dobara saltanat aur hukumat mil gayi. Halankeh ye baat ghalat hai keh Woh angoothi ki badolat hukumat karte thay hukumat un ko Allah Ta'ala ne Apne fazal khas se di thi.

Malka Saba

Hazrat Suleman A.S ke zamane mein Yaman ke alaqay par Malika Saba ki hukumat thi aik din Hazrat Suleman A.S ka darbar laga hua tha jis mein tamam jin o ins chind parind apni apni jagahon par baithe hue thay dekha keh hud hud parinda (bird) ghair hazir hai Aap A.S ne farmaya hud hud nazar nahin ata agar us ne is ghair hazri ki maqool wajah bayan na ki tou usay sakht saza di jaye gi abhi ye batain ho rahi thien keh hud hud bhi hazir ho gaya, Aap A.S ke daryaft karne par hud hud ne bataya keh main urta hua Yaman ke mulk mein ja pohancha tha jahan ki hukumat Malika Saba ke hath mein hai. Khuda ne sub khuch de rakha hai us ka takht bohat qeemti aur shandar hai lekin shetan ne us ko gumrah kar rakha hai woh Khuda ke bajaye aftab ki parastish karti hai.

Malika Saba Ko Khat

Hazrat Suleman A.S ne farmaya keh acha tu mera khat us ke paas lay ja tere jhoot aur sach ka imtehan abhi ho jaye ga chunanchay hud hud Aap A.S ka khat lay kar Malka Saba ke paas pohancha aur khat us ke agey daal diya Malika ne khat parh kar darbariyon ko bulaya aur khat ka mazmoon parh kar sunaya jis mein darj tha.
Malka Saba ne bohat se tohfay Hazrat Suleman A.S ki khidmat mein bheejay. Aap A.S ne un tohfon ko dekh kar farmaya keh Malkah ne mere paigham ka maqsad nahin samjha. Aap A.S ne malkah ke ssfeeron ko dekh kar farmaya. Tum nahin dekhtay keh mere paas kis cheez ki kami hai, ye tohfay wapas lay jao aur apni malkah se kaho keh agar mere paigham ki tameel na ki tou main azeem al shan lashkar lay kar wahan pohanchon ga aur tum ko ruswa aur zaleel kar ke tumhare shehar se nikal doun ga.

Malka Saba Ka Qabool Islam

Aur junhi Hazrat Suleman A.S ne mur kar dekh tou malka ka takht wahan mojood tha us par Aap A.S ne Allah Ta'ala ka shukar ada kiya aur farmaya keh Khuda ka ye fazal meri azmaesh ke liye hai takeh woh dekhay keh is halat mein bhi Us ka shukar ada karta hon ya nahin. Ab Aap ne hukam diya keh is ki shakal badal di jaye jub malkah Aap A.S ke darbar mein pohanchi tou us se pucha gaya keh tera takht bhi aisa hi hai jesa ye hai us ne kaha ye tou wohi hai. Malkah saba ne Aap A.S ke Paighambarana jah o jalal ko dekh kar deen haq qabool kar liya.

Azwaj

Hazrat Suleman A.S ke paas 100 zojat thien jis ka saboot Sahi Bukhari ki mandraja zail Hadees se milta hai:

Wafat

Aap A.S ki wafat ka waqia bara dilchasp hai Aap A.S ke hukam se jinon ki aik jamat bari bari emaratein banane mein masroof thi keh Aap A.S ki wafat ka waqt aan pohancha Aap aik lathi ke sahare kharay ho gaye aur inteqal farma gaye. Jinon ko Aap A.S ki wafat ki khabar na hoi aur woh apne kaam mein lage rahe. Akhir aik arsa ke baad jub un ki lathi ko deemak ne chaat liya tou woh toot kar gir parri aur Aap A.S jo lathi ke sahare kharay thay woh bhi gir paray. Us waqt jinon ko maloom hua keh Aap A.S tou mudat se inteqal kar chukay hain.
logoblog

Thanks for reading Hazrat Suleman A.S History Urdu Hazrat Suleman Ka Waqia Kahani Hazrat Suleman Ka Qissa

No comments:

Post a Comment